Forums > Poetry / Ghazal Corner > GHAZALS COLLECTION BY ABDUL BASIT
BeHappy


Age: 29 Male
4403 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Subject : GHAZALS COLLECTION BY ABDUL BASIT (closed)
Labon pe phool khiltay hain kisi ke naam se pahle
dilon ke deep jalte hain charagh-eshaam se pahle
kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle
yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle
hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokain nawaah-e-daam se pahle
ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle
huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle



no likes.

Posted on April, 06 2012 09:36:02 PM


BeHappy


Age: 29 Male
4403 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Tanha hai meri zaat kaheen se ajao,
Sun lo meri baat kaheen se ajao,
Dushman bazi jeet raha hai chupke se,
Hone ko hai maat kaheen se ajao,
Kachi entain our imarat garey ki,
Our us per barsat kaheen se ajao,
Dil ki basti per hai khof andheron ka,
Ho jaey na raat kaheen se ajao,
Kachi umerain us per khowab mohabat ke,
Kiya kiya hain jazbat kaheen se ajao,
Ankhen rasta dekh rahi hain mudat se,
gardish main hain halat kaheen se ajao,
Mosam mosam log badaltey hain ”khowahish”,
Dil pe r hain sadmat kaheen se ajao….

no likes.

Posted on April, 18 2012 11:33:57 AM

BeHappy


Age: 29 Male
4403 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum,
Mohabbat naam hai mera, Zamanay ko bata do tum,
Dikhayi bhi nahi deta, kisi insaan ki aankho ko,
Judayi zakhm hai aisa, Zamanay ko bata do tum,
Najanay kyu Khatakta hu, mai ab un ki nigaho mai,
Mai thukrata hu ye dunya, Zamanay ko bata do tum,
Jala daalu ga teri bewafaa basti kigaliyo ko,
Mai hu ik aag ka darya, Zamanay ko bata do tum,
“Hasnain” Abhi to waqt un ka hai,rula ley jee bhar ke,
Hamara waqt bhi aaye ga, Zamanay ko bata do tum

no likes.

Posted on April, 18 2012 11:35:54 AM

BeHappy


Age: 29 Male
4403 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Saaray Dard Nazar Aayein Ge GharSe Baahir
Jis Din Mein Nikloon Ga Pas-e-Manzar Se Baahir
Laakh Samaitay Rakhun Per Jaanay Anjaanay
Ho Jaatay Hain Paaon Mere Chaadar Se Baahir
Kub Se Hain Ankhiaan Tere Darshan Ki Pyaasi
Darsh Dikha De Aa Bhi Ja Pathar Se Baahir
Phele Jis Ki Aankh Nishaanay Per Thi Mere
Ab Wo Chirya Bhi Hai Had-e-NazarSe Baahir
Aaj Bhi Mein Khul Kar Sach Bol Nahi Sakta Hun
Ab Bhi Nahi Hun Os Ke Hisaar-e-Shar Se Baahir
Jisko Mein Ne Sadi Ka Roop Dia Tha Azar
Ab Wo Lamha Bhi Hai Mere Asar Se Baahir

no likes.

Posted on April, 18 2012 11:36:47 AM

BeHappy


Age: 29 Male
4403 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Har Kisi Ko Dunya Main
Shohrate?n Nahi Milti?n
Zindagi K Lamho?n Ki
Qeematai?nNahi Milti?n
Fatah Ki Khwaish Main
Amal Bhi Tou Lazim Hy
Sirf Kuch Irado?n Se
Mazilai?n Nahi Milti?n
Faisley Ye Chahat k
Aasman Pe Hoty Hyn
2 Dilo?n k Milne Se
Qismatai?n Nahi Milti?n
Deen Aur Dunya Ko
Saath Rakhna
Masjido?n Main Bethne Se
Jannatai?n Nhi Milti?n
Maan Lo Is Zamane Main
Aur Bhi Hyn Hum Jese
K Hasb-e-Aarzu Jinko
Chahatai?n Nhi Milti?n ?

no likes.

Posted on April, 18 2012 11:38:15 AM

BeHappy


Age: 29 Male
4403 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha
Khud Apni Nigaahon Mein Gunaahgaar Bhi Mein Tha
Kiun Ab Mere Mansab Ki Salaami Ko Kharay Ho ?
Yaaro Kubhi Ruswa Sar-e-BaazaarBhi Mein Tha
Mein Khud Hee Chhupa Tha Qaf-e-Qaatil Ki Shikan Mein
Maqtool Ki Tooti Howi Talwaar Bhi Mein Tha
Chheentay Hain Jahan Ab Mere Maasoom Lahoo Ke
Os Farq-e-Falak-Naaz Ki Dastaar Bhi Mein Tha
Meri Hee Sadaa Lout Ke Aayi Hai Mujhi Tak
Shayad Had-e-Aflaak Ke Os Paar Bhi Mein Tha
Manzil Pe Jo Pohancha Hun Tou Maaloom Howa Hai !
Khud Apnay Lye Raah Ki DeewaarBhi Mein Tha
Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai TU Laikin
Kal Tak Teri Pehchaan Ki Mayaar Bhi Mein Tha
Dekha Tou Mein Afshaa Tha Har IkZehen Pe Mohsin
Socha Tou Pas-e-Parda Israar Bhi Mein Tha


no likes.

Posted on April, 18 2012 11:40:43 AM

BeHappy


Age: 29 Male
4403 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Saltanat Dil Mein Hee Nahi Oski
Aasmaan Tak Hai Sar-Zameen Oski
Phir Paharon Pe Barf Pighli Hai
Phir Damaknay Lagi Jabeen Oski
Dehaan Rakhna Har Ik Aahat Per
Shaayad Ubhray Sadaa Kaheen Oski
Ab Bhi Roshan Hai Zindagi Os Se
Ab Bhi Soorat Hai Dil-Nasheen Oski
Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin
Aadatain Sab Badal Gayin Oski


no likes.

Posted on April, 18 2012 11:41:52 AM

BeHappy


Age: 29 Male
4403 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha
Mera Yaqeen Bhi Tumhaare Gumaan Se Kam To Na Tha,
Mizaaj-e-Azmat-e-Adam Ki Baat Hai, Warna
Zameen ka Zulm Tere Asmaan Se Kam To Na Tha,
Guzar Raha Tha Jahaan Se Main Sang Dil Ban Kar
Woh Mor Sheesha Garon Ki Dukaan Se Kam To Na Tha,
Na Jaane Kiyoon Teri Aankhen Khamosh Thien, Warna
Dil-e-Ghareeb Ka Naghmaa Faghaan Se Kam To Na Tha,
Rah-e-Januu Kay Nasheb-o-FaraazMein “Mohsin”
Khird Ka Phool Bhi Sang-e-Giraan Se Kam To Na Tha.


no likes.

Posted on April, 18 2012 11:42:58 AM

BeHappy


Age: 29 Male
4403 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Dasht Mein Piyas Bujhaty Howe Mar Jaate Hain
Hum Parinde kahein Jatay Howe Mar Jaate Hain,
Hum Hain Sookhay Howy Talaab Pe Baithe Howe Hans
Jo Taaluq ko Nibhaatae Howe MarJaate Hain,
Un Kay Bhi Qatal Ka Elzam Hamaresar Hai
Jo Hamain Zaher Pilatay Howe MarJaate Hain,
Yeh Mohabat ki kahani Nahi Marti Lekin
Log kirdar Nibhate Howe Mar Jaate Hain,
Hum Hain Woh Tooti Howi kashtiyon Waale “Mohsin”
Jo kinaaron ko Milaatay Howe MarJaate Hain.


no likes.

Posted on April, 18 2012 11:43:57 AM

BeHappy


Age: 29 Male
4403 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Itni muddat baad mile ho!
Kin sochon main gum rehte ho?
Itne khayef kyon rehte ho?
Her aahat se darr jaate ho
Taiz hawa ne mujh se poocha
Rait pe kya likhte rehte ho?
Kaash koi humse bhi pooche
Raat gaye tuk kyon jaage ho?
Main darya se bhi darta hoon
Tum darya se bhi gehre ho!
Koun si baat hai tum main aisi
Itne ache kyon lagte ho?
Peeche mur ker kyon dekha tha
Patthar ban ker kya takte ho?
Jaao jeet ka jashan manaao!
Main jhoota hoon, tum suche ho
Apne sheher ke sub logon se
Meri khatir kyon uljhe ho?
kehne ko rehte ho dil main!
Phir bhi kitne door khare ho
Raat humain kuch yaad nahin tha
Raat bohot hi yaad aaye ho
Humse na poocho hijr ke qisse
Apni kaho ab tum kaise ho?
Mohsin tum badnaam bohot ho
Jaise ho, phir bhi ache ho


no likes.

Posted on April, 18 2012 11:47:12 AM

BeHappy


Age: 29 Male
4403 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
main ne is tor se tujhey chaha aksar
jaisey mehtab ko be ant samandar chahey
jaisey sooraj ki kiran seap k dil main utrey
jaisey khoshbo ko hawa rang se hat kar chahay
jaisey pathar k kalejy se kiran photti hay
jaisey ghunchay khiley mousam se hina mangtey hain
jaisey khoabon main khayalon ki kaman totti hay
jaisey barish ki doa aabla pa mangtey hain
mera har khoab merey sach ki gawahi de ga
wosat_e_deed ne tujh se teri khahish ki hay
meri soochoon main kabhi dekh sarapa apna
main ne dunya se alag teri parasthis ki hay


no likes.

Posted on April, 18 2012 11:48:00 AM

Omer87


Age: 36 Male
4797 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Nice
but Sorry
main ny 1 bhi nahi perhi

no likes.

Posted on April, 18 2012 06:46:28 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4803 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
lo ji pher se copy paste shoroo
lagay rahoo admin bhai soo rahay hain

no likes.

Posted on April, 18 2012 10:09:34 PM

Omer87


Age: 36 Male
4797 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
nahi admin so nahi rahy
abhi yeh new member hain na
tub he admin kuch bol nahi rahy
werna with out warning topic will be closed

no likes.

Posted on April, 19 2012 12:26:09 AM

sajjiaroma76


Age: 48 Male
4819 days old here
Total Posts: 1289
Points : 152

Location:
Islamabad Capital City, Pakistan

Status : Offline
mujhe choo ke sandal kar do.....

no likes.

Posted on April, 19 2012 10:38:18 AM

sharoma


Age: 35 Male
4795 days old here
Total Posts: 426
Points : 327

Location:
rawalpindi, Pakistan

Status : Offline
yar itni lambi ghazlain parhne pe time kiun zaya karain

no likes.

Posted on April, 19 2012 11:49:38 AM

juntalman


Age: 34 Male
4487 days old here
Total Posts: 1607
Points : 97

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k..!!
Baaton baton mein bicharnay ka ishara ker k
Khud bhi roya woh bohut hum say kinara ker k
Sochta rehta hon tanhai mein Anjam-e-Khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobarah ker k
Jagmaga di hain teray shehar ki galiyan mein nay
Apnay her ashk ko palkon pay sitara ker kay
Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aur kuch rooz teray sath guzara ker k
Aik hi shehar mein rehna magar milna nahin
Daikhtay hain yeh aziat gawara ker k..!!


no likes.

Posted on April, 19 2012 06:18:16 PM

juntalman


Age: 34 Male
4487 days old here
Total Posts: 1607
Points : 97

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
MUDAT K BAD HATH KI LAKEER DAIKH KAR
DIL JAL UTHA HA KHAWAB KI TABEER DAIKH KAR

HUM NA DIL MAIN IS LIAY PATHAR BASA LIAY
TAJ MAHAL KI DILKASH TAMEER DAIKH KAR

MARI HI MUNTZIR HAIN YA B GARDSHAIN
YA ASMAN SA UTARTI HAIN TAKDEER DAIKH KAR

MUDAT BAD DIL PA RAKHA HA HUM NA HATH
KAGAZ PA TARAY HATH KI TAHREER DAIKH KAR

AHL KARAM NA APNAY KHIZANAY LOTA DIAY
WAQT KA MARA DIL KA AMEER DAIKH KAR

KISMAT K MARAY JANAY KIUN CHAL DIAY UDHAR
MANZIL B DOUR HO GAI RAHGEER DAIKH KAR

LOGON NA APNAY POUN MAIN ZANJEER DAL LI
TARI ZULF KA HUA ASEER DAIKH KAR

DIL AB B CHAHTA HA TUMHI PAR NISAR HO
TAKHIYAL SA KAHIN HASEEN TARI TASVEER DAIKH KAR

GEE CHAHTA HA GHAR SA KAHIN DOUR NIKAL PARIN
ISHTIAQ ITNAY SARAY MASAIL GHAMBEER DAIKH KAR


no likes.

Posted on April, 19 2012 06:19:13 PM

juntalman


Age: 34 Male
4487 days old here
Total Posts: 1607
Points : 97

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Suno Tum laut aao na.
Wo dekho chand nikla hai.
Hamari muntazir ankhein,
Duain maangti ankhein.
Tumhein sochti ankhein,
Tumhein dhondti ankhein,
Tumhein wapis bulati hain,
Ye Dil jab bhi Dharakta hai.
Tumhara naam layta hai.
Ye aansu jab bhi behtay hain.
Tumharay Dukh main behtay hain.
K barish jab bhi hoti hai.
Tumhein yaad kartay hain.
Khushi koi jo aaye bhi.
Tumharay bin adhuri hai.
Suno tum laut aao na.
wo dekho chand nikla ha...

no likes.

Posted on April, 19 2012 06:19:59 PM

juntalman


Age: 34 Male
4487 days old here
Total Posts: 1607
Points : 97

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Aankhain khuab dekhti hain
Kisi say mil janey ka
Ya khud ko kho denay ka
Tanha reh janay ka
Khud ko aar denay ka,
Chahat haar denay ka

Aankhain khuab dekhti hain

Bichray huye lamhon ka
Kisi raastay per mil janay ka
Zakhmon kay sil janey ka
Zamanay kay guzer janay ka
Khuab kay hasil ki haqeeqat ka
Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka
Bikhray khuabon ki takmeel ka
Tum to khud ik khuwab ho
Husn ka, jawani ka
Ik dard bhari kahani ka...


no likes.

Posted on April, 19 2012 06:20:55 PM

juntalman


Age: 34 Male
4487 days old here
Total Posts: 1607
Points : 97

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Benaam musafir hoon,
be naam safar mera,
Kis rah nikal jaon,
kuch keh nahi sakta..
Be naam meri manzil hy.
be naam thikana hy.
kis dar py main ruk jaon,
kuch keh nahi sakta.
Iss paar to roshan hy sara mera rasta,
Us paar andhera ho,
Kuch keh nahi sakta.
Tinkay ki tarah main bhi beh jaon samandar mein,
Mil jaiy ga kinara,
kuch keh nahi sakta..
Mil jaiy gi tabeer mery khwaboon ki aik din,
Ya khawab Bikhar jaen,
Kuch keh nai sakta...

no likes.

Posted on April, 19 2012 06:22:49 PM