Forums > Poetry / Ghazal Corner > GHAZALS COLLECTION BY ABDUL BASIT
BeHappy


Age: 29 Male
4402 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Subject : GHAZALS COLLECTION BY ABDUL BASIT (closed)
Labon pe phool khiltay hain kisi ke naam se pahle
dilon ke deep jalte hain charagh-eshaam se pahle
kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle
yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle
hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokain nawaah-e-daam se pahle
ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle
huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle



no likes.

Posted on April, 06 2012 09:36:02 PM


Omer87


Age: 36 Male
4796 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Lab-E-Darya Teri Zulfei'n Bikher Jane Ka Mosam Hy
Khumar-O-Kaif Sa Aankho'n Me Bhar Jane Ka Mosam Hy
Darakhto'n Par Salamat Hy Abhi Malboos Pat'to'n Ka
Abhi Gulshan Me Phoolo'n K Nikhar Jane Ka Mosam Hy
Baarish, Hawa Aur Samnay Ye Jheel Ka Manzar
Bhala Ye B Jaana'n! Chorh K Jane Ka Mosam Hy
Aisi Brsat Me Tere Labo'n Se Phool Jharty Hyn
Ye Saawan Teri Baato'n Pe Marr Jane Ka Mosam Hy..!

no likes.

Posted on August, 30 2012 11:51:55 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Kabhi shikaston k dukh uthaye to us se puchoon
Woh meri manind toot jaye to us se puchoon
Usey bhi koi sitara manzil se dur kar de
Usse bhi rasta nazar na aye to us se puchoon
Safar main woh bhi kisi kare imtihan se guzre
Usse bhi yun koi azmaye to us se puchoon
Usse mohabbat main kon sa dukh dia hai main ne
Kabhi nazar se nazar milaye to us se puchoon
Meri tarha din charhe talak wo bhi na soay
Usse bhi shab bhar na neend aye to us se puchooN


no likes.

Posted on August, 31 2012 05:52:30 PM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Kar Gaya Na Ishq Barbaad,
Aur Geet Gao Muhabbat Ke..

no likes.

Posted on August, 31 2012 10:01:06 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
ab k hum bichhRay to shayad kabhi khwaboN mein mileN
jis tarah sookhay hue phool kitaboN mein mileN
DhoonD ujRay hue logoN mein wafa k moti
ye khazanay tujhe mumkin hai kharaboN mein mileN
gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
nasha baRhta hai sharabeN jo sharaboN mein mileN
tu khuda hai na mera ishq farishtoN jaisa
dono insaaN hain to kyun itnay hijaaboN mein mileN
aaj hum daar pe khenchay gaye jin baatoN par
kya ajab, kal vo zamaanay ko nisaaboN mein mileN
ab na vo main hun, na tu hai, na vo maazi hai faraz
jaise do shakhs tamanna k saraaboN mein mileN

no likes.

Posted on September, 01 2012 02:16:12 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Wo aainge to rang o noor ki barat aaigi.
Hum jainge to bdnami hamare sath jaigi.

unhain bdnamion ka dar hamey dawa mohobbat ka.
Hum apni jaan dedenge jo un per bat aaigi.

sarey mahfil jo bantay jainge sadqay jawani kay.
Meray hissay main un kay hosn ki khairaat aaigi.

Ghata ban jainge badal tabah hojaiga mosam.
Idhar wo zulf kholenge udhar barsat aaigi.


no likes.

Posted on September, 02 2012 10:33:48 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Tum bin meri zaat ADHURI

jesy koi baat ADHURI

Hijr k sare din hen poorey..

Lekin hy hr raat ADHURI..

Lafzon ki gehrai mey jhanko

Samjho na hr baat ADHURI

Num aankhen or sookhi palken

Hoti hy barsat ADHURI

Mujh se
Mujh ko
cheen geya Saqi ..!

Reh gai meri zaat ADHURI?!!

no likes.

Posted on September, 03 2012 08:47:32 PM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Meri Eid ka Ta'alluq Teri Deed sey raha hai
na hoyee Deed Teri na hoyee hai Eid Meri

no likes.

Posted on September, 04 2012 12:17:40 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
na gaNwao naavak-e-neem-kash, dil-e-reza reza gaNwa diya
jo bachay hain sang sameT lo, tan-e-daagh daagh luTa diya
mere chaaragar ko naved ho, saf-e-dushmanaaN ko khabar karo
jo vo qarz rakhtay thay jaan par, vo hisaab aaj chuka diya
udhar ek harf k kushtani, yahaaN laakh uzr tha guftani
jo kaha to sun k uRa diya, jo likha to paRh k miTa diya
jo rukay to koh-e-giraaN thay hum, jo chalay to jaaN se guzar gaye
rah-e-yaar hum ne qadam qadam, tujhe yaadgaar bana diya


no likes.

Posted on September, 04 2012 06:39:39 PM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Phir Aaj Koi Gazal Tere Naam Na Ho
Jaye !!
Kahin Likhte Likhte Shaam Na Ho
Jaye !! Kar Rahe Hain Intezaar Teri Mohabbat
Ka !!
Isi Intezaar Me Zindagi Tamam Na Ho
Jaye !!

no likes.

Posted on September, 05 2012 07:28:53 AM

jahan


Age: 29 Male
4639 days old here
Total Posts: 908
Points : 140

Location:
hasanabdal, Pakistan

Status : Offline
great bro

no likes.

Posted on September, 05 2012 10:31:44 AM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Teri nigaah mein ek rang e ajnabiyat
tha,
Kis aitbar pe hum khul ke guftugu
karte..

no likes.

Posted on September, 05 2012 06:02:23 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Bus aik dua tere liye

To jo sitaron ki tamanna kare kbhi Sitare toot k teri palkon mein sama jayen
To jo roshni ki talab kare Suraj doob kr b ubhar aye
To jo husn ko chahe kbhi Chand aangan mein tere basera kare
Dard ki koi b anjani rut Tere kadmon ko na chu kr guzre
Bus yehi aik dua tere liye.


no likes.

Posted on September, 05 2012 06:25:33 PM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Tumhara kya hai tumhe to baazi se
bas taluq hai waajbi sa,
Yeh khel hai meri zindagi ka, ke mera
jo kuch hai daao per hai..

no likes.

Posted on September, 05 2012 06:43:21 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Kbhi zid main terey ho gae
Kbhi dil ny tujh ko guwa diya..
Isi kashmakash me jiye sanam..
Tu ny yad rukha ya bhula diya..
Kbhi bebasi main hi hans diye..
Kbhi hansi ny hum ko rula diya..
Kbhi ek ko apna na kar sakey..
Kbhi khud ko sub ka buna liya..
Jo mila nahi wo mera huwa
jisey kho diya usey pa liya..
Ye ajeeb khel hen pyar k
ik khayal sy hi nibha liya

no likes.

Posted on September, 05 2012 06:52:20 PM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Dard ki dil pe hakumat thi, Kahan tha
us waqt ?
Jab mujhe teri zaroorat thi, Kahan tha
us waqt ? Maut ke sukh mein chala aya mujhe
dekhne ko,
Zinda rehne ki museebat thi, Kahan
tha us waqt ? Dil ke darya’on mein ab rait hai
sehraon ki,
Jab mujhe tujhse mohabat thi, Kahan
tha us wakt ? …

no likes.

Posted on September, 05 2012 06:55:33 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
aj Kahein Likhtay Likhtay Sham Na Ho Jaiay
Kar Raha Hon Intizar Tere
Izhar-e-Mohabbat Ka
Isi Intizar Mein Zindagi Tamaam Na Ho Jaiay
Nahi Leta Tera Naam Sare-e-Aam Is Dar Say
Kahein Naam Tera Badnaam Na Ho Jaiay
Mangtaa Han Dua Jub B Tu Yaad Aata Hai
K Judai Meray Piyar Ka Anjam Na Ho Jaiay
Sochta Han Darta Han Aksar Tanhai Mein
Us K Dil Mein Kisi Aur Ka Maqaam Na Ho Jaiay .!

no likes.

Posted on September, 05 2012 10:20:20 PM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Rook Naa Jana Khoof Say Beech Rah Mein Khuda Ki Baargah Mein Gir Kar Ro Lenaa Khud Ko Girnay Na Dena Apni Nigah Mein ...Farishton Ko Kahan Hasil Toba Ki Lazat Khata Karnaa Hay Fitrat-E-Insaan Mein Khushiyan Muqadar Say Milti Hein Yahaan Gham Miltay Nahi Baysabab Is Jahan Mein Khudsaakhtaa Ohaam Say Rakhnaa Mun Ko Khali Khudaa Miltaa Nahi Behs-O-Taqraar Mein Duniya Ki Mehfil Mein Yaad Rakhnaa Nayaab K Tanhai Rehnaa Hay Qaber K Makan Mein...........!!

no likes.

Posted on September, 06 2012 12:49:36 AM

saim14399


Age: 31 Male
4456 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Koi Ankhon Se Baat Ker Leta Hai, Koi Ankhon Mein Mulaqat Ker Leta Hai, Bada Mushkil Hota Hai Jawab Dena, Jb Koi Khamosh Reh Ker Sawaal Ker Leta Hai,

no likes.

Posted on September, 06 2012 12:50:21 AM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4254 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
nice collection yar, kidhr se milen?

no likes.

Posted on September, 06 2012 01:58:54 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4802 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Yun HUMKO satane ki ZARORAT kya thi,
Dil MERA jalane ki ZARORAT kya thi,
Jo NHI tha Ishq to keh DYA hota,
Dil TOR k jane ki ZARORAT kya thi,
Maloom THA agr ye KHUWAB toot jaaenge,
Nend m aakar uthane ki ZARORAT kya thi,
ISHQ PAR lagti rahengi HAR dor mai paabandi,
Hum ko MAJBOR banane ki ZARORAT kya thi,
Maan LON agr ye YAKTARFA mohabat thi,
Mujh ko DEKH kar muskurane ki ZARORT kya thi . .

no likes.

Posted on September, 06 2012 07:27:12 AM