jab main paida hua tha
Santa :-jab main paida hua tha to mere papa ne 51 banduke chalwai thi.
Banta:-kamaal hai,sabka nishana chook gaya.
by hearthackervsgirls (few years ago!) / 828 views
Similar Jokes
Ek chor amir aadmi ke ghar mein chori karne gaya.
Tijori pe likha tha “Tijori ko todne ki jaroorat nahi
hai, 452 number press karke sahmne vala lal batan
dabao, tijori khul jayegi. Jaise hi batan daba alarm
baja aur police aa gayi.”
Jate jate chor seth se bola: Aaj mera insaaniyat se
vishwas uth gaya hai!
by Tanveer Hussain (few years ago!)
Santa:-yaar banta kal mei biwi mere ek dost ke saath bhaag gayi.
Banta:-tujhko to bahot yaad aati hogi uski ,phir?
Santa:-haan yaar …bahot achcha dost tha mera.
by hearthackervsgirls (few years ago!)
Thappar Maarnay par NaraZ Wife se Husband bola:
Aadmi usi ko maarta hai jis se Pyaar krta hai.
Wife ne Husband ko 2 thappar maaray aur Boli Aap kya samajhtay hain main Aapse Pyaar nahi kerti
by hearthackervsgirls (few years ago!)
Bacha Dukandar Se:
Uncle Aapke Paas Safeguard Sabun Hai?
Dukandar: G Han.
Bacha: Phir Us Se Hath Dho Kar Ek Qulfi Dena. :-)
by Pak101.com (few years ago!)
1 ladka choclte kha rha tha..1 admi -beta itni choclte nhi khani chahiye….Boy – mera dadaji 106 sal tak jiye..Aadmi -wo choclet khate the..Boy- nhi wo apne kam se matlab rkhte the…
by Pak101.com (few years ago!)
Sardar : What is the name of your car ?
Lady : I forgot the name, but is starts with “T”.
Sardar : Oye Kamaal ki gaadi hai, Tea se start hoti hai. Hamaara gaadi petrol se start hoti hai.
by hearthackervsgirls (few years ago!)
Bhikari nay aik aadmi say kaha:khanay ko kuch mil sakta hai?
Is aadmi nay poocha:kal ka salan khalo gay?
Bhikari nay kaha: Ji han koi harj nahi.
Is aadmi nay kaha: acha to phir kal aajana, aaj to kuch nahi hai.
by hearthackervsgirls (few years ago!)
Ek jahaz mein teen aadmi safar ker rahey they. Ek amreeki, ek arbi or ek pakistani.
Amreeki ney jaib sey paisey nikaley or jahaz sey neechey gira ker kehney laga, “Hamarey mulk mein daulat ziada ho gyee hey”
Arbi ney sona phenk diya or bola, “hamarey mulk mein sona bohat ziada ho gaya hey”
Pakistani sochney laga key mein kia karon, phir us ney dono ko jahaz sey dhakka dey diya or ooper sey cheekha, “hamarey mulk mein aadmi bohat ziada ho gyey hein”
by Tanveer Hussain (few years ago!)
Boss: Tumhare Father ka kya naam hai?
Servant: Bijli Deen
Boss: Ye kaisa naam hai?
Servant: Sir, pehle unka naam Chiraag Deen tha,
lakin jab se Science ne taraki ki hai unhon ne apna
naam Bijli Deen rakh lya ha
by Tanveer Hussain (few years ago!)
Aik Admi Langraata Hoa Aata Hay
Usse Dekh Kar Do Doctor Aapas May
Jhagar Tean Hay
Aik Kehta Hay K Us Ki Haddi Toot Gai Hai
Dosra Bolta Hai K
Nahi Us Ka Angotha Nikal Gaya Hai
Donoon Me Kafi Behas Ho Rahi Hoti Hai To
Tisra Doctor Bolta Hai
Chalo Us Say Hi Poch Laetey Hain
Ussay Poch Tay Hain To
Wo Bolata Hai
Nahi , Na Mera To Chapl Tota Hay
by Pak101.com (few years ago!)