Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Ub Kya Sooche

Ub Kya Sooche Kya Hona Hai Jo Hoga Acha Hoga
Pehle Socha Hota Pagal Ub Say Kya Hoga

Yaar Say Gham Keh Ker To Khush Ho Laikin Tum Yeh Kya Jaano
Tum Dil Ka Rona Rote Thay Woh Dil Mein Hasta Hoga

Aaj Kisi Nai Dil Tora To Hum Ko Jaisay Dheyaan Aaya
Jiska Dil Hum Nai Tora Tha Woh Jaane Kaisa Hoga

Mere Kuch Pal Mujh Ko Day Do Baaqi Saray Din Logo
Tum Jaisa Jaisa Kehtay Ho Sub Waisa Waisa Hoga

Ub Kya Sooche Kya Hona Hai Jo Hoga Acha Hoga
Pehle Socha Hota Pagal Ub Say Kya Hoga

492 chars (4 sms)
(Not Rated Yet)
 

Hottest SMS Messages this week

Mari dunia

WHENEVER I WANT UR PRESENCE,

Even a Lie i

Poetry

Ya Rab usko sada

Uski Yaad Main Khaana

Lardka: tumari ankhen ktni h..

Wo Naam Tha Badal Gaya

December Kay Mahinay

AIk kasak Si Hai

Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook