Lanat bhej raha ho
Exam hall mein Student copy pe apna
Panja bana ra tha.
Duty per teacher bola paper mein to hand ki diagram ka Question nai
Student:
Mein paper banane wale per lanat bhej raha hun
by Numan Malik (few years ago!) / 878 views
Similar Jokes
Arrange Marriage Karoge To:
1,00,000 Shadi Par
50,000 Dj Booking Par
50,000 Khane Peene Par
2,00,000 Jewellary Par
50,000 Shopping Aur Kapdo Par
& Rs.1,00,000 Shadi Ki Rasmo Par
Yani, Shadi Ke 3 Dino Ka Kharcha = Rs.5,50,000
Aur Love Marriage:
100 Rupye Ka Stamp
20 Notery Ke
50 Varmaala Ke
10 Photo Ke
Total 180 Rs.
Paisa Apka, Pasand Apki, Faisla Apka
Jago Nojawan Ladko Jago Soch Badaloge To Desh
Badlega
by Tanveer Hussain (few years ago!)
Ek chota baccha bahut der se ghar ke bahar khada darwaje ki ghanti bajane ki kosish kar raha tha.Toh ek budha aadmi aaya aur kaha:
Budha aadmi: Kya kar rahe ho beta?
Baccha: Uncle, yeh ghanti bajana chahta hoon.
Budha aadmi (ghanti bajake): Yeh lo bajgaya, ab kya hai?
Baccha: Ab bhago!
by Mohammad Ali (few years ago!)
1 Pathan interview dene ke liye gya,
Officer:-
"Tum kitne bhai behen ho?"
Pathan:- 9
Officer:-
"Un mein tumhara kon sa no. ha?"
Pathan:-
.
.
.
.
.
'Telenor ka'..:-D
by Aurangzeb Khan Tunio (few years ago!)
Sardar 2 doctr: Mujhe 1 problem hai
DR: Kya?
Sardar: Baat karte waqt aadmi dikhai nahi deta
Dr: aisa kab hota hai?
Sardar: Phone karte waqt
by sana (few years ago!)
Teri galiyon mein ghumenge hum jaan-jaan ke,
Hume pata hai ki tune Thane mein report likhvai hui hai,
Jaa ke puch le us Thanedaar se,
Humne uski bhi ladki fasai hui hai!!!
by Pak101.com (few years ago!)
SANTA- Tere kitne bachhe hain?
BANTA- 18
SANTA- Itne saare?
BANTA- Sasurji se wada kiya tha k unki beti ko
kabhi khaali pet nahi rakhoonga ;-)
by Tanveer Hussain (few years ago!)
Ek baar Santa kahain jaa raha ki ek diwar par padha
"Padhne wala Gadha"
Santa ko bohat ghussa aya, usne mita kar likh diya!
"Likhne wala Gadha"
by Pak101.com (few years ago!)
Kabhi aapne socha hai….
Tawe pe pada popcorn uchalta kyo hai ? Socho !!
Thik se socho !!
Nahi soch paye ? Thik hai, jawab chahiye…
Khud baith ke dekh lo tawe par,
pata chal jayega.
by Pak101.com (few years ago!)
Khuda kare ke tum zindgi me bahut aage bado..
itne aage bado ke jisase bhi milo wo kahe...
.
.
.
“Chalo bhai aage bado..chutta nahi hai..“
by Mazhar Khan (few years ago!)
Baap: Beta koi bat nai tumhari qismat mai Fail hona hi likha tha
.
Beta: Jee Papa, yai tu acha howa mai ne pura saal parha nai warna sari mehnat zaya hojati
by inayat khan (few years ago!)