Aik dafa aik musafir ko apni manzil per jate huye rastey main raat ho gayi. Is ne rastey main aik musafir khane yani saraye main raat basar karne ka faisla kia. Musafir ke pas aik sufaid rung ka ghora bhi tha. Is ne wo ghora saraye kay mulazim ko de kar kaha keh tumhain iski hefazat karni hai. Sath hi is ne yeh sonch ker keh mulazim so na jaye isey lohe ka bana huya aik aalah dia jis se bhison ko nahlate huye ragar ragar kar in kay jism ki gandagi saaf kartay hain aur kaha keh is se ghorey ke jisam ko ragarte ya ghaste rahna. Ye kah ker wo so gia. Mulazim thuri dair to ghorey ke jism ko lohe ke aaley se ragarta raha. Phir ye soch ker ke yahan konse chor aayen ge main bhi so jata hoon wo bhi so gia. Sobha jab mulazim utha to ye daikh ker bara pareshan hoya keh ghora chor le gaya hai. Ab malik ko kia jawab de ga. Is ke zehan main aik terkeeb aagaii. Is ne jaldi se ja ker jungal se aik sufaid rung ka khargosh pakra aur isko lohe ke aaley se ghasna shuroo kar dia. Isi doran malik uth giya aur ghorey ko gayab daikh ker poocha ghora kahan hai aur ye tum kia kar rahe ho. Mulazim ne khargosh ki taraf ishara kerke kaha. Janab ye ghora hi to hai. Sari raat ghaste ghaste itna sara rah gia. Ab aap batayain aur ghasoon ya bas karoon.
no likes.
|