Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Search Results for 'yaad'

,Saal Beetey, Dil Se Mere

,Saal Beetey, Dil Se Mere Ja Na Paye Tum
Sham Ki Tanhai Mein Phir Yaad Aaye Tum


Har Subah Paya Tumhein Khayalon Mein Apne Pas
Raton Ko Khuwabon Mein Mere Muskaraye Tum


Lagte Ho Mere Apne Jabase Tum Ho Dur
Na Jane Kyon Lagte Thay Pahle Kuch Paraye Tum


Piyar Hum Se Behisab Tha Tumhein Phir Bhi
Janey Kyon Hum Se Rahey Nazarein Churaye Tum


Jab Talak Tum Sath Thay Shikway Bhi Sath Thay
Kuch Nahin Ho Ab Mohabbat K Siwai Tum


Thak Gaya Hoon Zindagi Ki Rah Mein
Kaash Mil Jate Kahin Nazrein Bichhaye Tum

530 chars (4 sms)


Hum mai or tum mai

Hum mai or tum mai
kab yeh teh huwa tha???
k phir milege zindagi k kisi mord par
kab yeh kaha tha k bin tumhare
na jee sakhainge hum
buhat tarpaye ga yeh hijar ka mosam
yeh sawan aur pat jhar ka mosam
kab yeh teh huwa tha
k sar shaam hi
tumhari yaad utar aayegi
is dil k aangan mai
AGAR! yeh sab teh nahi huwa tha tu
barso bad guzar jaane k bad bhi
meri wehshoton meri yaadon meri tanhiyon mai
sirf TUM hi TUM kyun hon?

433 chars (3 sms)


BHULAYA NA JAA SAKA

BHULAYA NA JAA SAKA

Palkon pe aanso“on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso“on ko chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka

619 chars (4 sms)


dard apanaataa hai

dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun

ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun

348 chars (3 sms)


Ek Hum Hain Jo Unhein

Ek Hum Hain Jo Unhein Bhool Hee Paate Nahin,
Ek Wo Hain Jinhein Hamaari Yaad Tak Aati Nahin,
Ishq Ki Daastaan Ajeeb Daastaan Hai Jo,
Samajh To Aati Hai Lekin Samajhai Jaati Nahin

181 chars (2 sms)


Aainda maat anna tum

Aainda maat anna tum kabhi bhi yaad mujhye
Tere yadoon nye ker diya bar-baad mujhye

Na duniyta ke sitaam Na qismat ki badnasibi
Kuch nahi teri muhabbat ke siwa yaad mujhye

Atte hain nazar har taraf wiranye hi wiranye
Dikhai nahi deta SHARIM koi ghar ABAD mujhye

272 chars (2 sms)


Raat ko pocha mujs

Raat ko pocha mujse chand sitaro ne
tumko bhula diya tere jigri yaro ne.

Maine kaha k bhule nhi hai faryad to karte honge,
mera sms padh k yaad to karte honge.

164 chars (2 sms)


Aap apnay qareeb

Aap apnay qareeb aanay nahin daitay,
Khud ko seenay say laganay nahin daitay,

Dil aap ki yaad main tarapta bhi bohut hay,
magar aap hamain aanso bahanay nahin daitay,

aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil,
Rooth’tay hain to phir mananay nahin daitay.

260 chars (2 sms)


Woh Aankh Chupke Say

Woh Aankh Chupke Say Yon DIL K Bied Keh Jaye
K Jaise Baat Koi Yaad Aa k Reh Jaye
Na Woh Haseen Na Mein KHub Ro Magar Ik Saata
Hamein Jo Dhek Le WOh Dhekta hi Reh Jaye

169 chars (2 sms)


Woh Aankh Chupke Say

Woh Aankh Chupke Say Yon DIL K Bied Keh Jaye
K Jaise Baat Koi Yaad Aa k Reh Jaye
Na Woh Haseen Na Mein KHub Ro Magar Ik Saata
Hamein Jo Dhek Le WOh Dhekta hi Reh Jaye

170 chars (2 sms)


teri yaad mein jeetey jeetey

teri yaad mein jeetey jeetey aik zamana beet gaya
hum ko apney app se bichrey zamana beet gaya

pani ke pardey par tum ne naam wafa ka likha tha
pani ki lehroon ko taktey aik zamana beet gaya

ankhoon mein kuch khwab basa kar hum ne jeena chaha
ankhoon mein khwaboon ko sulagtey aik zamana beet gaya

jatey jatey phir milney ki aas na detey acha tha
phir milney ki aas mein jaltey jaltey aik zamana beet gaya

kon suney faryaad kissi ki kon kissi ka dard sahe
apne app se batein kartey aik zamana beet gaya!!

521 chars (4 sms)


Shaame dhal to jaati h

Shaame dhal to jaati hai teri yaado k sahaare
Guzra kal tha peeche, aaj samne hamare
Hum kabhi to kharay thay
Jaane kis kinaray
Khafa huay tum, zindigaani se hum haaray ..

Is mukhtasir kahani ka wo pal ajab tha
Waqt ne jis taraf chora wo manzar ajab tha
Bheegi baarish main kharay thay
Kaali raat ke thay nazaare....

326 chars (3 sms)


Nukss Mujh Main Zaroor

Nukss Mujh Main Zaroor Hay Koi
Aaj ItNa Jo Door Hay Koi
Muskurao Na Aaj Taroon
Gum Kay Zakhmon Say Choor Hay Koi
Uss Nay Yaad Karna Choor Dia
BaaT Iss Main Zaroor Hay Koi.

176 chars (2 sms)


mai aksr thak sa jata hu

mai aksr thak sa jata hu
musalsal sochty tumko
k meri zindagi khali tumhary bin
khud b adhuri c
teri khawhish ki shidat ko sambhaly jab main
be''sudh ho kr gir jata hu bistar pe
to aansu aankh se,
aur dil se
shikway phoot party hain
gilay khud se,
Khuda se
aur tumse karta hu,
muje kyu is qadar
tum yaad aaty ho?

326 chars (3 sms)


itanaa TuuTaa huun ki

itanaa TuuTaa huun ki chhune se bikhar jaongaa
ab agar aur duaa doge to mar jaauungaa

lekar meraa pataa vaqt raayagaa na karo
main to banjaaraa huun kyaa jaane kidhar jaauungaa

is taraf dhundh hai jugnuu hai na chiraaG koii
kaun pahachaanegaa bastii mein agar jaauungaa

zindagii main bhii musaafir huun terii kashtii kaa
tuu jahaan mujh se kahegii main utar jaauungaa

yahaan rah jaayenge guldaano mein yaadon kii nazar
main to Khushbuu huun fizaaon mein bikahr jaauungaa

489 chars (4 sms)


14 august 2989 aa dil Aaas aaina adawat agra akhtar ali baba allah pak alone altaf ankhein anniversary apno april asad attitude ay dost badmashi Bahon bardey benazir bewafa bewafa nahi Bhai bharosa bichar gay bike blessing boring boys broken heart call cast chad chal chal be chale chand Choot christmas sms chut cigareete come back cool Crying Dadi Dard darji daru dasi defence day dene dirty sms dost dowa drink duwa ehd e wafa eid ka din eid sms eid ul azha emotional english Fahad Faiz flirt flower Forgiveness Friday friends friendship funn funny gadha gand gandu ganj garam pani gareeb gazal Girls good night Hadis hand happy birthday happy new year hate HEAD heaven holi husband hussain i am fine I KISS U I LOVE U If You Really Love Someone Arrange ignore intezar iqbal ishq jaat janaza Jangal Jiger Jism judai jungle ka badshah karachi kare kathi khali hathon ko kabi gor se dekha hai Khat khush khushi lamha larki Laut aao Liar list little love love Love sms lover manz manzil marne marne wale Married masjid masoom maut Meer memon memory mohabbat Mola ali molvi monday mother mulakat Musafar nafrat namaz Naseeb Nawaz sharif pakistan pardesi pareshan Pathan phol picture pindu professor to student Punjabi pyar ramzan rawalpindi register reply rooh sach Sacha pyar sad poetry safar Sagar salary saqi sardar sharab shoaib sick sorry Success sunday takrar Tanhai taxi tears tere hath se tongue twister trust udas udas larki valentine Wapda waqt wasi wife wife sms without you words ya rab mere yaad yakeen ye watan Your heart was frozen ziddi Zindagi
Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook