Nazar ki dhoop may sayy ghulay hain shub ki tarhan
May kub udaas nahin tha magar na aub ki tarhan
Phir aaj shehray tamanna ki rehguzarown say!
Guzar rahay hain kai log rozo shub ki tarha
Tyjhay to may nay bari aarzoo say chaha tha
Yay kia k chor chala tu bhi or sub ki tarhan
Fasurdgi hay magar wajaay ghum nahi maloom
k dil pay bojh sa hay ranjay bay sabab ki tarhan
khilay to aub bhi gulshan may phool hain laikin
Na meray zakhum ki surat na teray lub ki tarhan
482 chars (4 sms)