Forums > Poetry / Ghazal Corner > Tanhai Mein
naveedanjumjavaid


Age: 34 Male
4902 days old here
Total Posts: 353
Points : 12

Location:
quetta, Pakistan

Status : Offline
Subject : Tanhai Mein
Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha
Umer bhar apna ghar tanha dekhta raha

Kahin na kahin to badal hi jatay hain silsilay
Magar main jahan gaya sehra dekhta raha

Jane kyun qatratay hain log mujhe milne say
Kal shab dair talak aaina dekhta raha

Pani mangte magte meray honth pathar ho gaye
Woh shaks mashkiza liye khara dekhta raha

Be-gunah tha phir bhi sir jhukaye hue
Sitam-gar ki sitam ki inteha dekhta raha

Umar bhar mohabbat ka kuch youn silsila raha
Main usay or woh duniya dekhta raha

Kahon ga KHUDA se youm-e-hisaab ko MOHSIN
Ke zamana meri barbadi ka tamasha dekhta raha

no likes.

Posted on March, 29 2012 02:27:38 PM


riabest


Age: 33 Female
4500 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
Dil jo toota hai to dil ke konon se,
Teri meri nishaniyan nikli’n,
Tu gaya hai to mere yaaron mein,
Kesi kesi kahaniyan niklin,,,,,

no likes.

Posted on November, 07 2012 03:41:34 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 37 Male
4517 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Yun Mehfil Nahi Hoti Our Nazaare Nahi Hote
Yun Chand Ke Pehlu Main Sitare Nahi Hote
Ham Is Lye Karte Hen Aap Ki Fikar
Kiunki Dil Ke Kareeb Sare Nahi Hote,,,

no likes.

Posted on November, 07 2012 08:41:10 PM

brightsky2020


Age: 34 Male
4839 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Woh iss kamaal se khelaa tha ishq ki baazi,
Mein apni fataah samajhta raha maat hone tak..

Woh geet jo tum ne suna nahin, meri umar bhar ka reyaaz tha,
Mere dard ki thi woh dastaan, jisey tum hanssi mein urra gaye..

no likes.

Posted on November, 07 2012 11:13:56 PM

brightsky2020


Age: 34 Male
4839 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Gum’sum si raahguzar thi, kinara nadi ka tha,
Paani main chaand, chaand main chehra kisi ka tha..]

Shayed mera wajood hi suraj tha sheher mein,
Main bujh geya to kitne gharon mein chiraag jaley..

no likes.

Posted on November, 07 2012 11:16:10 PM

salubhai169


Age: 31 Male
4498 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Words begin with ?.A?.B?.C?.
Number begin with?.1?.2?.3?.
Music begin with?.SA?.RE?.GA?.
BUT?.?
FRIENDSHIP begins with?.?
?You&Me?

no likes.

Posted on November, 08 2012 12:38:59 PM

aarzoo


Age: 32 Female
4500 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
Zameen ke Aastaano say, falak ke chand taaron tak,
Koi Ehl-e-wafa dhundo, ager hum bewafa hain tom,,,

no likes.

Posted on November, 08 2012 02:56:54 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5065 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi

Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi

Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi

Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi

Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi

no likes.

Posted on November, 08 2012 09:27:45 PM

Rohama


Age: 30 Female
4513 days old here
Total Posts: 9029
Points : 340

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Khushbu’on ke nazool jesa tha,
Woh jo ik shakhss phool jesa tha,

Hum zamaney ko le ker kya kartey,
Us ke qadmon ki dhool jesa tha,

Main usey bhool hi nahin paati,
Woh meri pehli bhool jesa tha,

Us ko paana to yun bhi mushkil tha,
Aap apne khasool jesa tha,

Sofia main bhi thi anaa ki tarah,
Woh bhi apne asool jesa tha..

no likes.

Posted on November, 09 2012 01:47:26 AM

salubhai169


Age: 31 Male
4498 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
< ( . . )>
/ ( v)
(,,)..(,,)…
Hello, How R U?
< ( . . )>
/ (v )
( , , )..( ,, )…
FINE..!
R U bored from MY SMS!
< ( . . )> S o r r y
/ ( v )(,,) again!
FINE..

no likes.

Posted on November, 09 2012 09:08:08 AM

sahilgee169


Age: 31 Male
4467 days old here
Total Posts: 478
Points : 91

Location:
hasilpur, Pakistan

Status : Offline
Pyar me maut se darta kaun hai
Pyar ho jaata hai karta kaun hai

Aap jaise yar par dunia qurban
Aur aap puchte ho k, hum pe marta kaun hai?

no likes.

Posted on November, 12 2012 01:33:12 PM

Lioness


Age: 32 Female
4481 days old here
Total Posts: 607
Points : 142

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
toot kr bhi dhrakta rehta ha,,,
dil sa koi waffa daar nhn dekha!!!

no likes.

Posted on November, 12 2012 02:22:22 PM

Rohama


Age: 30 Female
4513 days old here
Total Posts: 9029
Points : 340

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Uski mehfile main wohi sach tha wo jo kuch bhi kahe.

Hum bhi goongon ki terha hath utha detay thy..

no likes.

Posted on November, 12 2012 05:44:35 PM

brightsky2020


Age: 34 Male
4839 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Ae Maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki Zahar khaaye zamaane guzar gaye,
O jaane vaale aa ki tere intazaar mein
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye,
Gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye,
Kya laayaq-e-sitam bhii nahin ab main doston
patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye,
Jaane bahaar phuul nahin aadmi hun main
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye
Kya kya Tavaqqoat thi aahonn se ai khumaar
ye teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye

no likes.

Posted on November, 12 2012 09:04:55 PM

bawa125


Age: 34 Male
4497 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Mashriqi Hoor Ho..
Dulhan Ki Haya Lagti Ho..
Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe.

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:25:01 AM

riabest


Age: 33 Female
4500 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
tera kheyal teri baat sath chalti hai,
Yeh kaayenaat mere sath sath chalti hai,
Tamaam umar ka milna koi bhula bhi de,
Magar woh pehli mulaqaat sath chalti hai,
Bicharne lagta hai jab akhri musafir bhi,
To aik mauj-e-khayalat sath chalti hai,
Yeh kesi raah pe daala hai waqt ne mujhko,
Na koi din na koi raat sath chalti hai,
Bohat aziz hai ankhon ko aansuyon ki jharri,
Koi bhi rut ho yeh barsaat saath chalti hai.

no likes.

Posted on November, 13 2012 12:02:35 PM

aarzoo


Age: 32 Female
4500 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
asmaanon Ne Hum Ko Kia Na Dia ?
Dil Magar Hum Ko Be-Wafa Na Dia
Hum Zamaanay Ko Dosh Detay Rahay
Zakham Tum Ne Bhee Kuch Naya Na Dia
Ku-Ba-Ku Naachti Phiri Khushbuu
Phir Bhee Phoolon Ne Kuch Gilaa Na Dia
Khwaab Mein Ek Din Milain Ge Agar
Tum Ne Yaadon Ko Bhee Mita Na Dia
Saari Daulat Jahaan Ko Di Hai Magar
Dil Mein Rakha Howa Khudaa Na Dia
Hum Ne Ghar Ko Jalaa Hee Lena Tha
Tum Ne Acha Kiaa, Diya Na Dia
ZIndagi Se Yehi Shikaayat Hai
Hum Ko Jeenay Ka Raasta Na Dia
Saaray Manzar Thay Aas Paas Magar
Tum Ne Kiun Khwaab Se Jagaa Na Dia ?
Bus Ishaaron Mein Baat Ki Hai Batool
Koi iLzaam Barmalaa Na Dia..

no likes.

Posted on November, 13 2012 06:23:15 PM

Lioness


Age: 32 Female
4481 days old here
Total Posts: 607
Points : 142

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
Mere Khawabon Ka Shehzada, Poora Kar De Ga Her
Va’ada,,

Meri Palkein Meri Aankhein, Bunkay Sitara Cho
Jaye Ga

no likes.

Posted on November, 14 2012 10:22:20 AM

Tayyab96


Age: 28 Male
4673 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
Yun bhi hua raat ko jab log so gaye,
Tanhayi aur main, teri baton mein kho gaye,
Aa dekh tujhse log jo rehte they door door,
Saaye mein teri yaad ke chup chaap so gaye,
Hum woh jo sarey sheher ke kerte they faisley,
Hum log teri chaah mein ruswaa bhi ho gaye,
Tum kya gaye ke waqt ka ehsaas mar geya,
Raaton ko jaagtey rahe aur din ko so gaye,
Ab zindagi ki shelf mein dhoonda karain ge log,
Arzaan huye hum itne ke nayaab ho gaye,
Arshad wafaa ki raah main shiddat thi is qadar,
Tujh se they kitne log jo rastey mein kho gaye..

no likes.

Posted on November, 15 2012 01:29:13 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 37 Male
4517 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Khudkushi Jab Haraam Hai Tou Phir
Kis Lye Loog “ISHQ” Kartay Hain

no likes.

Posted on February, 05 2013 03:36:53 PM