Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Search Results for 'tabo'

1st post

Wasi shah¤
¤Nazar jab tum se milti he.
Me khud ko bhool jata hon.
Bas ek dharrkan dharrakti he
Me khud ko bhool jata hon.
Tumhen milney se pehley.
Me boht sajta sanwrta hon.
Magar jab tum sanwartey ho.
Me khud ko bhool jata hon.
Me aksar kitabon pe Tera hi naam likhta hon.
Magr kuch tum jo likhtey ho,
Me khud ko bhool jata hon
Me aksar ye hi kehta honktum se pyar karta hon
Magar jab tum ye kehtey ho,
Me dunya bhol jata hun.

443 chars (3 sms)


Ab ke bichhade to

Ab ke bichhade to shayad,
khyalo me mile,
jaise sukhe hue phool,
kitabo me mile.

84 chars (1 sms)


Mujhe Aadat Si

Mujhe Aadat Si HO Giye Hai Subha Sham Likhta Hon
Tumhain Mohsin
Tumhe Dilbar
Tumhe Gulfam Likhta Hon
MeiN Haton Per
Kitabon Per
Darakhton Per
Diwaron Per
Mein Jab Likhon
Jahan B Likhon
Sirf?
Sirf Apni Jaan
Yani Apka Naam Likhta Hon

244 chars (2 sms)


Be qarar tanhaiyon

Be qarar tanhaiyon ka silsila reh jayega,

tere mere darmiyan bus Ik khala reh jayega,

ashq beh jayenge sarey dukho k sailaab main,

aur koi paniyo mai jhankta reh jayega,

mujhko mere humsafar aisa safar DAR paish he,

Rasta kat bhi gaya to fasla reh jayega,

log so jayenge khamoshi ki chadar ourh kar,

chand sune angano mai jagta reh jayega,

Jo kabhi us nay parhi thi mujhse mang kar.

naam mera un kitabo mai likha reh jayega . . .

456 chars (3 sms)


ab kis say kahein aur kon

ab kis say kahein aur kon sunay jo hal tumharay bad huwa is dil ki jheel si akhon mein ek khuwab bohat barbad huwa is shehar mein kitnay chehray thay kuch yad nahi sab bhool gay ek shakhs kitabon jaisa thaw oh shakhs zabani yad huwa

233 chars (2 sms)


Numayaan ho key dikhla

Numayaan ho key dikhla dey kabi unko jumal apna
boht mudat sey charchey hein terey bareek beenoon mein

Tu to Aalim hai samajhta hai kitaboon ki zubaan
mera chehra bhi parh merey halaat bhi bata

199 chars (2 sms)


Sochta hoon taire

Sochta hoon taire bare main apna kheyal likhoon
tairi tehreef likhoon ya khuda ka kamal likhoon

maire qalam se aur koi tehreer ban na paaey
main jab bhe likhoon bas taira hus-ne-jamal likhoon

main ne ek ummer kati ha tenhaiyoon main
kaghaz k aik tukre pe kaise main hal likhoon

her zindgi ko urooj tak jo rahnamai de
main apni zindgi ki aaisi misal likhoon

maire baad bhe muje loog kitaboon main dein jaga
main apne urooj ki terha apna zawal likhoon

466 chars (3 sms)


Lafzon ki tarah tu

Lafzon ki tarah tu mujh se kitabon mai mila kar Duniya ka tujhe dar hai to khawabon mai mila kar Phuloon se khushbu ka taaluq hai zaruri. Tu mujh se mehak ban k gulabo mai mila kar...

184 chars (2 sms)


Aks-e-khushboo hoon

Aks-e-khushboo hoon, bikharnay say na rokay koi
Aur agar bikhar jaoon to mujh ko na samaitay koi

Kaamp uth-ta hoon main yeh soch k tanhaee main
Meray chehray pe tera naam na parh lay koi

Jis tarah khuwaab meray ho gaye reza reza
Iss tarah say na kabhi toot k bikhray koi

Main to uss din say harasan hoon k jab hukam milay
Khushk phoolon ko kitabon main na rakhay koi

Ab to iss rah say wo shakhs guzarta bhi nahi
Ab kis umeed pe darwazay say jhankay koi

Koi aahat, koi awaz, koi chaap nahi
Dil ki galiyan bari sunsaan hain, aye koi

552 chars (4 sms)


In kitabo me titliyan rakh ja

In kitabo me titliyan rakh ja
kuch to aapni nishaniya rakh ja,

Log thak har ke na laut aaye,
raste me kahaniya rakh ja.

Muntazir Koyee to mille tujhko
Ghar ke bahar udasiyan rakh ja.

Aaj toofan bhi akela hai
tu bhi sahil pe kashtiya rakh ja.

Ho raha hai agar juda mujhse
meri ankho pe ungliya rakh ja.

319 chars (2 sms)


ye kitaboon k Qissy,

ye kitaboon k Qissy,
Fasano ki baatain

nighaon ki jhilmil,
judai ki raatain

muhabat ki qasmain,
nibhaney k waday

ye dhoka wafa ka,
ye jhotey iradey

ye baatain kitabi,
ye nazmain purani

nahi in main haqiqt,
ye sab hain kahani

na likhna inhain tum,
na mehfoz karna

ye jazbay hain bas,
in ko mehsos karna

331 chars (3 sms)


kitabon se Daleel Doon

kitabon se Daleel Doon ya Dil ko samney Rakhon




Wo mujh se Pooch Baithay Hain MohabAt kis ko Kehtay Hain

113 chars (1 sms)


parhna Hai to insanon

parhna Hai to insanon ko Parhne Ka Hunar Sikho


Har ek Chahre Pe Likha Hai Kitabon se Ziada.

97 chars (1 sms)


Guzray Waqat Ko Bhula

Guzray Waqat Ko Bhula Dena Bhe Aasaan Nahe Hota
Ghamon Ko Hansi Men Chupa Lena Bhe Aasaan Nahe Hota
Zaruri Nahe Ke Poori Ho Har Khahish Lekin
Apni Khahishon Ko Daba Lena Bhe Aasaan Nahe Hota
Maana Ke Tootey Huey Phoolon Say Khushboo Nahe Aati
Magar Unhen Kitabon Men Sajaa Lena Bhe Asan Nahe Hota

302 chars (2 sms)


Ab kissay kahein aur

Ab kissay kahein aur kon sune jo haal tumhare baad hua
is dil ki jheel si aankho main ik khuab bohat barbaad hua
shehar main kitne chehre the kuch yaad nahi
ek shaks kitabo jaisa tha woh shaks zubani yaad hua...

215 chars (2 sms)


Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook