Akal Badhi Ki Bhains?
Circuit- Bhai ye bata Akal badhi ki bhains?
Munna Bhai- Pehle apun ko date of birth bata tabhi to bataega tereku, aisehi khali peeli time khoti karta hai sala.
by Pak101.com (few years ago!) / 1165 views
Similar Jokes
Aik burhya tangay kay nichay aagayi to sipahi nay tangay walay ko pakr kar poocha. Tum nay burhya ko takkar kiun mari hai?
Tangay wala khamosh khara raha. Burhya kehnay lagi: ab kiun nahi boltay? Pehlay to bara shor macha raha rahay the keh bach mayi bach mayi ….. ab bol.
by Tanveer Hussain (few years ago!)
4 Pathan JANAZE Ko Tezi Se Lekr Qabron K Oper Se Guzar Rhe Thy
ADMI:Oe Sharam Kro! Neche MURDY Hain.
PATHAN:To Uper Konsa Hm Ne WORLD CUP Uthya Hua Hy.
by Pak101.com (few years ago!)
Pathan Ka Gadha Gum Ho Gaya,
Pathan Use Dhond'te Hue
Ek Park Pohncha!!
Wahan Ek Larka Apni Girlfriend
Ki Aankhon Me Dekhte Hue Keh
Raha Tha...
Mujhe Tumhari Aankhon Me
Sari Dunya Nazar Arahi Hai.
Pathan Chillaya Or Bola,
Bhai Dekhna Zara Mera Gadha
Nazar Arha Hai Kahin...
by Abdul Hannan (few years ago!)
Teacher: Shadi ke waqt Dulha ko gorhy (horse) par kion betaya jata hai??
.
Student: Last warning di jati hai ky abhi bhi waqt hai bhaag ja….
by Haris abbas Qureshi (few years ago!)
Santa: Station jane ke kitne loge?
Ricksha wala: 50
Santa: 20 le lo.
Ricksha wala: 20 mein kon le ke jayega.
Santa: Tum peche betho hum le ke jayega..
by Tanveer Hussain (few years ago!)
Santa:yar tune jis ladki ko naadi me dubne se bachaya tha usne fasi laga li hai.
Banta:pagal hai kya use toh maine sukhne k liye tang diya tha
by hearthackervsgirls (few years ago!)
Kid: Daddy ye School kia hota hai?
Father: Ye Woh jaga hai,
Jahan Parents ko Loota
Aur Bachon ko Koota jata hai. :-)
by Pak101.com (few years ago!)
GOLU-Doc. Mujhe aisa lagta hai jaise mere kaan me koi Gunguna Rahe Hai
Doc.-Aisa Kb Lagta Hai
GOLU-Jb mai kaan me headphone laga ke song sunta hu
by Pak101.com (few years ago!)
Santa ka radio kharab ho gaya,
Khol kar dekha toh andar chuha mara pada tha.
Santa dekh kar bola,
... *
*
*
*
*
*
*
*
Yeh lo chalega kaise, sala singer toh mar gaya hai..
by Pak101.com (few years ago!)
7 sadhu 7 chatai per dhyaan lagakar baithe the.
Ek Aadmi aata hain aur sabse bujurg sadhu ko Pranam kar poochta hain
Maharaj ladki nahi pat rahi hai.. kya Karu?
Woh sadhu sabse chote sadhu ko pukarta hain
Aur kehtaa hain.. chotu ek aur chatai laga de beta..
by Pak101.com (few years ago!)