Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Search Results for 'wafa'

/-> AFSOS MAT KARO <-/

/-> AFSOS MAT KARO <-/

Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo
Itna hi us ka saath tha afsos mat karo
Insaan apne aap main majboor hai bohat
Koi nahi hai bewafa afsos mat karo

Is baar tum ko aane main kuch dair ho gayi
Thak haar ke woh sogaya afsos mat karo
Duniya main aur Chahne wale bhi hain bohat
Jo hona tha so hogaya afsos mat karo

Is Zindagi ke mujh pe kayi qarz hain magar
Main jald laut aoongi afsos mat karo
Yeh dekho phir se aagayin Phoolon pe titliyan
Ek roz woh bhi aayega afsos mat karo

Woh tum se aaj door hai kal paas ayega
Phir se ALLAH milayega afsos mat karo
Bekaar jee pe bojh liye phir rahe ho tum
Dil hai tumhara Phool sa afsos mat karo

689 chars (5 sms)


Woh kehti hai k kia

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..

Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.

Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.

Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.

Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.

798 chars (5 sms)


Kuch ajab rang se guzri

Kuch ajab rang se guzri hai zindgi apni,

Dilon pe raj kia or muhabton se mehrom rahe,

Hum wafa kr k b ban gaye mujrim,

Wo daga de k b masoom rahe...

157 chars (1 sms)


Tamam umar zindagi se

Tamam umar zindagi se door rahe,

Teri khushi ke liye apni khushi se door rahe.

Ab is se barh kar wafa ki saza kya hogi,

Keh tere ho kar bhi tujhse door rahe.

167 chars (2 sms)


Sir Jhukao ge To Patha

Sir Jhukao ge To Pathar bhi Devta ho Jaye Ga
Itna Mat Chaho Use Wo Bewafa Ho jaye Ga

Hum bhi Darya Hain humain bhi Apna hunar Maluum hai
Jis Taraf Bhi Chal Parain, Rasta Ho Jaye Ga

Kitni Sachai Se Zindagi Ne Keh Dia
Tu nahi Mera To Koi Aur Ho Jaye Ga

Rooth Jana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kia Khabar Thi Mujh se Wo Itna Khafa Ho Jaye Ga

355 chars (3 sms)


Gunah karke saza se

Gunah karke saza se darte hain,
Pee ke Zeher dawa se darte hain,
dushmano ke sitam ka khauff nahi humko,
Hum to doston ki bewafai se darte hain.

148 chars (1 sms)


teri dosti teri wafa h

teri dosti teri wafa he kafi hay ,

tamaam umar ye ik aasra he kafi hay,

jahan kahen b milo mil k muskra deyna,

meray jeenay k liay teri ye adaa he kafi hay,

166 chars (2 sms)


Dil-o-nazar se kuch

Dil-o-nazar se kuch dair b juda rakhun,

ye mere bas mein nahi k tujhe khafa rakhun..

Nhi hay kuch b mere zahan mein siwai is k,

main teri yad bhula dun to yad kia rakhn..

kabhi jo mujh se koi pooch le meri marzi,

to apna naam muhabbat tera wafa rakhun...

270 chars (2 sms)


Hasino ne haseen bankar

Hasino ne haseen bankar gunaah kiya,
Auro ko to kya humko bhi tabah kiya.
Pesh kiya jab shayari mein humne unki bewafai ko,
Auro ne to kya unhone bhi wah-wah kiya

166 chars (2 sms)


Darya Wafaon Ka

Darya Wafaon Ka kabhi rukta nahi
Pyar main insaan kabhi jhukta nahi
khamosh hain hum un ki khushi k liye aur
wo samajh bethe hain K Dil Humara dukhta nahi

158 chars (1 sms)


wo na aaye un ki yaa

Wo na Aaye Un ki Yaad Aa ker Wafa Ker Gai

Unse Milne Ki Tamanna SukOon Tabah Ker Gai

Aahat Hui Socha Asar Dua Ker gai

Darwaza Khula To Dekha Mazaq Hum Se hawa Ker gai

176 chars (2 sms)


Na puch mere sabar

Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai,

tu sitam kar le teri takat jahan tak hai,

wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,

hume to dekhna hai tu bewafa kahan tak hy

172 chars (2 sms)


Maut mangte hain to

Maut mangte hain to zindgi khafa ho jati hai.
Zehar lete hai to wo b dava ho jati hai.
Tu hi bata aai mere dost kya karun,
jis ko b chahte hai bewafa ho jati ha.

165 chars (2 sms)


Dil tordna humari aadat

Dil tordna humari aadat nahi

Dil hum kisi ka dukhatay nahi

Barosa rakhna merri wafaoon pe

Dil main basa ker hum kisi ko buhlatay nahi

143 chars (1 sms)


Tujhsay milnay ki saza

Tujhsay milnay ki saza denge tere sheher k log
ye wafaon ka sila denge tere sheher k log

Kya khabar thi tere milnay pe qayamat hogi
Mujhko diwaana bana denge tere sheher k log

Teri nazron se giranay k liye jaan-e-haya
Mujhko mujrim bhi bana denge tere sheher k log

Keh k diwaana mujhey maar rahay hain patthar
Aur kya is k siwa denege tere sehehr k log

366 chars (3 sms)


,,GO Aaas aankhain adalt Adult afsos after death agra aisi konsi ajab akhtar allama Alone anarkali anniversary April fool aqwaal Asif attitude badsha barish beer believe bewafa bichar gay bike blessing boring broken broken heart call cast Chahat chale chanda choose CHUT cool cricket Daag dard daru december defence day dene dharti dhoka dhund door Doori dost doste duwa eid mubarak Eid ul azha ENGAGEMENT evening Facebook Faiz Faraz Farq sirf itna tha flower Forgiveness forward friends friendship Funny funny poetry Funny sms Ganday sms Gandi gay sms Ghazal Girls golden good night gujjar gurbat Hairstyle Hand hansna happy birthday Happy dewali Happy new year HATE heart heaven hijab hijar hussain i love u I love you i miss u If You Really Love Someone Arrange jawab jindgi karna kashti khafa khali hathon ko kabi gor se dekha hai Khata khobsort khush khushiya King Land larki Laut aao life little love Love love sms lover manzil Married marrige masjid Masoom maut miss you mohabbat Mola ali molvi mother Mout nagni namaaz NARAZ Nawaz sharif New year sms november Pahalia paheli pakistan parda Pashto pathan phool poetry pyar question quotes raat rajni ramzan Rape raqeeb Rashid reason reply rishty ROMANTIC KISS safar Sagar Sali samandar santa sardar SAWAL saza Sehri shadi shakespear sham sharab shoaib Sindhi topi SINDHI TOPI AUR AJRAK so gay socretes songs submit Success Sunday Tabinda Talent tanhai Tere Chehra teri qasam Thanks train trust udasi Urdu uses valentine Veena wafa wapda waqat waqt wasi wife winter ya allah yaad yad sms ye watan Your heart was frozen zubaida
Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook