Forums > Poetry / Ghazal Corner > Mujh Se Itne “Qareeb” Ho Jao
lailagul


Age: 29 Female
4403 days old here
Total Posts: 174
Points : 67

Location:
islamabad, Pakistan

Status : Offline
Subject : Mujh Se Itne “Qareeb” Ho Jao (closed)
Mujh Se Itne “Qareeb” Ho Jao
Udaas Shab Ki “Saleeb” Ho Jao
Meri Baanhon Ko Sonp Do
Sab Kuch Meri Khatir “Ghareeb” Ho Jao
Mujh Mein Utro Mere Lahu Ki Tarhan
Meri Rooh Ke “Raqeeb” Ho Jao
Tum Jo Chu Lo Toh Dard Ghat Jaye
Aao Mere “Tabeeb” Ho Jao
Kuch Na Bolo Magar Kaho Sab Kuch
Aaj Aise “Khateeb” Ho Jao...........!!
(laila gul)



no likes.

Posted on April, 07 2012 11:58:24 PM


khuramms


Age: 40 Male
4500 days old here
Total Posts: 5939
Points : 224

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Kuch Pathro Me Phul Khil Jate Hai
Kuch Anjane Bhi Apne Ban Jate Hai
Kuch Lasho Ko Kafan Nasib Nahi Hota
To Kuch Lasho Pr Tajmahal Ban Jate Hain.

no likes.

Posted on November, 05 2012 05:39:30 PM

riabest


Age: 32 Female
4239 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
Yeh Bahein Humein jab apni Panahon mein bulathi hein, Humein apni Kasam hum har Sahara bhool jatey hain,,,,,,,,

no likes.

Posted on November, 05 2012 08:15:05 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4804 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Mujh Say Itnay “Qareeb” ho Jao ….!
Udaas Shab Ki “Saleeb” ho Jao ….!

Meri Baanhon Ko Sonp Do Sab Kuch….!
Meri Khatir “Ghareeb” Ho Jao….!

Mujh Mein Utro Meray Lahu Ki Tarhan….!
Meri Rooh Kay “Raqeeb” Ho Jao….!

Tum Jo Chu Lo Toh Dard Ghat Jaye….!
Aao Meray “Tabeeb” Ho Jao….!

Kuch Na Bolo Magar Kaho Sab Kuch….!
Aaj Aisay “Khateeb” Ho Jao….!

no likes.

Posted on November, 05 2012 10:07:45 PM

umarhameed


Age: 34 Male
4204 days old here
Total Posts: 131
Points : 59

Location:
rwp, Pakistan

Status : Offline
9ice

no likes.

Posted on November, 05 2012 10:10:33 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4804 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Meri rooh mein jo utar sakay woh mohabbtain mujhe chahiye
Jo sarab ho’n naa azaab ho’n woh rafaqtain mujhe chahiye

Unhain sama-ato’n ki talaash hain jo calendaro’n sey utar gayain
Jo samay k saath guzar gayain wohi fursatain mujhe chahiye

Kahin mil sakai’n to samait laa, meray roz o shab ki kahaniya’n
Jo ghubaar e waqt mein chup gayain wohi hakaaytai;n mujhe cahiye

Jo meri shabo’n k chirag thay jo meri umeed k baagh thay
Wohi loug hain meri aarzoo. Wohi sooratai’n mujhe chahiye

Teri qurbatai’n nahin chahiye meri shayri k mizaaj ko
Mujhe faasilo’n sey dawam dein teri qurbatai’n mujhe chahiye

Mujhe aur kuch nahin chahiye yeh duaai’n hain meri saibaa’n
Karri dhoop mein mujhe mil sakain wohi chhtayai’n mujhe chahiye….

no likes.

Posted on November, 05 2012 10:35:52 PM

salubhai169


Age: 30 Male
4237 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Duniya Ne Ham Pe Jab Koi iLzaam Rakh Diya
Ham Ne Muqaabil Oske Tera Naam Rakh Diya
Ik Khaas Had Pe Aagayi Jab Be-Rukhi Teri
Naam Oska Ham Ne Gardish-e-Ayyaam Rakh Diya
Mein Larkhara Raha Hun Tujhe Dekh Dekh Kar
TU Ne Tou Mere Saamnay Ik Jaam Rakh Diya
Kitna Sitam Zareef Hai Wo Saahib-e-Jamaal
Osne Diya Jalaa Ke Lab-e-Baam Rakh Diya

no likes.

Posted on November, 06 2012 04:47:02 PM

ZaiN007


Age: 29 Male
4816 days old here
Total Posts: 5043
Points : 51

Location:
sahiwal, Pakistan

Status : Offline
Mamool ban chuka hai mera raato’n ko jaagna,
Neendein mere wajood ki ik shakhs le geyaa..

no likes.

Posted on November, 06 2012 06:53:46 PM

ZaiN007


Age: 29 Male
4816 days old here
Total Posts: 5043
Points : 51

Location:
sahiwal, Pakistan

Status : Offline
Toot jata hai zakhamon ka zour,
Hans ke lete hain jab woh angrrayi..

no likes.

Posted on November, 06 2012 06:59:12 PM

ZaiN007


Age: 29 Male
4816 days old here
Total Posts: 5043
Points : 51

Location:
sahiwal, Pakistan

Status : Offline
Bhari mehfil main uth kar, teri nigah ne,
Kisi ka haal bigara, to kisi ka mustaqbil…

no likes.

Posted on November, 06 2012 07:03:23 PM

ahsanali


Age: 32 Male
4194 days old here
Total Posts: 56
Points : 69

Location:
Bahawalnagar, Pakistan

Status : Offline
Is dil ke har dhadkan ka ehsaas ho tum.
Tum kya jaano hamare liye kitne khaas ho tum.

juda ho k tumne hame maut se bhi battar sazaa di hai,
Phir bhi is tadapte dil ne tumhe khush rehne ki duaaein di hai.

no likes.

Posted on November, 06 2012 07:17:44 PM

saim14399


Age: 31 Male
4458 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Jin ke honton pe tarb-khezz hansi hoti
hai,
Woh bhi rote hain kitabon mein chupa
kar chehre..

no likes.

Posted on November, 06 2012 07:32:23 PM

salubhai169


Age: 30 Male
4237 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Ajeeb Dhang Se Maine Yahan Guzara Kiya..=
K Dil Ko Barf Kiya Zehn Ko Sahara Kya..=

Mazaaj e Dard Ko Sab Lafz Bi Qubo0l Na Thay..=
Kisi Kisi ko Tere Gham Ka Ishara Kya..=

Phr Us K Ashk Bi Uss Ko Adaa Na Kar Paaye..=
Wo Dukh Jo Us K Tabassum Ne Aashkhara Kya..=

K Jaise Aankh K Lagte Hi Khul Gai Ankhen..=
Nigaah e Jaan Ne Boht Do0r Tak Nazara Kiya..=

Hamen Bi Daikh K Tajseen E Nau se Guzre Hain..=
Badan Ko Sheesha Kiya Dil Ko Sang Paara Kiya..=

Ajab Mizaaj tha Tanhai Aashna Ka Saud..=
Khud Apna Sath Bi Muskhil Se Hi Gavara Kya...

no likes.

Posted on November, 07 2012 09:33:41 AM

aarzoo


Age: 31 Female
4239 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
Dunyaa ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke,,,,

no likes.

Posted on November, 07 2012 03:27:36 PM

riabest


Age: 32 Female
4239 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
Gilley hain hazaron ke badle ho kyon tum,
Magar ab karain kyon gillaa ajnabi se,
Azal hai neendain ganwaaney ka silsila,
Yeh acha nahin silsila ajnabi se,,,,,,

no likes.

Posted on November, 07 2012 03:40:46 PM

FarhanHassan


Age: 32 Male
4208 days old here
Total Posts: 4685
Points : 3092

Location:
jand,Attock, Pakistan

Status : Offline
Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi
Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi


Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryaani Se
Pairhan Hai Ke Sulagti Howi Shab Hai Koi

Hosh Uraanay Lageen Phir Chaand Ki Thandi Kirnain
Teri Basti Mein Hun Ya Khwaab-e-Tarb Hai Koi

Geet Banti Hai Tere Sheher Ki Bharpoor Hawa
Ajnabi Mein Hee Nahi TU Bhee Ajab Hai Koi

Lye Jaati Hain Kisi Dehaan Ki Lehrain “sheri”
Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hai Ko

no likes.

Posted on November, 07 2012 05:09:38 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4256 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Zindagi dard se ebarat se aey “aas”
Mat gila karna jab muqaddar bigar jae,

no likes.

Posted on November, 07 2012 08:38:38 PM

brightsky2020


Age: 33 Male
4578 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Hum ne jo deep jalaye hain teri galiyon mein,
Apne kuch khawb sajaye hain, teri galiyon mein,
Jaane yeh ishq hai ya koi karamat apni,
Chaand le ker chale aaye hain, teri galiyon mein,
Tazkraa ho teri galiyon ka to dar jata hai,
Dil ne woh zakhm uthaye hain, teri galiyon mein,
Is liye bhi teri galiyon se humain nafrat hai,
Hum ne armaan ganwaye hain, teri galiyon mein,
Kyon har ik cheez adhoori si lagti hai,
Jaane kya chorr aye hain, teri galiyon mein..

no likes.

Posted on November, 07 2012 11:15:10 PM

brightsky2020


Age: 33 Male
4578 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Har ek zakhm ka chehra gulaab jesa hai,
Magar yeh jaagta manzar bhi khawb jesa hai,
Yeh talkh talkhh sa lehja, yeh tez tez si baat,
Mizaaj-e-yaar ka aalam sharaab jesa hai,
Bara taveel, neyhayet haseen, bohat mubhim,
Mera sawaal tumhare jawaab jesa hai,
Tu zindagi ke haqaayeq ki teh main yun na utar,
Ke iss nadi ka bahaao chanaab jesa hai,
Teri nazar hi nahin harf ashnaa warnaa,
Har ek chehra yahan kitaab jesa hai,
Chamak uthey to samandar, bujhey to rait ke leher,
Mere khayal ka daryaa saraab jesa hai,
Tere qareeb bhi reh kar na paa sakoon tujh ko,
Tere khayal ka jalwaa hubaab jesa hai..

no likes.

Posted on November, 07 2012 11:16:49 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4804 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Na Ruk Sakay Ga Kubhi Silsila Mohabbat Ka
Khuda Ka Khalq Hai Raabta Mohabbat Ka

Thay Mere Chehray Pe Bhee Khaal-o-Khad Mohabbat Ke
Ke Mere Saamnay Tha Aaina Mohabbat Ka

Jahaan Ruki Mein, Wohi Manzil-e-Mohabbat Thi
Chali Tou Saath Chala Raasta Mohabbat Ka

Jahaan Andheray Nazar Aaye Nafraton Ke Mujhe
Jalaa Dia Hai Waheen Per Diaa Mohabbat Ka

Hamaaray Saamnay Tha Ek Kaaba-e-Ulfat
So Ham Ne Bhee Wahan Sajda Kia Mohabbat Ka

Hamain Khabar Hai Ya Phir Hai Khabar Mohabbat Ko
Jo Qarz Ham Ne Kia Hai Adaa Mohabbat Ka

Wafaa Ka Badlaa Wafa Hee Hai Shahida Tasneem
Hai Pur-Khuloos Mohabbat Silaa Mohabbat Ka

no likes.

Posted on November, 07 2012 11:43:48 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4804 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Tootay Howay Lafzon Mein Rawaani Nahee Milti
Lamhon Mein Tou Sadyon Ki Kahaani Nahee Milti

Dil Jal Gayaa Ab Os Mein Dhuwaan Tak Nahee Uthta
Os Raakh Se Tasweer Puraani Nahee Milti

Izhaar Pe Taalay Hain Tou Taalay Hee Samajhna
Har Likhi Howi Baat Zabaani Nahee Milti

Jo Maango Muqaddar Se Hamain Wo Nahee Milta
Is Dour Ke Raaja Ko Bhee Raani Nahee Milti

Baaqi Nahee Khaaron Mein Bhee Pheli Si Chubhan Ab
Aur Phoolon Pe Pheli Si Jawaani Nahee Milti

Socha Tha Kisi Shaam Suhaani Ko Milain Ge
Aur Shaam Hamain Koi Suhaani Nahee Milti

Kaisay Mein Yaqeen Os Ka Karuun Os Mein Tou Ek Bhee
Chaahat Ke Qabilay Ki Nishaani Nahee Milti

no likes.

Posted on November, 07 2012 11:47:55 PM