Pappu Ghar Der Se Pahucha
Pappu Ghar Der Se Pahucha Aur Ghar Mein Darte Darte Enter Hua
Father: Kahan Tha Ab Tak, Itna Late Kaise Hua,
Pappu: Papa, Friend Ke Ghar Tha,
Yeh Sun Kar Unhone Sabhi Khaas Doston Ko Phone Laga Diya,
Friend 1: Ji Uncle Yahi Pe Tha, Just Ghar Ke Liye Nikla Hai,
Friend 2: Yahi Hai Uncle Toilet Gaya Hai, Baat Karau Kya ?
Friend 3: Uncle Ji Woh Padh Raha Hai….
Best Friend: Friend 4: Haan Papa Boliye, Kuch Kaam Tha !!
Kyunki Har Ek Friend Zaroori Hota Hai
by Pak101.com (few years ago!) / 1164 views
Similar Jokes
3 sardar picnic par gae wahan ja kar yad aya k pepsi to ghar bhol gaye
Decide kia ki sab se chota sardar ja kar pepsi le aaye
Chota sardar:Main is shart par jata hun k tum mere ane tak samose nahi khao ge
Dono ne kaha thik hai
1 din guzar gaya sardar ni aya
2 din guzr gaye
2no ne socha k ab samose kha lne chahye
Jaise hi samosa uthaya chota sardar ped k peche se nikal k bola....
Aisa karoge to main nahi jauga.
by Pak101.com (few years ago!)
Ek ladki ko dekha to aisa laga. dusri ladki ko dekha to vaisa laga par dono ne thappad mara to ek jaisa laga.
by Pak101.com (few years ago!)
Ladke wale Ladki k ghar aaye Or Pucha...
'Ladki kuch karti bhi hai...??'
Ladki ki Maa - Han Ji...
11 Rupes Main Pure 1100 SMS Krti hai wo bhi 7 din me..
by Pak101.com (few years ago!)
Ek conductor ki shadi ho rahi thi
Mehman khushi khushi dono per phool barsa rahe the
Jab dulhan phero ke waqt uske pas aaker baithi, to weh bola
Thoda paas hoker baitho, ek swari aur baith sakti hai
by Pak101.com (few years ago!)
Punjabi:hum izat me thora peche hai.
Sindhi:hum kam me thora peche hai.
Balochi:hum taleem me thora peche hai.
Pathan :hum bila waja peche hai.
by Sabir shah (few years ago!)
Funny Ramesh:Hamne Mobile Marriage Bureau Shuru Kiya Hai
Shadi Ke Liye 1 Dabayen,Mangni Ke Liye 2 Dabaye
Suresh:Doosri Shadi Ke Liye Kya Dabaye?
Funny Ramesh: Doosri Shadi Ke Liye Pehle Waali Patni Ka Gala Dabye
by Pak101.com (few years ago!)
Bat ko mzak me ni lena..
Jab se nayaa saal shuru hua hai tab se ap keh rahay ho k
Ye 2 Hazaar Tera Hai.
(2013)
To Plz mere 2 Hazaar mujhe day kar kahaani khatam karo.
Eid Ki Shoping Karni Hai…!!
by hearthackervsgirls (few years ago!)
Dr: Apka weight kitna hai?
Patient: Chashme ke sath 75 kgs.
Dr: Aur bina chashme ke?
Patient: Woh bina chasme ke toh mujhe dikhta hi nahi.
by Abdul Hannan (few years ago!)
Ek sharabi ne bahut zyada sharab pee le. Jab woh ghar aaya to uss ne jeb se chabi nikali aur tala ko kholney laga.
Haath kaapne ke wajha se chabi kabhi idhar hat jati kabhi udhar hat jati, ek admi pass se guzra toh sharabi ne usey bataya ki tala nahi khul rahi hai.
Uss shaks ne sharabi ke pass ja kar kaha, lao chabi tala main khol deta hoon
Aur phir sharabee ne kaha, Tala toh main hi kholonga bas tum makan ko pakar ke rakhna
by Pak101.com (few years ago!)
Research K Mutabiq
Larkiyan Larkon Say Ziada
Mehenti Hoti Hain...
Kyun k
100 Mein Say 5 Larkiyan Qudrati Khubsurat Hoti Hain
aur Baqi
Apni Mehnat Say
by Abdul Hannan (few years ago!)