Forums > Poetry / Ghazal Corner > GHAZALS COLLECTION BY ABDUL BASIT
BeHappy


Age: 29 Male
4400 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Subject : GHAZALS COLLECTION BY ABDUL BASIT (closed)
Labon pe phool khiltay hain kisi ke naam se pahle
dilon ke deep jalte hain charagh-eshaam se pahle
kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle
yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle
hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokain nawaah-e-daam se pahle
ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle
huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle



no likes.

Posted on April, 06 2012 09:36:02 PM


muhammadmujahid


Age: 31 Male
4198 days old here
Total Posts: 98
Points : 69

Location:
sargodha, Pakistan

Status : Offline

wo mehsus kry humen apni hr dharkan k sath.........

is k siwa hm ny kbi kuch chaha hi nhi..

no likes.

Posted on October, 25 2012 08:19:49 PM

brightsky2020


Age: 33 Male
4574 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Humse pucho kya hota hai pal pal bitana,
bahut mushkil hota hai dil ko samjhana.
ye zindagi to beet he jayege,
bus mushkil hota hai kuch palo ko bhulana.

no likes.

Posted on October, 25 2012 10:57:08 PM

brightsky2020


Age: 33 Male
4574 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
koi acha lage to use pyar mat karna
uske liye neenden bekar mat karna
do din to aayenge khusi se milne
tisre din kahenge mera intazaar mat karna

no likes.

Posted on October, 25 2012 10:58:08 PM

saim14399


Age: 31 Male
4454 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Nikal Hi Aati Hy, Kahee’n Na Kahee”n
Se Gunja’ish..
Koi Bhi Pyaar, Kisi Ka, Aakhri Nahee’n
Hota….

no likes.

Posted on October, 26 2012 07:33:51 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4800 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Es zakhmi piyasay ko es tarah pila dena

pani say bhara shesha phattar pay gira dena

En patton ny garmi bhar hameyn saye may rakha

ab toot kar girty hay behtar hy jala dena

Choty qado qamat pay mumkin hy hansy jungle

ek paird bohat lamba hy os ko gira dena

Mumkin hy es tarah wehshat may kami aye

Khawabeda parindo par ek goli chala dena

Ab dosron ki hkusyan chupny lagi ankho may

ye balb bohat roshan hy es ko bhuja dena

no likes.

Posted on October, 26 2012 02:38:55 PM

saim14399


Age: 31 Male
4454 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
kitna dilchasp hai izhar_e_mohabbat
us ka
apni tasweer saja di meri tasweer k
sath

no likes.

Posted on October, 27 2012 12:11:54 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4800 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Urdti kirno ki raftar tez tar, neely badlon ke ek gaon may jain gay

dhoop mathy pay apny saja lain gay saey palkon ke pechy chupa lain gay

Baraf par tairty roshni ke badan, chalti ghardyon ke do soinyo ki tarah

dairy may sada ghomny ke lieye aey aeini mehwaron may jardy jain gay

jab zara sham bay takaluf hoi,bargazeeda farishton ke par bich gay

raat ke taip suraj baja dy agar,mom ke paak chehry pighal jain gay

Surami hadyon,khaki ashjar ny lootny walon ka kher makhdam kia

hum ny tu ye suna tha ke un logo par chand tary boaht phool barsain gay

Mukhtalif peech may ek kisi shakisiyat,yad ka phool ban ke bikhar jain gay

dhoop day taptapay howay hath jab,neem ke phool jab sardkon par barsain gay

no likes.

Posted on October, 28 2012 09:46:18 AM

saim14399


Age: 31 Male
4454 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Wo mujhe bhool he gaya hoga,
Itni muddat koi khafa nahi rehta.

no likes.

Posted on October, 28 2012 11:37:44 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4800 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Dehakty nezon sy ye rat war kar dy gay

saja ke chand ki kashti may mera sir dy gay

Chardy ga sokhy ga badan may laho ka fowara

ye surakh chandni khali galas bhar dy gi

Ye naram billi jo soi hy mery seny par

may so hi gia tu kaleeja hi chak kar dy gi

Badan ke paird khud es ki shakh katy gi

yahi tarash zamee-n ko nia shajar dy gi

Bahar ab ke laho chardhy samundar ko

qalam kieye howay bazo bareeda sir dy gi

Osi khiyal sy phattar hy beech pani may

koi tu moj-e gohar ki osy khabar dy gi

Tawafe daira ab pehli bar tota hy

ye rehgizar hamey ek or rehgizar dy gi

Chardha ke peeth pay bakri ke bachy ghomey gy

ye dunya ab hamey sarkas ka shair kar dy gi

no likes.

Posted on October, 28 2012 02:43:47 PM

juntalman


Age: 34 Male
4484 days old here
Total Posts: 1607
Points : 97

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Shamil jo Mohabt mein aziyyat nhi hoti,

Aey Dil kabhi Takmeel-e-Mohabt nhi hoti,

jab Hosh na ho sar ka, Wo hoti hai ibadat,

Sar Sajde mein rakhne se ibadat nhi hoti,

kuch Apne hain, Apnon ka gila kis se karen hum,

kuch Ghair hain, Ghairon ki shikayat nhi hoti,

Jan dene ka Ap ko hai Shauq to sun lay, aey QATEEL,

Maqtal mein Tarapne ki ijazat nahi hot¡

no likes.

Posted on October, 28 2012 11:01:52 PM

saim14399


Age: 31 Male
4454 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Muqablay Ki Zid Thehri Tu Aao
Muqabla Kr Lain ..
Ham Nay Kai Bar Zamanay K Bharam
Toray Hain.. !! …

no likes.

Posted on October, 29 2012 04:18:12 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4800 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Zakham yon muskura ke khilteyn hay

jesy wo dil ko choo ke guzraeyn hay

dard ka chand ansowo ke najoom

dil ke angan may aj utray hay

Rakh ke dhery jesy sard maka-n

chand en badliyon may rehty hay

Aeyno ka koi qasoor nay

en may apney hi aks hotay hy

Ghor sy dekh khak tanha ny

sath pholon ke rang urtain hy

Ab shab-e hijar bhi ny ati

en dino hum bohat akeely hy

En sy ehwal-e shab suno sahab

badar g rat rat ghomey hay

no likes.

Posted on October, 29 2012 04:42:59 PM

saim14399


Age: 31 Male
4454 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Zindgi jurm e musalsal ki trha kaati hai
Janey kis jurm ki payi hai saza yaad
nahi

no likes.

Posted on October, 30 2012 09:47:24 AM

bawa125


Age: 33 Male
4232 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Hoti nhi Qabool dua terk-e-ishq ki
Dil chahta na ho to dua main asar kahan

no likes.

Posted on October, 30 2012 09:48:38 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4800 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Meri hasrat k janazy ko uthany waly
Kitny be_dard hain ye log zamany waly

Koi apna nahi matlab ki hai duniya sari
Ab kahan milty hain wo yar purany waly

Main dua_go hoon sada neendain hon mubarik tujh ko
Hijar ka dard mujhe de k jagany waly

Bas yehi soch k har bar manata hon usay
Lot k aaty nahi rooth k jany waly

Hamary dil main kabhi jhaank k daikho to sahi
Kitny afsurda hain auron ko hansany waly…

no likes.

Posted on October, 30 2012 08:16:27 PM

saim14399


Age: 31 Male
4454 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Insaan ka ahtraam tha itna humain
aziz,
Hum apne dushmanon se bhi nafrat
na kar sake..

no likes.

Posted on October, 31 2012 05:21:28 AM

bawa125


Age: 33 Male
4232 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Judaai Zaat Main Bher Lein
Chalo Ham Is Terha Ker Lain
Kisi Sunsaan Raste Ke
Kisi Bhi Morre Per Dono

no likes.

Posted on October, 31 2012 12:25:00 PM

saim14399


Age: 31 Male
4454 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
har aadami me hote hai das beees
aadami,
jis aadami ko dekhiyee kai baar
dekhiye….

no likes.

Posted on October, 31 2012 05:58:58 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4800 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Ho Sakey To Rukh Say Pardey Ko Hatta Kar Daikhiye
Aaj Apna Haal-e-Dil Hum Ko Suna Kar Daikhiye

Jaan Jaayein Gey Wafa Mein Hum Kisi Say Kam Nahin
Aap Bas Dil Ka Dareecha Khatkhata Kar Daikhiye

Jab Kabhi Mujh Ko Bulaaney Ki Tamana Dil Mein Ho
Mairey Koochey Ki Taraf Bas Kasmasa Kar Daikhiye

Aap Ke Zor-o-Sitam Ko Kab Talak Sehta Rahoon?
Mairey Jazbon Ko Kabhi To Aazma Kar Daikhiye

Ye Taqaaza Mairi Ulfat Ne Kiya Hai Aap Say
Diakhiye Jab Bhi Kabhi To Muskura Kar Daikhiye

Zeest Ki Raanaaiyaan Hon, Ya Nishaat-e-Wasl Ho
Ho Sakey To Mairi Aankhon Mein Sama Kar Daikhiye

Kyun Jhijhaktey Hain Humaari Khasta Haali Daikh Kar
“Kitni Wusat Hai Humaarey Dil Mein Aa Kar Daikhiye”

no likes.

Posted on October, 31 2012 09:12:28 PM

brightsky2020


Age: 33 Male
4574 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Har ek zakhm ka chehra gulaab jesa hai,
Magar yeh jaagta manzar bhi khawb jesa hai,
Yeh talkh talkhh sa lehja, yeh tez tez si baat,
Mizaaj-e-yaar ka aalam sharaab jesa hai,
Bara taveel, neyhayet haseen, bohat mubhim,
Mera sawaal tumhare jawaab jesa hai,
Tu zindagi ke haqaayeq ki teh main yun na utar,
Ke iss nadi ka bahaao chanaab jesa hai,
Teri nazar hi nahin harf ashnaa warnaa,
Har ek chehra yahan kitaab jesa hai,
Chamak uthey to samandar, bujhey to rait ke leher,
Mere khayal ka daryaa saraab jesa hai,
Tere qareeb bhi reh kar na paa sakoon tujh ko,
Tere khayal ka jalwaa hubaab jesa hai..

no likes.

Posted on November, 01 2012 07:26:30 PM