Forums > Poetry / Ghazal Corner > ghazal
111192


Age: 31 Male
4311 days old here
Total Posts: 18
Points : 9

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Subject : ghazal (closed)
Aik Pal Ka Ehsas Bankar Ate Ho
Tum,

Dosre Hi Pal Khuwab Bankar Ur
Jate Ho Tum.


no likes.

Posted on July, 26 2012 06:53:45 PM


Omer87


Age: 36 Male
4805 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
yaad ki baarish
lamha lamha, baras rahi hai
phir bhi aas k sookhy patay
chatakh chatakh, k toot rahay hain
umeedon k saray panchi
ik ik kar k , rooth rahay hain
dil banjar honar sai phlay

TUM AA JAO


no likes.

Posted on August, 14 2012 05:06:37 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4811 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey

Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi

Aur na Pa ke Mujhey

Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein

Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein

Haath us ney Mera Thama Ho ga

Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga

no likes.

Posted on August, 14 2012 05:09:00 PM

Omer87


Age: 36 Male
4805 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Zabt krna ghum chupana ab zaroori hogaya,
Rote rote muskurana ab zaroori hogaya,

Haath mera dekh kr yeh mashwara usne diya,
Kuch lakeron ko mitana ab zaroori hogaya.


no likes.

Posted on August, 14 2012 05:13:46 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4811 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana
Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne

Armaan mere raiza raiza hogaye hain
Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne

Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne

no likes.

Posted on August, 14 2012 05:24:50 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4811 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Yahan chahton ka sila nahi
yahan dosti ka maza nahi

yahan janay kesi hawa chali
Rahi dostoon main wafa nahi

yahan jal gaya mera aashiana
Abhi badlon ko pata nahi

Teray dar pe dastak de sakon
ye haq to tum ne dia nahi

Main raahi hon raah-e-umeed ka
Mujhay manzilon ka pata nahi

MERI SAADGI MERA JURM HAi
KOI AUR MERI KHATA NAHI

no likes.

Posted on August, 15 2012 03:49:47 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4811 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Wo Tittli Thi usy Urr Jana Tha

Us Nai Mery Hath Mai Kab Aana Tha

Mai Dhoondta Raha Usy Diwanon Ki Tara

Us Ki Koi Manzil Na Koi Thikana Tha

Es Gharz Se us Nai Mera Hath Nahi Thama

Kiu K Raasty Mai us Nai Chor Jana Tha

Us Nai Aansu b Bohat Bahaye Lekin

Baad Mai Pata Chala Ye Sub Bahana Tha

Meri Deewangi Tu Hud Se Guzer Gai Magar

Us K Liye Tu Mahez Ye Dil Lagana Tha

Qasoor Us Ka Nahi Es Mai Koi ANjuM

Khata To Apni Thi Mai Hi Zara Dewana Tha...

no likes.

Posted on August, 16 2012 06:29:41 PM

Omer87


Age: 36 Male
4805 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
yaad ki baarish
lamha lamha, baras rahi hai
phir bhi aas k sookhy patay
chatakh chatakh, k toot rahay hain
umeedon k saray panchi
ik ik kar k , rooth rahay hain
dil banjar honar sai phlay

TUM AA JAO

no likes.

Posted on August, 16 2012 10:54:02 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4811 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
EiK Jesi Lagti Hain' Churiyan or Larkiyan
Hansti Hain' Khanakti Hain' Churiyan or Larkiyan

Nazuk Inteha ki' Ek Zara-si Thais se
Toot-Kar Bikhrti Hain' Churiyan or Larkiyan

UNKY Torrny-WaLy ko Ehsaas-tk Nahi Hota
Bikhr-k KAB SambhLti Hain' Churiyan or Larkiyan

Zindagi ki Dharkano ko Ek RYTHM-sa Deti Hain
Zeest ko Sajati Hain' Churiyan or Larkiyan

Apney Dukh ko Apney Andar Rakh k BhooL Jaati Hy
Bahir se Chamakti Hain
'Churiyan or Larkian'...

no likes.

Posted on August, 17 2012 12:51:37 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4811 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
KOI TO HOTA....
mai jis k dil ki kitaab benta
mai jis ki chahet ka khawab benta
mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
yaad ben ker azaab benta
KOI TO HOTA.....

jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
mai rooth jata manata mujh ko
k chahe mera kasoor hota
KOI TO HOTA....

mai jis k itna kareeb hota
na paas koi rakeeb hota
mai itna uus ka habeeb hota
ye silsila bhi ajeeb hota
KOI TO HOTA........

no likes.

Posted on August, 18 2012 04:33:24 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4811 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Main hun Meri Tanhai ha,
Or Hijr ki Raat Wahi ha,

Go Khatm Hua Dil ki Dunya me Sab
Par Tere Aane ki Aas Wahi ha

Muddat hui Teri Deed ko Ankhen Taras Gai
Aa Dekh Teri Deed ki Pyas wahi ha

Gar Kuch Nahi ha Pas Mere to Kia Gham Saim
Jeene ko Teri Yaad ka Ehsas Wahi ha...

no likes.

Posted on August, 19 2012 08:34:24 AM

juntalman


Age: 34 Male
4495 days old here
Total Posts: 1607
Points : 97

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Khuwab jhoote kisi ko dikhaya nahi karte,
Mere dost! Yun kisi ko satya nahi karte,
Ek baar yun kisi ko keh ker apna,
Daman phir uss se churaya nahi karte,

Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil,
Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte,
Rakhte hon jo dard bhara dil apne seene mein,
Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte,

Do qadam saath chal kar jo judda ho jayen,
Aise logon ko toh humsafar banaya nahi karte,
Kiss tarha guzarti hogi zindagi unn ki,
Pehli mohabbat ko jo dil se bhulaya nahi karte

no likes.

Posted on August, 19 2012 10:17:41 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4811 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Wo tum na the ik khiyal tha
meri sooch ka hi kamaal tha

wo muhabbatain wo chahatain
meri uljanoon ka hi jaal tha

mere dil mein thien jo ronaqain
wo tera hi husno jamaal tha

jawab jis ka milla nahi
wo aisa hi ik sawal tha

wo ajj milla to yon laga
yahi to hai wo jiska intezar tha

usse yaad kaise na koi kare
usse bhoohlna to mohaal tha

ab us ki kia main missal doon
wo to apni missal ap tha.

no likes.

Posted on August, 19 2012 04:27:44 PM

aakkhokhar


Age: 32 Male
4290 days old here
Total Posts: 88
Points : 62

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
shor do Muhbt krna yaro
dukh drd tanhai k siwa kuch raas nhn aaega


no likes.

Posted on August, 19 2012 04:30:22 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4811 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Taskeen na ho jis se woh raaz badal dalo

Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo

Tum ne bhi suni ho gi bari aam kahawat hai

Anjam ka ho khatra to aghaaz badal dalo

Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye

Sur hi na mile jis mein woh saaz badal dalo

Dushman k iradon ko hai zahir agar karna

Tum khel wohi khelo andaz badal dalo

Ay dost karo himmat kuch door sawera hai

gar chahte ho manzil parwaaz badal dalo

no likes.

Posted on August, 19 2012 04:38:28 PM

Omer87


Age: 36 Male
4805 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Mujhe kinare ki kab tamana,
Tujhe hai darya k paar jana,

Bipharte darya ki Surkh mojein
Bata rahi hain,

Khiraj mange ga tujh se darya,
Jo meri maano to aisa ker lo,

Mujhe shareek-e-safar bana lo,
Khiraj mange jo tujh se darya,

Mujhe banhwar mein utaar jana,
Tera zaroori hai paar jana.......


no likes.

Posted on August, 19 2012 04:40:32 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4811 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
sarapa iltija huN, aur chup huN
maiN kya kya dekhta huN, aur chup huN

wafa k daeiry meiN huN muqayyad,
sabhi kuch janta huN, aur chup huN

bhula beTha huN tery her sitam ko,
ghamoN ka silsila huN, aur chup huN

udoo ho, jaan-e-jaN ho ya koi aur,
her ik se aashna huN, aur chup huN

hazaroN aandhiaN, lakhoN haiN toofaN,
maiN gir gir k uTha huN, aur chup huN

bata kr raasta chalty bany ho,
saraboN meiN khaRa huN, aur chup huN

hawa jab gudguda'ay chandni ko
kisi ko sochta huN, aur chup huN

no likes.

Posted on August, 19 2012 04:51:27 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4811 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata

no likes.

Posted on August, 20 2012 11:10:47 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4811 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Mara Ek Sawal Hai Is Ka Jawab De
Hosake Tou Mere ILeTjA Ka Jawab De

Tou Karti Hai Nafrat Ye K Pyr Muj Se
Meri Sirf Is Therir Ka Jawab De

Main Na Phir Tujhe Chedonga Kabhi
Phir Na Kabhi Khaonga Ke Mujh Ko Jawab De

Barbad Hojonga Teri Intezar Main
Hosake Tou Meri Is Tehrir Ka Jawab De

Chala Jaonga Tere Shaher Se Phir Na Aonga
Is Liye Meri Jaan Phele Mujh Ko Jawab De

Hatjaonga Hamesha Tere Raaste Se
Agar Is Main Teri Khushi Ho Tou Muj Ko Jwab De

no likes.

Posted on August, 21 2012 03:48:43 PM

saim14399


Age: 31 Male
4465 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Rasme Ulfat He Ijazat Nahi Deti
Warna
Tujhay Bhooltay Aisa K Yad Kartay Poetry Sms

no likes.

Posted on August, 21 2012 09:25:24 PM

saim14399


Age: 31 Male
4465 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
"Never design your "Never design
your character
like a garden where anyone can
walk . Design your character like the sky
where everyone desire to reach."
like a garden where anyone can
walk . Design your character like the sky
where everyone desire to reach."'

no likes.

Posted on August, 21 2012 09:26:19 PM