Recipe for Khoya Sewaiyan
Ingredients
- Sewaiyan (vermicilies) 1 packet
- Khoya 1/2 pao
- Sugar Hasb-e-zarorat
- Badam 100 gram
- Pista 100 gram
- Ilaichi powder 1/2 tsp
- Keowra Hasb-e-zarorat (2 tsp)
- Ghee 1/2 cup
- Cream 1 cup
Cooking Directions
Ek packet sewaiyan garam pani main ek minute k liye boil karein aur pani nikal lein.
Is k bad ek bartan main adha cup ghee karkara kar (garam kar k) is main ye sewaiyan shamil kardein.
1 se 2 minute tak bhonnay k bad is main khoya or cream shamil kardein or dobara 1 se 2 minute tak bhonein.
Bhonnay k bad jab khoya or cream yakjan hojayein to phir is main sugar or ilaichi powder shamil kardein.
Chand minute is ko pakanay k bad is main bareek katy howe pista, badam or keowra shamil kardien.
Mazedar khoya sewaiyan tayar hain. Katy howe badam or pistey se saja kar serve karein.
by Pak101.com (few years ago!) / 1158 views