Forums > Poetry / Ghazal Corner > GHAZALS COLLECTION BY ABDUL BASIT
BeHappy


Age: 29 Male
4403 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Subject : GHAZALS COLLECTION BY ABDUL BASIT (closed)
Labon pe phool khiltay hain kisi ke naam se pahle
dilon ke deep jalte hain charagh-eshaam se pahle
kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle
yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle
hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokain nawaah-e-daam se pahle
ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle
huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle



no likes.

Posted on April, 06 2012 09:36:02 PM


saim14399


Age: 31 Male
4457 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Tumhain bhulana hi awal to dastras
mein nahin,
Jo ikhityaar bhi hota to kya bhulaa
dete ?

no likes.

Posted on September, 06 2012 08:16:13 AM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4255 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
yar mene abhi thori c parhi hen
nice poetry collection he

no likes.

Posted on September, 06 2012 09:48:19 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4803 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Us ke bena ab chup chup rehna acha lagta hai
Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai
Jis hasti ki yad mein Aanso barstey hain
Samne us ke kuch na kehna acha lagta hai
Mil ker us se Bichar na jaon darta rehta hon
Is liyay bas door hi rehna acha lagta hai
Janta hon k chahat mein bs anso milte hain
Kuch bhi ho ab is zehar ko pena acha lagta hai
Je chahey sb khushia lay kar us ko de don
us ke pyar mein sb kuch khona acha lagta hai

no likes.

Posted on September, 06 2012 08:16:17 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4255 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
lo g 2 parh li hen mene mza agya
baqi bhi tym nikal k parhon ga

no likes.

Posted on September, 07 2012 02:25:46 AM

saim14399


Age: 31 Male
4457 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Agar maaloom hota ishq yun majboor
kar day gaa..
Bohat pehlay hee iss aafat sey tauba
kar chukay hotay


no likes.

Posted on September, 07 2012 05:36:07 AM

saim14399


Age: 31 Male
4457 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Daikh mera Aashiyana bhi khaali hai
tere DIL ki tarha…
Tum Rakh Na Sako Gy Mara Tofa
Sambal Kr

no likes.

Posted on September, 07 2012 05:37:27 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4803 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Wo Mujh Se Yehi Pochti Ha
Kiya Hum Kabi Mil B Pain Ge.?
Usey Main Sirf Itna Kehta Hon
Qismat Pe Yaqeen Main Nahi Karta
Magar..!
Hamesha Pur Umeed Rehta Hon
Tum Wesa Hi Karna Jaisa Mein Kehta Hon
Khawab Jo Dekhain Hain Wo Tabeer Pain Gey
Agar Lagan Sachi Ha
To Hum Mil Hi Jain Gey

no likes.

Posted on September, 07 2012 06:01:47 PM

saim14399


Age: 31 Male
4457 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Tabdeli Jab Bhi Aati Hai M0sam Ki Ada0n Main Kisi Ka Y0un Badal Jana B0hat Hi Yaad Aata Hai…

no likes.

Posted on September, 08 2012 11:43:05 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4803 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Zara tham tham k barsa kar
abhi itna na rotha kar

Abhi to dur hai manzil
Abhi khud ko na tanha kar

Teri ankhen smandar hen
Samandar ko na sehra kar

Mera dil doob jata hai
Mujhe ase na dekha kr

Hawa mujh se kahe pagal
Na yun raston me betha kar

Wo 1 din chor jaye ga
Usay itna na chaha kar

no likes.

Posted on September, 08 2012 10:55:20 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4255 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
moabbat krny waly kam na hongy
teri mehfil men lekin ham na hongy

no likes.

Posted on September, 09 2012 12:03:33 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4803 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Waqt aesi rawani me dhlta raha
Main bekhbar aesy he chalta raha
Kabhi hansta tha apny naseebon pe main
Kbhi andr hi andr main jlta raha
Kahin shikway milay, kahin thokrain mleen
Chotain aesi lageen k sanbhalta raha
Osko pany ki khater to sab kuch kia
Wohi sangdil tha,Rasta badlta raha

no likes.

Posted on September, 09 2012 10:49:39 AM

saim14399


Age: 31 Male
4457 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Main Titli Ko Sula Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do,
Main Jugnoo Ko Jaga Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do ! Kahan Aaghaz Hota Hai, Kahan Anjaam Hota Hai,
Huner Saarey Sikha Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do ! Mujhey Itni Mahaarat Hai Ke Main Saada Say Lafzon Mein,
Tumhein Dilkash Bana Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do ! Mairi nam-naak Nazron Ko Na Daikho Tum Haqaarat Say,
Main Tum Ko Bhi Rula Doon Ga Zara Tum Shaam Honey Do

no likes.

Posted on September, 09 2012 11:03:39 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4803 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
SURKH GULAB k sarey mousam TERE NAAM
Har subho ka pehla ujala TERE NAAM
Teri yad ka behta derya mere liye
Behti jheel main phool kanwal ka TERE NAAM
Jitne khawab khuda ne mere naam likhay
Un khawabon ka resha resha TERE NAAM
Tere bina jo umr beeti beet gai
Ab iss umr ka baqi hisa TERE NAAM

no likes.

Posted on September, 09 2012 11:13:39 AM

saim14399


Age: 31 Male
4457 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Pehle taraasha kaanch se us ne mera
wajood,
Phir sheher bhar ke hath mein pathar
thamaa diye..

no likes.

Posted on September, 10 2012 12:53:15 AM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4255 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
wah g wah
fankar e laggy o

no likes.

Posted on September, 10 2012 03:05:44 AM

saim14399


Age: 31 Male
4457 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Is zindagi mein itni faraghat kisey
naseeb,
Itna na yaad aa ke tujhe bhool jayen
hum..

no likes.

Posted on September, 10 2012 07:21:16 AM

Omer87


Age: 36 Male
4797 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Na Shikaayate Na Gila Kare
Koi Aisa Shakhs Hua Kare
Jo Mere Liye Hi Saja Kare
Mujh Hi Se Baate Kiya Kare
Kabhi Roye Jaaye Wo Bepanaah
Kabhi Betahaasha Udaas Ho
Kabhi Chupke Chupke Dabe Qadam
Mere Peeche Aa Kar Hansa Kare

Meri Qurbaten Meri Chaahte
Koi Yaad Kare Qadam Qadam
Main Taveel Safar Main Hoon Agar
Meri Vaapsi Ki Dua Kare


no likes.

Posted on September, 10 2012 10:38:51 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4803 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Wo tuJe azma k chor gye
mere dil ko dukha k chor gye
ab kahan muJh ko la k chor gye
dil se unko dia tha Jo tohfa
mez pr muskura k chor gye
unka puchun pta me kis kis se
wo Jo apna bna k chor gye
ek diya tha arzuon ka
hm ise b Jla k chor gye
dost kaise mile hamain rana
mekde main pila k chor gye

no likes.

Posted on September, 10 2012 11:17:24 PM

saim14399


Age: 31 Male
4457 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Tujh ko chony bardho tu apny hath
phatron mai dabey howay dekhon

no likes.

Posted on September, 11 2012 12:46:10 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4803 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Yehi arzu rhi umer bher k muhbtain mere sath hon,
kbi esa ishq kia nhi k nidamten mere sath hon,
koi esa harf nhi likha k ho shermsar qlam mera,
koi esa jurm nhi kia k wazahaten mere sath hon,
Faqat ek shakhs ki arzu men guzer rahi he ye zindgi,
ye talab nhi k tamam shehr ki chahatn mere sath hon

no likes.

Posted on September, 11 2012 12:46:56 AM