Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Search Results for 'khushbu'

1 bat batao raz ki.

1 bat batao raz ki.

Kro us larki se ashqi.

Jis k chehre pe ho sadgi.

Sanso me ho tazgi.

Chndni ho chand ki.

Rani ho raat ki.

Khushbu ho gulab ki.

Baten kre pyar ki.

Nazuk ho mizaj ki.

Ache ho ikhlaq ki.

Paband ho namaz ki.

Khidmat kre maa bap ki.

Aur kahey main hoon sirf aap ki

315 chars (2 sms)


dariyaa kaa saahil ho

dariyaa kaa saahil ho
puure chaaNd kii raat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
pariyon kii mahafil ho
koii tumhaarii baat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
ye narm mulaayam ThanDii havaayen
jab ghar se tumhaare guzaren
tumhaarii Khushbuu churaayen
mere ghar le aayen


kabhii yuuN bhii to ho
suunii har manzil ho
koii na mere saath ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho
ye baadal aisaa TuuT ke barase
mere dil kii tarah milane ko
tumhaaraa dil bhii tarase
tum nikalo ghar se


kabhii yuuN bhii to ho
tanahaaii ho, dil ho
buuNden ho, barasaat ho
aur tum aao


kabhii yuuN bhii to ho..........

642 chars (5 sms)


Khushbu Ki Tarah Dil Mey

Khushbu Ki Tarah Dil Mey Basa Kar Usay Dekhun,


Haathon Ki Lakeeron Mey Saja Kar Usay Dekhun,


Dil Usko Chahay Bhi Zara Dair K Liye,


Khud Ussay Larun Aur Phir Mana Kar Usay Dekhun,


Sheeshay Sa Dil Hai Uska Kabhi Jo Dukh Jaaye,


Palkon Se Dukh Chun Lun Aur Phir Usay Dekhun,


Uski Khatir Main Zeher Hans K Pee Lun,


Jab Jaan Nikal Jaaye Tab Phir Usay Dekhun,


Uske Lot Anay K Intezar Ki Khatir "Kash",


Sari Umar Mey Bita Dun Aur Phir Usay Dekhun.../

488 chars (4 sms)


Mujh main Khushbu

Mujh main Khushbu basi "Usi" ki hai,
Jese ye Zindagi Usi ki hai...

Wo kahin Aas-Paas hai Mere,
Ho Na Ho,Ye hansi "Usi" ki hai...

Ab to Ye khwab b nahi Mere,
Ab to ye Neend b "Usi" ki hai...

Ya to koi Kami nahi Mujh main,
Ya phir Mujh main kami "Usi" ki hai...

273 chars (2 sms)


Suraj kirne bikherta

Suraj kirne bikherta hai aapko dekhkar,
Pool khushbu chodte hai aapko dhekhkar,
Hum apne dil ki kya kahe hazaro dil dhadkte hai apko dekhkar....

147 chars (1 sms)


Main Umr K Rastey Mei

Main Umr K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jaataa
Ek Din Bhi Agar Apni Tanhaaii Se Dar Jaataa

Main Tark E Ta“alluq Par Zinda Huun So Mujrim Huun
Kaash Uss K Leye Jiitaa, Apney Leye Mar Jaataa

Uss Raat Koii Khushbu Qurbat Mein Naheen Jaagi
Main Varnaa Sanvar Jaataa,Aur Voh Bhi Nikhar Jaataa

Uss Jaan-E-Takallum Ko Tum Mujh Se Tou Milvatey
Taskheer Na Kar Paataa, Hairaan Tou Kar Jaataa

Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Aavaazain
Chaltaa Tou Bichhar Jaataa,Ruktaa Tou Safar Jaataa

MaiN Shehr Ki Rounaq Mein, Gum Ho K Bohot Khush Thaa
Ik Shaam Bachaa Laitaa, Ik Roz Tou Ghhar Jaataa

Mehroom Fazaaoun Mein,Mayuus Nazaron Mein
Tum AZM Naheen Tehrey, Main Kaise Tehar Jaataa

698 chars (5 sms)


chandni raat k hatho pay

chandni raat k hatho pay sawar utri hai.
koi khushbu meri dehleez k paar utri hai.

iss main kuch rang bhi hain ,
khaab bhi khusbuain bhi.

jhilmilati huwi khwahish bhi, aarzoain bhi.
issi khushbu main kayi dard bhi afsaanay bhi.

issi khushbu nay banaay kayi dewanay bhi.
meray aanchil pay umeedo ki Qataar utri hai.

koi khushbu meri dehleez k paar utri hai.
issi khushbu say kayi yaad k dar kultay hain.

meray pairoo say jo leptay to safar khiltay hain.
yahi khushbu jo meray ghar say utta layi thi.

ab kissi toar palat kar nahein janay daiti.
meri dehleez bulaati hai mujhay loat aao.

yahi khushbu mujhay wapas nahein aanay daiti.
ranj aur dard main doobi yeh bahar utri hai.
koi khushbu meri dehleez k paar utri hai

747 chars (5 sms)


itanaa TuuTaa huun ki

itanaa TuuTaa huun ki chhune se bikhar jaongaa
ab agar aur duaa doge to mar jaauungaa

lekar meraa pataa vaqt raayagaa na karo
main to banjaaraa huun kyaa jaane kidhar jaauungaa

is taraf dhundh hai jugnuu hai na chiraaG koii
kaun pahachaanegaa bastii mein agar jaauungaa

zindagii main bhii musaafir huun terii kashtii kaa
tuu jahaan mujh se kahegii main utar jaauungaa

yahaan rah jaayenge guldaano mein yaadon kii nazar
main to Khushbuu huun fizaaon mein bikahr jaauungaa

489 chars (4 sms)


kuu-ba-kuu phail

kuu-ba-kuu phail gaii baat shanaasaaii kii
us ne Khushbuu kii tarah merii paziiraaii kii

kaise keh doun k mujhe chhor diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaaii kii

vo kahiin bhii gayaa lautaa to mere paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mere harajaaii kii

teraa pahaluu tere dil kii tarah aabaad rahe
tujh pe guzare na qayaamat shab-e-tanhaaii kii

us ne jalatii huii peshaanii pe jo haath rakhaa
ruuh tak aa gaii taasiir masiihaaii kii

471 chars (3 sms)


Khushbu teri Dosti

Khushbu teri Dosti ki muje mehka jati hai.
Teri har baat mujhe behka jaati hai,
Saas to bohut dair leti hai aane me…
har saas se pehle Teri yaad aa jati hai
Lehron se milkar na woh beh sake na hum,
ek duje ke Dil me na woh reh sake na hum,
jeet lete Aasma ek din lekin, palkon ke khamoshi ko
hoto se na woh keh sake na hum
Hum jee rahe the unka naam lekar,
wo guzarte the hamara salaam lekar,
ek din wo keh gaye bhula de humko,
humne pucha kaise?
wo chale gaye hath mein jaam dekar

493 chars (4 sms)


khuab aankhon sey ab

khuab aankhon sey ab koi chura ker ley jaye
qaber k sookhey huye phool utha ler ley jaye

muntazir phool mein khushbu ki tarah hun kab say
koi jhonkay ki tarah aaye urha ker ley jaye

ye bhi pani hai mager aankh ka aisa pani
jo hatheli sey rachi mehndi churha ker ley jaye

main muhabbat sey mahakta hua khat hun mujh ko
zindagi apni kitaabon mein chupa ker ley jaye

khaak insaaf hai,nabeena butoon key aagey
raat thaali mein charaaghon ko sajaa ker ley jaye

un say kehna k mein paidel nahi aaney wala
koi baadal mujhay kaandhey peh bitha ker ley jaye

571 chars (4 sms)


Lafzon ki tarah tu

Lafzon ki tarah tu mujh se kitabon mai mila kar Duniya ka tujhe dar hai to khawabon mai mila kar Phuloon se khushbu ka taaluq hai zaruri. Tu mujh se mehak ban k gulabo mai mila kar...

184 chars (2 sms)


Mein sochta hoon kuch uss

Mein sochta hoon kuch uss se kahon
koi baat mohabat, ulfat ki
koi baat sunehrey khwaboun ki
koi baat ke jis k harf harf se
be-naam si khushbu poothi ho
phir sochta hon kya hasil hai
gar uss ko sab kuch keh bhi diya
ye lafz be-kaar jayengey
mai sochta hoon aik geet likoon
unn komal pyare hathon par
uss phoolon waley aanchal par
jisey audh ke wo ek pari lage
kabhi sochta hoon koi nazam kahoon
bas jis main uss ki baatain hon
un gehri gehri aankhon par
jin aankhuon main kai sadiyon k
kai qissay hain, afsanay hain
phir aksar yun bhi sochta hoon
main kuch na kahoon ye behtar hai
har zakhm chupa kar seenay main
bas dukh hii sahoon ye behtar hai
jab unko aitbaar nahi hai
jahan lafz yaqeen se khali hon
wahan chup hii rahon ye behter hai.

762 chars (5 sms)


Mujhko Ruswa Sar-E-Mehfil

Mujhko Ruswa Sar-E-Mehfil To Na Karwaya Kare,
Kash Aansu Meri Aankhon Mein Hi Reh Jaya Kare,

Aye Hawa! Maine To Bas Unka Pata Puchha Tha,
Ab Kahani To Har Baat Ki Na Ban Jaya Kare,

Bas Bahut Dekh Liye Khwab Suhane Din Ke,
Ab Wo Baaton Ki Rifaqat Se Na Behlaya Kare,

Ek Musibat To Nahi Tooti So Ab Is Dilse,
Jis Kayamat Ne Guzarna Ho Guzar Jaya Kare,

Jiske Khwabon Ko Main Aankhon Mein Saja Kar Rakhun,
Iski Khushbu Kabhi Mujhko Bhi To Mehkaya Kare...

468 chars (3 sms)


Mujhko Ruswa Sar-E-Mehfil

Mujhko Ruswa Sar-E-Mehfil To Na Karwaya Kare,
Kash Aansu Meri Aankhon Mein Hi Reh Jaya Kare,

Aye Hawa! Maine To Bas Unka Pata Puchha Tha,
Ab Kahani To Har Baat Ki Na Ban Jaya Kare,

Bas Bahut Dekh Liye Khwab Suhane Din Ke,
Ab Wo Baaton Ki Rifaqat Se Na Behlaya Kare,

Ek Musibat To Nahi Tooti So Ab Is Dilse,
Jis Kayamat Ne Guzarna Ho Guzar Jaya Kare,

Jiske Khwabon Ko Main Aankhon Mein Saja Kar Rakhun,
Iski Khushbu Kabhi Mujhko Bhi To Mehkaya Kare...

468 chars (3 sms)


Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook