Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Qadmon mai bhi takaan thi

Qadmon mai bhi takaan thi, gher bhi qareeb thaa
per kiya karain keh ab kay safar he ajib thaa

niklay agar to chaand dereechay mai ruk bhi jaaey
iss shehar bay-charaagh mai kis ka naseeb thaa

Aandhi nay un ruton ko bhi bay-taaj ker diya
jin ka kabhi huma saa parinda naqeeb thaa

kuchh apnay aap say he usay kash-makash naa thi
mujh mai bhi koi shakhs ussi ka raqeeb thaa

poochha kisi nay mol to hairaan reh gaya
apni nigaah mai koi kitna ghareeb thaa

maqtal say aanay wali hawa ko bhi kab mila
aisa koi dereecha keh jo bay-saleeb thaa...

558 chars (4 sms)
(Not Rated Yet)
 

Hottest SMS Messages this week

Kal Maine Sapna Dekha

=Quotable Quotes=

Twinkle Twinkle

"FUCK-YOU"

1 memon mutthi me

Aik rikshaw ke peche

Aaj Kal K Halaat Ki Wja Se

Mainu yaar-yaar karde

agr tum kapre dho tameez se

''Raton ko uth kar, Khayalon..

Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook