Forums > Poetry / Ghazal Corner > Mujh Se Itne “Qareeb” Ho Jao
lailagul


Age: 30 Female
4595 days old here
Total Posts: 174
Points : 67

Location:
islamabad, Pakistan

Status : Offline
Subject : Mujh Se Itne “Qareeb” Ho Jao (closed)
Mujh Se Itne “Qareeb” Ho Jao
Udaas Shab Ki “Saleeb” Ho Jao
Meri Baanhon Ko Sonp Do
Sab Kuch Meri Khatir “Ghareeb” Ho Jao
Mujh Mein Utro Mere Lahu Ki Tarhan
Meri Rooh Ke “Raqeeb” Ho Jao
Tum Jo Chu Lo Toh Dard Ghat Jaye
Aao Mere “Tabeeb” Ho Jao
Kuch Na Bolo Magar Kaho Sab Kuch
Aaj Aise “Khateeb” Ho Jao...........!!
(laila gul)



no likes.

Posted on April, 07 2012 11:58:24 PM


lailagul


Age: 30 Female
4595 days old here
Total Posts: 174
Points : 67

Location:
islamabad, Pakistan

Status : Offline
** Sirf Tere Naam**
Ik Chota Sa Sapna Tha
Us Sapne Main Koi Apna Tha
Us Apne Main Kuch Sukoon Tha
Jo Zindagi Ka Junoon Tha
Us Joonon Main 1 Rahat Thi
Jo Sirf Teri Chahat Thi
Us Chahat Main Ik Andaz Tha
Jo Meri Dharkano Ka Ik RAAZ Tha
Us RAAZ Main 1 Khusbo Thi
Jo Meri Soch Ki Justujo Thi
Us Justujo Main Ik Harart Thi
Jo Meri Khushion Ki Shahrarat Thi
Us Shararat Main 1 Ehsas Tha
K To Jo Mere Pass Tha
Us Pass Main Jo Arman Tha
Wo Sirf Tera *****NAAM***** Tha...
(Laila gul)

no likes.

Posted on April, 08 2012 12:05:28 AM

MirzaIT


Age: 32 Male
4648 days old here
Total Posts: 1055
Points : 350

Location:
Gujrat, Pakistan

Status : Offline
so nice lailagul ji....

no likes.

Posted on April, 08 2012 12:20:21 AM

MirzaIT


Age: 32 Male
4648 days old here
Total Posts: 1055
Points : 350

Location:
Gujrat, Pakistan

Status : Offline
so nice ghazal...

no likes.

Posted on April, 08 2012 12:21:26 AM

lailagul


Age: 30 Female
4595 days old here
Total Posts: 174
Points : 67

Location:
islamabad, Pakistan

Status : Offline
thanks for ur intrst


no likes.

Posted on April, 08 2012 12:28:14 AM

owaisahmed55


Age: 36 Male
5019 days old here
Total Posts: 10102
Points : 122

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
MA SHA ALLAH
itne c umar me poet ban gayn
ammazing

no likes.

Posted on April, 08 2012 01:14:53 AM

avais91


Age: 34 Male
4591 days old here
Total Posts: 1
Points : 0

Location:
umerkot, Pakistan

Status : Offline
very nice secth

no likes.

Posted on April, 10 2012 12:15:12 AM

BeHappy


Age: 29 Male
4596 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Repeated topic

no likes.

Posted on April, 10 2012 07:17:28 AM

juntalman


Age: 34 Male
4680 days old here
Total Posts: 1607
Points : 97

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
kyaa Khabar thii ai nigaar-e-sher tere ishq me.n
dil_baraan-e-shahar ke dil_daar ban jaaye.nge ham

saKht jaan hai.n par hamaarii ustavaarii par na jaa
aise TuuTe.nge teraa iqaraar ban jaaye.nge ham

aur kuchh din baiThane do kuu-e-jaanaa.N me.n hame.n
raftaa raftaa saayaa-e-diivaar ban jaaye.nge ham

is qadar aasaa.N na hogii har kisii se dostii
aashnaa_ii me.n teraa mayaar ban jaaye.nge ham

miir-o-Gaalib kyaa ke ban paaye nahii.n faiz-o-firaaq
zam ye thaa ruumii-o-ataar ban jaaye.nge ham

dekhane me.n shaaKh-e-gul lagate hai.n lekin dekhanaa
dast-e-gul_chii.n ke liye talvaar ban jaaye.nge ham

ham chiraaGo.n ko to taariikii se la.Danaa hai 'Faraz'
gul hue par subah ke aasaar ban jaaye.nge ham

no likes.

Posted on April, 10 2012 08:04:57 PM

juntalman


Age: 34 Male
4680 days old here
Total Posts: 1607
Points : 97

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
ye kyaa ke sab se bayaa.N dil kii haalate.n karanii
'Faraz' tujh ko na aa_ii.n muhabbate.n karanii

ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hame.n
shumaar abhii se judaa_ii kii sa'ate.n karanii

ko_ii Khudaa ho ke patthar jise bhii ham chaahe.n
tamaam umr usii kii ibaadate.n karanii

sab apane apanee qariine se muntazir us ke
kisii ko shukr kisii ko shikaayate.n karanii

ham apane dil se hai.n majabuur aur logon ko
zaraa sii baat pe barpaa qayaamate.n karanii

mile.n jab un se to mubaham sii guftaguu karanaa
phir apane aap se sau-sau vazaahate.n karanii

ye log kaise magar dushmanii nibhaate.n hai.n
hamii.n ko raas na aa_ii.n muhabbate.n karanii

kabhii 'Faraz' naye mausamo.n me.n ro denaa
kabhii talaash puraanii raqaabate.n karanii

no likes.

Posted on April, 10 2012 08:27:55 PM

Omer87


Age: 36 Male
4990 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Ek Tamana Thee Jho Hasrat Bun Gayi
Kabhi Dosti Thee Ab Mohabbat Bun Gayi

Kuch Is Tarha Shamil Hue Tum Zindagi Main
K Tujhe Sochte Rehna Meri Adat Bun Gayi.!.

ZaiN007 like this.

Posted on April, 10 2012 08:36:23 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
4996 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
main kisi aur ka hun itna bata kar roya

vo mujhe mehndi lagay hath dikha kar roya

mujhe anjaam e mohabbat nahi mäloom hargiz

ye kaha aur mujhe seenay se laga kar roya

jo mujhe zabt ki talqeen kiya karta tha

vo zamänay ko mera haal suna kar roya

aansu ban kar nikal na jaun kahiN, is Dar se

apne ashkoN ko vo aankhoN mein chhupa kar roya

wasl ka aakhri lamha jo muyassar tha hameN

usi lamhay mein vo sadiyoN ko sama kar roya...

no likes.

Posted on August, 22 2012 01:26:34 PM

jahan


Age: 30 Male
4833 days old here
Total Posts: 908
Points : 140

Location:
hasanabdal, Pakistan

Status : Offline
buhot achy buhot achi poetry and ghazal han

no likes.

Posted on August, 24 2012 03:29:09 PM

saim14399


Age: 31 Male
4650 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Woh pathar dil sahi hamara bhi ye
dawa hai
Hamaray lab jinhe chu le wo pathar
bol utte
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi
dekha gia Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar
rote rahe
Me khanay ki tauheen hai rindo ki
hatak
Kam zarf ke haath me agar jaam diya
jayai Hum karain baat daleelon se to rud
hoti hai
Is ke honton ki khamoshi bhi sanad
hoti hai
Abhi mitti na khunki thi abhi paani na
barsa tha Magar bazm-e-anasir me tere hone ka
charcha tha

no likes.

Posted on August, 24 2012 04:09:56 PM

atif03


Age: 46 Male
4990 days old here
Total Posts: 7660
Points : 828

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
very nice and touching

no likes.

Posted on August, 24 2012 04:15:40 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
4996 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Yeh aadat rooth jane ki kahan se seekh li tum ne

Bharosa tha mujhe tum par mukammal aaj se pehle

Riwayat azmanay ki kahan se seekh li tum ne

Mohabbat k ilawa kuch nahi tha teri ankhon main

Yeh nafrat ab zamane ki kahan se seekh li tum ne

Mere masoom sathi tu zara itna bata mujh ko

Mäharat dil dukhäne ki kähän se seekh li tum ne

no likes.

Posted on August, 24 2012 09:36:18 PM

Omer87


Age: 36 Male
4990 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii
merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii

mujh ko bhii shauq thaa naye cheharo.n kii diid kaa
rastaa badal ke chalane kii aadat use bhii thii

us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu
masruuf mai.n bhii kam thaa faraaGat use bhii thii

sunataa thaa vo bhii sab se puraanii kahaaniyaa.N
taazaa rafaaqato.n kii zaruurat use bhii thii

mujh se bichha.D ke shahar me.n ghul mil gayaa vo shaKhs
haalaa.Nke shahar bhar se raqabat use bhii thii

vo mujh se ba.Dh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa
varnaa har ek saa.Ns qayaamat use bhii thii


no likes.

Posted on August, 25 2012 12:42:33 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
4996 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Us ne phir mera haal pocha hai,Kitna mushkil sawal pocha hai

Hicthkiyun ka ajeeb lehja tha,Baat ko taal taal pocha hai

Tum mujhe chohr to na jao gey,Wastey daal daal pocha hai

Aansuoon ki zuban mein us ne,Jitna pocha kamal pocha hai

Kia kabhi mill sakein gay hum dono,Mujh se mera khayal pocha hai..,,!

no likes.

Posted on August, 26 2012 03:17:48 PM

Omer87


Age: 36 Male
4990 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Chalo tum kah rahe ho to,
Mai wapis lout jata hoon,
Tumhain manzil mubarak ho,
Naya saathi mubarak ho,
Magar aey hamdam-e-derina,
Mjhko itna batla do,
K wapis kis taraf jaon,
Kahan say sath laye they,
Mujhay itna to smjha do,
Agar aesa nahi mumkin,
To mujhko istarah tooro,
K mai yaksar bikhar jaon,
Bhataknay say to behtar hai,
Tumharay paas mar jaon

no likes.

Posted on August, 28 2012 10:38:39 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
4996 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Agar Aansu Baha Detay To un k Pas kya Rehta
Wo Hum Ko Hosla Detay To Un K Pas Kya Rehta
NishaN Hum ko Nahi Milta koi Un Tak Pohnchne ka
Humein Apna Pata Detay To Un k Pas kya Rehta
Wo Is Mein tha K Jis k Dam Par Wo Zinda Hai
Hum Un ka Dil Dukha Detay To Un k Pas kya Rehta
MusafiR Saray Phool Khila k Apni Rah Chal Detay
Shajar Tehni Juhka Detay To Un k Pas Kya Rehta
Humari YadoN Ne He Ab Tak Unhein Abad Rakha Hai
Wo hum ko B Bhula Detay To Un k Pas Kya Rehta

no likes.

Posted on August, 28 2012 11:26:35 PM

Omer87


Age: 36 Male
4990 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
yaad ki baarish
lamha lamha, baras rahi hai
phir bhi aas k sookhy patay
chatakh chatakh, k toot rahay hain
umeedon k saray panchi
ik ik kar k , rooth rahay hain
dil banjar honar sai phlay

TUM AA JAO

no likes.

Posted on August, 28 2012 11:31:32 PM