Search Results for 'ayat'
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
K zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein
Guzarnay pati tu shadab ho bhi sakti thi
Yeh teragi jo meri zeest ka muqadar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha k mein begana alm ho kar
Teray jamal ki ranaeon mein kho rehta
Tera gudaz badan teri neem baz ankhein
Inheen haseen fasanoon mein mehav ho rehta
Pukarteen mujhe jab talkhiyan zamanay ki
Teray labon say halawat k ghoont pee leta
Hayat cheekhati pherti barehna sir aur mein
Ghaneri zulfon k saya mein chhup k jee leta
548 chars (4 sms)
Magar yeh ho na saka aur ab yeh alam hai
K tu nahi tera ghum teri justaju bhi nahi
Guzar rahi hai kuch es tarah say zindagi jaisay
Zamanay bhar k dukhon ko laga chukka hoon galay
Guzar raha hoon kuch anjani rahgawaron say
Muhayab saye meri simat bhartay atay hain
Hayat-o-maut k par hol kharzaron say
Na koi jada manzil na roshni ka charag
Bhatak rahi hai khalaon mein zindagi meri
Enheen khalaon mein reh jaoo ga kabhi kho kar
Mein janta hoon meri ham-nafas magar youn hee
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
526 chars (4 sms)
kuch bholi bisri yadaian
kuch piyari piyari baatain hain
kuch kisey un ki chahat k
kuch lafaz piyar muhabbat k
kuch khas nahi hai mera piyar
per itna aam bhi naa samjhoo
woh dunia ki shikayat kerta hai
per piyar woh mujeh sey kerta hai
us ko nahi maloom mager
woh kho jay ga ik din jab
hum praymi loog hi chahain gay
woh phir sey kahain aabad to ho
woh aansoo aansoo roey ga
jab chahat hamari tarsaye gi
tab hum bhi kahaian gay ab jana
woh yaadaian to diwani thin
woh jhota kisa tha sara
hum ko tum sey piyar nahi
530 chars (4 sms)
Kuch shikayatein baaki hai dil mein,
Dil tootne ke is haadsat ke baad,
Khabar teri yun aati rehti hai har dum,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...
Charcha hota rehta hai deewano ka yahan,
Har jaan ek jist jaise nazar aati hai,
Baithe baithe koi surat yaad aati hai mujhe,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...
Khamoshi mein aahat gunjti hai kanon mein,
Jaise bula rahi ho dekar mujhe awaz,
Achanak log kyun daudne lagte hai,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...
Naaz hai kyun mujhe apni mohabbat par itna,
Ke yeh dil tujhe chahne ki zid par hai,
Khwaab har pal toote nazar aate hai,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...
704 chars (5 sms)
Nargis koi mamoli larki nahi
Us ne Multan se Matirc kia
karachi se F.A kia
Faisalabad se B.A kia
Islamabad se M.A kia
Fir ala taleem k liye 10 sall apni nani k pass Hira mandi rahein
Wo humhari Qom ka sirmaya hai
Us ko izat se milen or ihtram karen .
{ IDARA TAHAFZ-E-TaXi HAYAT PAKISTAN}.
298 chars (2 sms)
= = = DuA = = =
Ya Allah Tujh se Maangta Hoon
Aisi Maafi Jis K Baad Koi Gunah Na Ho
Aisi Hidayat Jis K Baad Koi Gumrahi Na Ho
Aisi Raza Jis K Baad Narazgi Na Ho
Aisi Rehmat Jis K Baad Azaab Na Ho
Aisi Kamyaabi Jis K Baad Nakami Na Ho
Aisi Izzat Jis K Baad Zillat Na Ho . . .
Naya Islami Saal Mubarak . . .
328 chars (3 sms)
dus hijar di koi had meno.
toun fair milain ga kad menoon.
tu hr kisey day naal rawain.
tey yaad kerain behad menoon.
muk jaan hayatti dey dukhrre.
aa kol mere ya sud menoon.
180 chars (2 sms)
Ager apko meri "Ammi" ko meri "Shikayat" Laganey ka MOQA miley to App Meri Konsi "Shikayat" Lagaoe Gaye..?
Send this to your Friends..
And find interesting facts about you Pesonality..
But Reply Me 1st..
208 chars (2 sms)
1st Sardar:Me Kal Mushaery me gya
to logo ne mjhe utha k bahir phenk dia
2nd:Wo Q?
1st:Shaer ka nam Hayat tha
or me usy Daad dy rha tha
"WA HAYAT"
"Wahayat"
169 chars (2 sms)
aa jata hai milney wo taswar main sar-e-shaam
ek shakhs ki itni c inayat b bahut hai...
90 chars (1 sms)
Ai yaad-e-yaar tujh se kareN kyaa shikaayateN
Ai dard-e-hijr hum bhii to patthar ke ho gaye
93 chars (1 sms)
us zakham k bharne mai kuch dair to lagti hai....
jis zakham mai shamil ho apnon ki inayat...
97 chars (1 sms)
Mumkin Ho Aap Say Tu Bhula Dejeyey Mujhe
Pathar Pay Hoon Lakeer Mita Deejeyey Mujhe
Har Roz Mujh Say Taza Shikayat Hay Aap Ko
Mein kya Hon Aik Bar Bata Dejay Mujhey
167 chars (2 sms)
tanhai jab mukaddar ne likhi thi to
kya shikayat apne begane se
hum mit gaye jinki chahat me
wo baaz nahi aate hame aajmane se
130 chars (1 sms)
Teri barat chali,
meri mayat uthi,
phool tujh pa bhi tha,
phool mujh pa bhi tha,
farq itna tha ka tu saj ka gay,
mai sajaya gaya,tu b ghar ko chali,
mai bhi ghar ko chal,
farq sirf itna tha tu uth ka gai,
mai uthaya gaya,
mahfil wahan b lagai,
log yahan b the,
farak itna tha k un kah hansna,
wahan un ka runa,qazi udar b tha,
molvi idhar b tha,
farak itna tha taira nikkah parhaya gaya mera janaza parhaya gaya,f
arak itna tha tujhe apnaya gya mujhe dafanaya gaya
510 chars (4 sms)