Forums > Poetry / Ghazal Corner > Mujh Se Itne “Qareeb” Ho Jao
lailagul


Age: 29 Female
4401 days old here
Total Posts: 174
Points : 67

Location:
islamabad, Pakistan

Status : Offline
Subject : Mujh Se Itne “Qareeb” Ho Jao (closed)
Mujh Se Itne “Qareeb” Ho Jao
Udaas Shab Ki “Saleeb” Ho Jao
Meri Baanhon Ko Sonp Do
Sab Kuch Meri Khatir “Ghareeb” Ho Jao
Mujh Mein Utro Mere Lahu Ki Tarhan
Meri Rooh Ke “Raqeeb” Ho Jao
Tum Jo Chu Lo Toh Dard Ghat Jaye
Aao Mere “Tabeeb” Ho Jao
Kuch Na Bolo Magar Kaho Sab Kuch
Aaj Aise “Khateeb” Ho Jao...........!!
(laila gul)



no likes.

Posted on April, 07 2012 11:58:24 PM


rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Shaam e gham jab bikhar gai ho gi
janay kis kis kay ghar gai ho gi ?
itni larzaan na thi chiraagh ki lau,
apnay saye say dar gayee ho gi
chandini ik shab ki mehmaan thi
subah hootay hi mar gayi ho gi
dair tuk wo khafa rahay hum se
door tuk ye khabar gayi ho gi
aik darya ka rukh badaltay hi
aik nadi phir utar gayi ho gi
jiss tarhaan woh safar pe nikla tha
sari rounaq udhar gayi ho gi
raat souraj ko dhoondnay kay liye
ta ba hud e sehar gayi ho gi
mairi yadoon ki dhoop chaoon mei
uss ki sourat nikhar gayi ho gi
ya taluq na nibha saka uss say
ya tabiyaat hi bhar gayi ho gi
tairi pal bhar ki dosti mohsin,
uss ko bad'naam kar gayi ho gi . . . . . . . .

no likes.

Posted on August, 28 2012 11:38:31 PM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Toot Jaye Na Bharam Hont Hilaoon Kaise Haal Jaisa Bhi Hai Logon Ko Sunaoon Kaise Wo Rulata Hai Rulaye Mujhe Jee Bhar Ke Meri Ankhein Hai Woh, Main Us Ko Rulaoon Kaise.

no likes.

Posted on August, 29 2012 03:42:02 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Dil e mUztarib Dil e Gham-Zada
Teray Gham Ki jO hAi Dawa Bata
Shab e Hijr Mein jO LabOn Pey Thi
wOhii Sab Sey Pehli dUa Bata
wO Palat Sakey Tera hO Sakey
kOii mUjh kO Aisi Wafa Bata
mUjhey kOii Aisa tOo Harf Dey
Naya hOsla Naya Zarf Dey
K Na tUjh Sey kOii Gilla KarOn
yOnhi Hans Key Sab Milla KarOn

Dil e mUztarib Dil e Gham-Zada
Meri Baat Sun Meray Pass Aa
Teray Saath Main Bhi tO hOn khaRa
Usi Raah Mein Usii mOar Par
JahaaN Chal Diya Tha wO ChOar Kar
Kisi Aur Dais Ki oaR kO
Naii ManzilOn Key Jahaan kO
JahaaN Mera kOii gUzar Nahien
Gila Phir Bhi Us Sey Magar Nahien

Dil e mUztarib Dil e Gham-Zada
Chalo Us kO Daitey hAin ye dUa
K wO KhUsh Rahey Meray Siwa

no likes.

Posted on August, 29 2012 09:37:26 PM

Omer87


Age: 36 Male
4796 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Hum woh ana parast hai jo haar kar bhi yehi kehte hai
Woh manzil hi badnaseeb thi jo humein paa na saki...


no likes.

Posted on August, 29 2012 09:45:55 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Ghazal likhon k ishaar likhon

Yehi tera andaz hai k payar likhon

Agar apni qismat likhnay ka zara ikhtiyar ho mujhe

To apnay naam k sath tujhe har bar likhon

no likes.

Posted on August, 29 2012 10:11:23 PM

Omer87


Age: 36 Male
4796 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Manzil bhi us ki thi,Rasta bhi us ka tha
Ik mein akela tha,Kafila bhi us ka tha
Sath sath chalny ki soch bhi us ki the,
Phir rasta badalny ka faisla bhi us ka tha

Aaj ku akela hoon,Dil sawal karta hai
Log to us k thy,Kia khuda bhi us ka tha...........!!!!

no likes.

Posted on August, 29 2012 11:28:01 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Main to madhosh hoon mujhe hosh ka kia pata.
main to khawab hoon mujhe need ka kia pata.
main to mohabbat hoon mujhe nafrat ka kia pata.
main to khushboo hoon mujhe gulab ka kia pata.
main to manzil hoon mujhe raston ka kiya pata.
main to uss ka hoon mujhe auron ka kia pata.

no likes.

Posted on August, 29 2012 11:34:33 PM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Jaa Tujhe Tere Haal Pe Chhorh Diyaa…,
Is Se Behtar Teri Saza Bhi Nahi…!!!

no likes.

Posted on August, 30 2012 05:55:08 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Waqt Hota Ke Mera Bakht Anaa'n Geer, So Hai

Tujh Se MiLne Mein Yu'n He Huii Thii Takheer, So Hai.

Hum He Is Baar Tap-E-Ghum Se Na Bachne Paaye,

Woh Jo Hoti Thii Tere Haath Mein Taseer, So Hai.

Itnii Dushwaar Nahin Thii Girh-E-Ghum Kii Kishod,

Be-Hunar He Tha Mera Nakhun-E-Tadbeer, So Hai.

Rum Bohot Tujh Mein Hai Lekin Mere Khuwabon Ke GazaaL,

DiLL Ko Hona Tha Tere Paao'n Kii Zanjeer, So Hai.

Main Sitaro'n Kii Sifarish Bhii Agar Le Aatii,

Yahi Likhii Thii Mere Khuwabon Kii Tabeer, So Hai . .

no likes.

Posted on August, 30 2012 08:26:38 PM

Omer87


Age: 36 Male
4796 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
To Kya Yeh Tay Hai K Ab Umar Bhar Nahi Milna
To Phir YeH Umar Bhi Kyon Tum Se Gar Nahi Milna...!!

no likes.

Posted on August, 30 2012 11:48:06 PM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Ajab Apna Haal Hota Jo Visaal-E-Yaar
Hota
Kabhi Jaan Sadqe Hoti Kabhi Dil Nisaar
Hota Na Mazaa Hai Dushmani Main Na Hai
Lutf Dosti Main
Koi Gair Gair Hota Koi Yaar Yaar Hota Ye Mazaa Tha Dillagi Ka Ke Barabar
Aag Lagti
Na Tumhen Qaraar Hota Na Hamein
Qaraar Hota Tere Waade Par Sitamgar Abhi Aur
Sabr Karte
Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar
Hota

no likes.

Posted on August, 31 2012 06:02:23 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Yeh aadat rooth jane ki kahan se seekh li tum ne
Bharosa tha mujhe tum par mukammal aaj se pehle
Riwayat azmanay ki kahan se seekh li tum ne
Mohabbat k ilawa kuch nahi tha teri ankhon main
Yeh nafrat ab zamane ki kahan se seekh li tum ne
Mere masoom sathi tu zara itna bata mujh ko
Mäharat dil dukhäne ki kähän se seekh li tum ne,

no likes.

Posted on August, 31 2012 05:41:33 PM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Jo Do Bhanwar Tere Gaalon Pe Raqs
Kartay Thay
Dil Aaj Bhee Unhi Tughyaanion Mein
Rehta Hai

no likes.

Posted on August, 31 2012 10:03:27 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Main ny roka b ni or wo thehra b nahi
Hadsa kia tha jisy dil ny bhulaya b nahi
Jany walon ko kahan rok ska hy koi
Tum chly ho to koi rokny wala b nahi
kon sa moor hy qun paon pakrti hy zameen
us ki basti b nahi koi pukara b nahi
Be~nyazi sy sbhi krya~e~jan sy guzry
dykhta koi nahi hy k tmasha b nahi
wo to sadion ka sfr kr k yahan pohncha tha
to ny muhn pheer k jis shakhs ko dykha b nahi

no likes.

Posted on September, 01 2012 02:21:23 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Tujhse bichar kar zindagi kat-ti nahi
dil se yaad or aankhon se surat
hat-ti nahi
khushi dhondne nikle
to gham hi itne mile k
muskurane ki ab to fursat mil-ti nahi
tere jane k baad hai dil pe pehre udaasi k
dil ko ab bahlane ki ejazat mil-ti nahi
zindagi se wabista hai yadeen itni a dost
is bimaar dil ki koi dawa mil-ti nahi
tujhe yaad karna ab to mery rooh me sama gaya hai
yaad karna mery aadat hai or kabhi aadat badl-ti nahi

no likes.

Posted on September, 02 2012 10:38:01 AM

Umer85


Age: 39 Male
4420 days old here
Total Posts: 487
Points : 15

Location:
Wah Cantt., Pakistan

Status : Offline
mere pass itni lambi lambi ghazal perne ka time nahi hai

no likes.

Posted on September, 02 2012 08:45:49 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
main ne kha pyaar hai tum se
usne kha acha kab se?

main ne kha dil hai tumhra
usne kha ye na kaho qasm se

main ne kha dil main tumhre kaon hai?
usne kha khali hai janam se

main ne kha pyaar mujhe karona tum
usne kha ye hoga nahi ham se

main kha sangdil bhut ho
usne kha ha ho bachpan se

main ne kha kuch tu rahem karo
usne kha dekhonga shyad kal se

main ne kha pather dil hai tumhra
usne kha majboor hai aadat se

Aah ye kaisi uljhan hai
mera sanam hi mera dushman hai
usne kha chorda lo jaan es jhnjht se

main ne kha kaya pagal ho gai tum
usne kha hona hai baqi tum se

main ne kha ek baar bas gale tu laga lo
us ne kha sorry ye hota nahi ham se . . .

no likes.

Posted on September, 03 2012 08:49:17 PM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
yaad aati hai to jara kho lete hai.
Ansu aankho se utar aya to ro lete h.
neend to nhi aati aankho me lekin aap
sapno me ayange is liye so lete hai

no likes.

Posted on September, 04 2012 12:17:00 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Mere hath uthe mere lab hile
Mere dil se ye awaz uthi
Tere honton ki hansi
Teri ankho ki chamak
Tere lafzon ki khushbo
Tere lehje ki dhanak
To jo soche tuje mil jaye
To jo chahe wo ho jaye
Tere rahon me jugno hon
Hr qadam pe tuhe bahar mile
To shad rahe abad rahe
Tuje zindagi se itna pyar mile
Mera sar jhuka mere lab hile
Mere dil se ye dua uthi
Jo mhfil me tera zikar chale
Hr lab pe dua aye
Tuje hr khushi ras aye
Koi gam na tere pas aye

no likes.

Posted on September, 04 2012 06:38:05 PM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Gilley hain hazaron ke badle ho kyon
tum,
Magar ab karain kyon gillaa ajnabi se, Azal hai neendain ganwaaney ka
silsila,
Yeh acha nahin silsila ajnabi se..

no likes.

Posted on September, 05 2012 07:29:30 AM