Ek sahab kaafi arsey baad apney gaon pohanchey, rastey mein apna hi nokar mil gaya. Nokar sey us key ghar key halaat poochey. Nokar bola, baqi sab kheriyat hey, bus aap ka kutta mar gaya hey. “Mera kutta mar gaya?” woh sahab sadmey sey boley, “woh kaisey?” “Janab, aap key marey huey ghorey ka gosht khaa ker woh kaisey zinda reh sakta tha” “To mera ghora bhee mar gaya? woh kaisey” sahab ney poocha “Bhook se mar gaya” nokar ney jawab diya “Mein to tujhey us key rashan key paisey bhee dey ker gaya tha, woh kahan gyey?” “Woh to aap ki walda key kafan per lag gyey” “To kia meri waalda bhee faut ho chuki hein?” sahab gham sey nidhaal ho gyey “Ji haan do maheeney key potey ka gham kaisey bardasht kerteen?” “Haey Allah mera bacha bhee mar gaya hey?” “Ji haan, maan key bagher bacha kaisey zinda rehta”
no likes.
|