Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Rudaad-e-muhabbat

Rudaad-e-muhabbat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye
do din ki musarrat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


jab jaam diya tha saaqi ne jab daur chala tha mehfil mein
wo hosh ki sa''at kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


ehsaas ke maikhane mein kahan ab fikr-o-nazar ki qandilein
aalam ki shiddat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye


ab apni haqiqat bhi "Sagar" berabt kahani lagati hai
dunya ki haqiqat kya kahiye kuch yaad rahi kuch bhool gaye.................

504 chars (4 sms)
(Not Rated Yet)
 

Hottest SMS Messages this week

Aata Khatam Gas Khatam

Aaj bari mudat k bAad

humne b kse se piyar

-=News Alert=-

Kabhi Yun Bhi To Ho

Mujhse kehti thi wo,

Hum nay kisi ki yaad

Koi Tum Se Pooche Kon

Meri Jaan Apna Khiyal Rakhna

tumhi ko dekhte rehna

Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook