Forums > General Talks > Maa…Mother
naveedanjumjavaid


Age: 33 Male
4652 days old here
Total Posts: 353
Points : 12

Location:
quetta, Pakistan

Status : Offline
Subject : Maa…Mother
maut ki aagosh mein jab thak key soo jattiii hain maa

tab kahii jaakar sukoon thora sa paa jaati hain maaaa

fikar mein bachoo ki kuch istarah ghul jaati hain maa

no jawan hotey howey bhorii nazar aati hain maaa

eik hi hasraat ko apney azm-o-istaqlal sey

aansoo sey gusl dekar kudh hi dafnaati hain maa

aurhtii hain gurbatoo kaa khud yeh boseeda kafan

chahatoo ka perahan bachey ko pehnaatii hain maa

bhooka rehnay hi nahi deti yateemoo ko kabhi

jaaney kis kis sey kahan sey maang kar laati hain maa

rooh key rishtey ki yeh gheraiyan tou dekhayey

chot lagtii hain hamarey aur chilaatii hain maaa

kab zarorat hoon meray bachey ko itnaa soch kar

jaagti rehtii aaankhen aur soooo jaati hain maaa

haadyoon ka ras pila kar apney dil key chain koo

kitnii raatey mein tou khalii paet sojaati hain maaa

jaaney kitnii barf si raatoo mein aisaa bhi howa

bacha tou chatii pey hain gelay mein sojatii hain maa

jab khiloney ko machaltaa hain koi gurbat ka phool

aaansoo key saaz par bachey ko behlatii hain maaa

fikar mein shamshan key aakhir chatanoo ki tarah

jaisay sookhii lakriaa istraha jaal jaati hain maaa

apnii aanchal sey gulabii aansoo ko poonch kar

deir tak gurbat pey apnii askh barsatii hain maa

samney bachoo key khush rehtii hain har ek haal mein

raat ko chup chup kay lekin askh barsatii hain maaa

pehley bachoo ko khilaatii hain sukoon-o-chain sey

baad mein jo kuch bacha who shauq sey kahti hain maa

Mangtiii bhi nahi apney liyey allah sey

Apney bachoo key liyey daman ko phelatii hain maa

Janey anjaney mein hojayey jo bachey sey kasoor

Eik anjaani saza key dukh sey tarhaaati hain maa

Har ibadat har mohabbat mein nihah hain eik garz

Be garz be losss har khidmat ko kar jaati hain maa

Apney bachoo ki baharey zindagi key wastey

Aansooo key phoool har mosaaam mein barsatii hain maa

Bazooo mein kich key aaajaye gi kaisay qainat

Apney bachey key liyey bahoon ko pehlaatii hain maaa

Eik eik hamley sey bachey ko bachaney key liyey

Dhaaal bantii hain kabhi talwar ban jaati hain maaa

Pheley dil ko saaf karkey khoob apney khoon sey

Dharkanoo par kalmae-tauheed likh jaati hain maaa

Safha-e-hastii pey likhtii hain who usool-e-zindagi

Isi lyey ek maqtab-e-islam kehlatii hain maaa

Usney duniyaa ko diyey masoom rehbar islyey

Azmatoh mein saani-e-quran kehlatii hain maa

Jab perashanii mein ghir jaatey hain hum pardes mein

Aaansoo ko poochney khawaboo mein aajatii hain maa

Aisa lagta hain key jaisa aagaye firdoos mein

Daal kar bahey galey mein sar ko sehlatii hain maa

Agaya gar waqt muskhill apney dil key chain par

Qabr mein hotey howey bhi ashq barsatii hain maa

Baad mar jaaney key phir betay ki khidmat key liyey

Bhes betii ka badal kar ghar mein aaajati hain maaa

Door hojatii hain sari umr ki us dam thakan

Bihah karkey betay kaa jab ghar bahoo lati hain maa

Dekh letay hain nazar jis waqt betay aur bahoo

Ajnabi apney hi ghar mein haayey ban jaati hain maa

Allah allah bhool kar eik eik satam ko raat mein

Pootii pootey sey shikastaaa dil ko behlatii hain maa

Beta kitnaa hi bura hoon par padosan key huzoor

Rok kar jazbaat ko betay key gun gaati hain maa

Shadiyaan karkey jo bachey jaa basey pardes mein

Khat sey ya tasweer sey phir dil ko behlatiii hain maa

Apney seenay par rakhey hain qainat-e-zindaqiii

Yeh zameen is wastey hain dost kehlatii hain maa

Zindagani key safar mein gardishoo ki dhooob mein

Jaab koi saaya nahi miltaa tou yaad aaatii hain maa

Muflisi Bachey ki zid par jab utha letii hain haath

Jaisay mujrum ho koi istrhah sharmatii hain maa

Lot kar wapis safar sey jab bhi ghar aatey hain hum

Daal kar bhahey galey mein sar ko sehlatii hain maa

Dair hojatii hain ghar mein aaney mein aksar jab hamey

Rait par machlii ho jaisay aisay ghabratii hain maa

Mart-e-dam asaka bacha naa ghar par deir sey

Apni donoo kutliyay chokhat par rakh jaati hain maa

Apni pehloo mein lita kar aur totey ki tarah

Eik , bara paanch chodaa hum ko sikhlaati hain maa

Paar kehtey hain kissey aur mamta kia cheez hain

Koi un bachoo sey poochey jin mar jaati hain maa

Saaal bhar mein , ya kabhi , haftey mein jumaraat ko

Zindagi bhar ka silaa eik fatiha paa ti hain maaa

Martaba hoo maa ka zahir kis liyey firdoos sey

Apney bachoo key liyey poshaq mangwatii hain maa

Ghar sey jab pardes jaata hain koi noor-e-nazar

Hath mein quran lekar dar pey aajatii hain maa

Dekey bachey ko zamanat mein reza-e-paak ki

peechay peechay sur jukhayey door tak jaati hain maa

kaaptiii awaaz sey kehtii hain betaa alwidaaa

samnaa jab tak rahey hathooo ko lehratii hain maa

yaad aataa hain shab-e-aashoor ka karyal jawan

jab kabhii uljhiii howi zulfoo ko suljhatii hain maa

sub sey pehlay jaaan dena fatima(a.s) key laal par

raat bhar aun-o-mohamed ko yeh samjhatii hain maa

allah allah intehah dekh sabr-e- laila aur husain (a.s)

baap ney khainchii sina , seeney ko sehlatii hain maa

yeh bata saktii hain humko bus rubab(a.s)-e-khasta tan

kis tarah bin doodh key bachay ko behlaati hain maaa

shimr key kanjar sey yaa sookhey galey sey poochiyey

maa idhar sey nikaltaa hain udhar aaati hain maaa

jab talak hain yeh hath hain hamsheer be parda na hoon

eik madar bawafa betay sey farmatii hain maaa

aisa lagta hain kissi maqtal sey ab bhi waqt-e-asr

ek buridaa sar sey zyada pyasaaa hoon sada aati hain maa

no jawan beta agar dam tor dein aagosh mein

zindaqii bhar sur ko diwaroo sey takraatii hain maa

lash par betay key parhtii hain jawanii marsiaaa

shukr ka sajda us aalim mein baja laati hain maa

dei kar apney laal ko islam ki aaagosh mein

good khalii phir so-e-jaanat palat jaati hain maa

fatima(a.s) key laal par qurbaaan karney key liyey

baandh kar sehra jawan betay ko samjhatii hain maa

apney gam ko bhool kar rotey hain jo shabbir(a.s) ko

unkey askhoo key liyey jaanat sey aajatii hain maaa.

no likes.

Posted on August, 21 2011 04:20:55 PM


Omer87


Age: 36 Male
4809 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
yaar buhet Zaberdast hai
main ny aadhi perhi hai
Lakin achi nazam hai

no likes.

Posted on August, 21 2011 09:45:15 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4815 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Maa Maa he. maa ka koi badal nahi

no likes.

Posted on August, 21 2011 09:49:35 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
This is Called Real Love
Sakht Garmi Ki Waja se Jism se Paseena Behta Hai
Main ne Jub Ye Paseena Apni Biwi K Dupaty se Puncha
To Us Ne Kaha Dupata Ganda Na Kro
Jub Main ne Paseena “MAA” k Dupaty se puncha to
“MAA” ne Kaha k Ye Dupata Ganda hai Main Tujhe Saaf
Deti Hn

no likes.

Posted on May, 25 2014 08:09:19 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Why mother is so special?
When I came home in the rain,
My brother asked: Why you didn’t take an umbrella?
My sister adviced me: Why you didn’t wait till rain
stopped?
My father warned me: Only after getting cold you’ll
realize.
BUT
My Mother, while drying my hair, said: Stupid rain,
couldn’t it wait, till my child reach home.
That’s Mother

no likes.

Posted on May, 25 2014 08:11:08 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Who ran to help me when I fell,
And would some pretty story tell,
Or kiss the place to make it well?
My Mother.
(*) Happy Mother’s Day (*)

no likes.

Posted on May, 25 2014 08:12:17 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
M – For the MILLION things she gave me,
O – For she’s growing OLD,
T – For the TEARS she shed to save me,
H – For her HEART of purest gold,
E – For her EYES, with love-light shining,
R – For she is always RIGHT and always be.

no likes.

Posted on May, 25 2014 08:13:33 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
For the best mom
who always had a smile for me
I know we may be far apart right now
So here's a great big hug and kiss
Happy Mother's Day

no likes.

Posted on May, 25 2014 08:17:52 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Once upon a memory
Someone wiped away a tear
Held me close and loved me,
Thank you, dear Mother .

no likes.

Posted on May, 25 2014 08:19:16 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
The Miracle of Life
nurtured by a woman
who gave us
love and sacrifice...
is MOTHER
Happy Mothers Day!!

no likes.

Posted on May, 25 2014 08:22:55 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Mother
if i could have a single wish and never have another, it
would be to have one hour and spend it with my mother
miss u mom

no likes.

Posted on May, 26 2014 12:14:02 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
mother day
"M" is for the million things she gave me, "O" means
only that she's growing old, "T" is for the tears she
shed to save me, "H" is for her heart of purest gold, "E"
is for her eyes, with love-light shining, "R" means right,
and right she'll always be.

no likes.

Posted on May, 26 2014 05:34:57 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
MAA
MAA tab be roti he jab beta khana nhe khata, or MAA
aaj be roti he jab beta khana nhe deta, ak MAA se 3
beety paali jaty he,magar 3 beto se ak MAA pali nhe jati,
I LOVE YOU MAMA

no likes.

Posted on May, 26 2014 06:54:48 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
maa
Kisi ne poocha wo kaun si jagah hai jahan
har galti
har jurm
... ... ... ... aur
har gunaah maaf ho jata hai???
A little child Smiled and said
"My Mom's Heart ?"

no likes.

Posted on May, 26 2014 06:56:58 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Phir say wohi School ka Basta Thama Do Na…,,,
“MAA” Mujhay Zindagi ka Sabaq Bohat Mushkil
Lagta Hai……! Happy mother’s day!

no likes.

Posted on May, 26 2014 06:59:30 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Pay my best regards to Aunty who is tolerating
such a duffer child, what a stamina she has
got…!:-D I salute ur mother. :-P:-P Happy
mother’s day!

no likes.

Posted on May, 26 2014 07:00:46 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Labon PaY Us K Kabhi BaD-Dua Nai Hoti….;* ,+ ,
+ ,+ ,+ ,+ Bas iK Maa Hai Jo Kabhi Khafa Nai
Hoti…;* I Love u Amiii:-* ”Happy M0ther’s Day”

no likes.

Posted on May, 26 2014 07:03:13 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Kisi Ne MAA Se Sawal Kia k Agar Apke Qadmon
Se Janat Le Li Jaye Or Ap se kaha Jaye K kuch
Or Manglo,To Ap Khuda Se Kya Mangen Gi? Is
Baat Par MAA ne Baht Khobsurat Jawab Diya,
Main Apni Aulaad Ka Naseeb Apne Hath Se
Likhne Ka Haq Mangon Gi, Kyun K Unki Khushi K
Agy Mere Liye Har Jannat Chhuti Hy…

no likes.

Posted on May, 26 2014 08:04:10 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Meri Maa To Mery Sath Hy Alhumdolila….. Ye
Baht Acha Hai . . Par . . Agar . . Mery Hone
Waley Bachon Ki Maa Bhi Mere Sath Hoti To Or
Bhi Acha Hota…. :-P

no likes.

Posted on May, 26 2014 08:05:27 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Ye Keh Kar Main Farishton Se Jannat Mein Chala
Jaon Ga K Main Apni Maa K Kadom K Nishan
Dhoond Raha Hoon….

no likes.

Posted on May, 26 2014 08:06:39 PM

0irha0


Age: 30 Female
4113 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Maa…. Is Zulm Ki Duniyan Mein Faqat Pyar Meri
Maa Hai Mery Liye Saya Diwar Meri Maa Nafrat
k Jaziron Se Mohabbat Ki Hadon Tak Bas Pyar
Hai, Haan Pyar Hai, Bas Pyar Meri Maa…. “I
LOVE MY MOTHER”

no likes.

Posted on May, 26 2014 08:07:52 PM