Search SMS
e.g. faraz, sardar, etc.

Mujhay tum yaad aatay ho

Mujhay tum yaad aatay ho

Muqaddar k sitaaron per

Zamaaney k ishaaron per

Udaasi k kinaaron per

Kabhi veeraan sheyhron mein

Kabhi sunsaan raston per

Kabhi hairaan aankhon mein

Kabhi be-jaan lamhon per

Tumhaari yaad chupkey se

Koi sargoshi kerti hai

Yeh palkain bheeg jaati hain

To aansu toot girtey hain

Hum palkon ko jhukatay hain

Ba-zaahir muskuratey hain

Faqat itna hi kehtay hain

Mujhey kitna satatey ho

Mujhey tum yaad aatey ho

Mujhey tum yaad aatey ho...!

512 chars (4 sms)
(Not Rated Yet)
 

Hottest SMS Messages this week

''How do you

Arzoo-e-Dil ne hamay

mein fana ho gya wo

aankhon me jab kabhi

Practice makes man perfect.

AN IDEA CAN CHANGE UR LIFE

Yunhi mazaq mazaq main

Kabhi ansu kabh

Life is the coffee

Sweet Ghazal

Existing Users Login
User ID
Password
 
 
Join Now / Forgot Password

also you can..
Login with Facebook