Forums > General Talks > Poetry
Omer87


Age: 37 Male
5009 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Subject : Poetry (closed)
Poetry

to all members of pak101
i have make the topic of Poetry
You can share your Poetry in this topic

Buhet sy member's topics per topics banaty rehty hain

her nazam / shair ka alag sy topic bana dety hain

to please her alag nazam / shair k liya alag sy topic na banaye yaheen post ker dain

is sy her member aap ke poetry perhy ga bhi or yaheen appreciate bhi kery ga

no likes.

Posted on September, 17 2011 01:09:54 AM


alone129


Age: 33 Male
4784 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
shama pe chala mukadma parwane ke khoon ka,
pucha gaya shama se kyun kiya khoon maasum ka,
shama boli...
parwana jawani ke nashe main jhoom raha tha,
mere agge piche ghoom raha tha,
khoon na karti to kya karti,
bhari mehfil main mujhe choom raha tha...

no likes.

Posted on November, 02 2011 03:38:46 PM

alone129


Age: 33 Male
4784 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Bay zubaan logon ko
Baqarar ankhoon ko
Badnaseeb qadmoon ko
Jis tarf bhi lay jain
Rastoon ki marzi hay

Bay nishan jazeeron per
Bad guman shehroon main
Bay zubaan musafir ko
Jis tarf bhi bhatka dain
Rastoon ki marzi hay

Ajnabi koi laa kr
Hum safar bana dalain
Saath chalny waloon ki
Raakh bhi urra dalain
Ye musaaftain sari
Khaak main milla dalain
Rastoon ki marzi hay

Rook lain ya barhnay dain
Thaam lain ya girnay dain
Wasal ki lakiroon ko
Tor dain ya milnay dain
Rastoon ki marzi hay

no likes.

Posted on November, 02 2011 03:39:26 PM

alone129


Age: 33 Male
4784 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
kisi ki yaad dil main hai koi ehsas baqi hai
badalte mausam ke darmiyan ek raz baqi hai

abhi main safar mein hoon mile gi manzil mujhe
magar in raston kay darmian ek sath baqi hai

kahin pe sham dhalti ha kahin raat hoti
abhi to chandni hai chand ki raat baqi hai

chale aao kisi din tum hamara haal bhi dekho
hamara jism murda hai magar aik saans baqi hai

umeed hai phir bhi mile ga wo hamain aik din
khuda par hai bharoosa,khuda ki baat baqi hai

no likes.

Posted on November, 02 2011 03:39:56 PM

alone129


Age: 33 Male
4784 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Mai Ne Poocha Kaise Ho
Badley Ho Ya Waise Ho
Roop Wohi Andaz Wohi
Ya Phir Is Mein Hoi Kami
Hijr Ka Kuch Ehsas To Ho Ga
Koi Tumhare Pass To Ho Ga
Mai Bichra ye Majboori Thi
Kab Manzoor Mujhe Doori Thi
Saath Hamara Kab Choota Hai
Rooh Ka Rishta Kab Toota Hai
Aankh Se Jo Aansu Behte Hain
Tum Ko Khabar Hai Kya Kehte Hain?
Mai Ne Kaha Awaz Tumhari
Aaj Bhi Hai Hamraz Hamari
Phool Wafa K Khil Jayen Ge
Ik Din Hum Phir Mil Jayen Ge

no likes.

Posted on November, 02 2011 03:41:19 PM

alone129


Age: 33 Male
4784 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
dareeja yad ka khulty he sab kch lot ata hai
purany manzaron ko ankh phir sy dekh pati hai
teri tasveer banti hai teri awaz ati hai
galt hai yeh!!
k koi guzy kal my jee nhi sakta
sarabon my bany daria sy pani pe nhi sakta
MUJY DEKHO.............

no likes.

Posted on November, 02 2011 03:42:00 PM

alone129


Age: 33 Male
4784 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Us Ne Ek Bar Mujh Se Poocha
K Batao
Mujhe Kitna Yaad Kerte Ho
Mai Ne Kaha
Bohat Zyada
Us Ne Doobara Sawal Kiya
K Phir Bhi Aakhir Batao To Sahi
Mai Ne Kaha
Bohat Bohat Bohat Zyada
Mera Jawab Sun Ker Wo Zer-e-Lab Muskurayi
Aur Kaha
"Ab Mujhe Se Bhi To Poocho"
Aur Jab Mai Ne Poocha
To Us Ki Muskurahat Gehri Hoti Chali Gayi
Aur Halka Sa Gulabhi Rang
Us K Chehre Pe Aa Ker Guzar Gya
Us Ne Mujhe Doobi Hoi Nazron Se Dekha
Phir Palken Jhuka Ker Boli
"Pagal"
Yaad To Unhe Kiya Jata Hai
Jinhe Aadmi Bhool Jaye

no likes.

Posted on November, 02 2011 03:42:44 PM

alone129


Age: 33 Male
4784 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Kabi tamana k rastoon par
Nikal paro tou khayal rakhna
Hawain, badal,fizain, mousam
Khayal chahray badal badal kar tumhain milain gay.
Tum lamha lamha badaltay Rangoon k sokh dhokay main a na jana.
Aur apni aankhain kahein khala main ganwa na aana.
K aisa na ho jo khoab totay.
Dhanak dhanak ka sarab totay.
Tou jism-o-jan pay azaab totay.
Aur tum ba mushkil
Laraztay hathon main kirchi kirchi badan sambhalay zameen pay utro.
Kahein bolandi pay charh k doobti hoe nighahon say wapsi k nishan dhoondo.
Ujar gaya jo jahan dhoondo.
KAHEIN AISA NA HO.
KHAYAL RAKHNA.!!!!!!

no likes.

Posted on November, 02 2011 03:43:51 PM

alone129


Age: 33 Male
4784 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Socha yad na karke thoda tadpaye unko,
kisi aur ka naam lekar jlaye unko.
Par koi chot unko lagi to dard hame hoga,
ab koi ye bataye k kis tarah satayein unko.


no likes.

Posted on November, 02 2011 03:45:06 PM

alone129


Age: 33 Male
4784 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Har nazar ko ek nigah ka haq hain,
har raah ko ek aah ka haq hain.
hum bhi dil le kar aye hain duniya main,
hume bhi ek gunah ka haq hain..


no likes.

Posted on November, 02 2011 03:45:45 PM

alone129


Age: 33 Male
4784 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Main Umr K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jaataa
Ek Din Bhi Agar Apni Tanhaaii Se Dar Jaataa

Main Tark E Ta?alluq Par Zinda Huun So Mujrim Huun
Kaash Uss K Leye Jiitaa, Apney Leye Mar Jaataa

Uss Raat Koii Khushbu Qurbat Mein Naheen Jaagi
Main Varnaa Sanvar Jaataa,Aur Voh Bhi Nikhar Jaataa

Uss Jaan-E-Takallum Ko Tum Mujh Se Tou Milvatey
Taskheer Na Kar Paataa, Hairaan Tou Kar Jaataa

Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Aavaazain
Chaltaa Tou Bichhar Jaataa,Ruktaa Tou Safar Jaataa

MaiN Shehr Ki Rounaq Mein, Gum Ho K Bohot Khush Thaa
Ik Shaam Bachaa Laitaa, Ik Roz Tou Ghhar Jaataa

Mehroom Fazaaoun Mein,Mayuus Nazaron Mein
Tum AZM Naheen Tehrey, Main Kaise Tehar Jaataa

no likes.

Posted on November, 02 2011 03:47:15 PM

alone129


Age: 33 Male
4784 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Bheegi Palakain
AAnkhon Mein Laal Doray
Dard Say Chlakti Surkhi
Gaaloon Pay Phisaltey Motii
Lub Kaat-te Huwi
Main Aksar Ussay Bari
Mehwiat Se Dekhta hoon
Pagli
Tujhe Kiya Maloom Tujhe Rula Kar
Main Marti Ankhon Mein
iss Jahan ka Husn Dekhta hoon

no likes.

Posted on November, 02 2011 03:48:02 PM

alone129


Age: 33 Male
4784 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Zara dhehaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Wafa ka maan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kahan es umer main hum bhes badlain gain faqeron ka
Milan asaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Judai k dino main loog chehray bhool jatay hain
Meri pehchaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai

no likes.

Posted on November, 02 2011 03:48:51 PM

atif03


Age: 47 Male
5009 days old here
Total Posts: 7660
Points : 828

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline

Duniya ki mehfilon se uktaa gya hoon ya Rabb
Kya lutf anjuman ka, jab dil hi bujh gya ho?

Shorish say bhaagta hoon, dil DhoonDta hai mera
Aisa sakoot jis par taqdeer bhi fidaa ho

Marta hoon khamoshi par, yeh aarzoo hai meri
daaman mein koh ke, ik choTaa saa jhonpRa ho

Azaad fikr se hoon, uzlat mein din guzaaroon
dunya ke gham ka dil se kaanTa nikal gya ho


no likes.

Posted on November, 02 2011 03:57:06 PM

atif03


Age: 47 Male
5009 days old here
Total Posts: 7660
Points : 828

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline

zindagi ka nasha bhi bada ajeeb hota hai
koi pass hoke bhi dur hota hai
to koi dur hoke bhi dil ke kareeb hota hai
koi chahkar bhi nahi mil pata
aur koi bina chahe hi zindagi ka naseeb hota hai


no likes.

Posted on November, 02 2011 03:57:55 PM

atif03


Age: 47 Male
5009 days old here
Total Posts: 7660
Points : 828

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline




no likes.

Posted on November, 02 2011 03:59:06 PM

Sheikho


Age: 31 Male
4972 days old here
Total Posts: 4100
Points : 41

Location:
Fsd, Pakistan

Status : Offline
Wohi Galiya'n, Wohi Kooche
Wohi Sardi ka Mausam Hy

Isi Andaaz Se Apna Nizaam-e-
Zeest Barham Hy

Ye Husn-e-Ittefaq Aisa k Nikhri
Chaandni Bhi Hy

Wohii Har Simt Weerani, Udaasi
Tishnagi Si Hy

Wohi Hy Bheer Socho'n Ki, Wohi
Tanhaiya'n Phir Se

Musafir Ajnabi Aur Dasht ki
Pinhaiya'n Phir Se

Wo Jis k Hony Se Zindagi Naghma
Siraai Hy

Usay Kehna k Bheegi SARDIYA'N
Phir Laut Aai Hyn ... !!!

no likes.

Posted on November, 02 2011 09:02:33 PM

Sheikho


Age: 31 Male
4972 days old here
Total Posts: 4100
Points : 41

Location:
Fsd, Pakistan

Status : Offline
Wo Yaad Kia Aaya K Jaag Uthi Hein
Khwahishain Bhi
.
.
Taza Dard,
Sard Hawa Or November Ki Ye Pehli Rat....!! ;->



no likes.

Posted on November, 02 2011 09:03:09 PM

Sheikho


Age: 31 Male
4972 days old here
Total Posts: 4100
Points : 41

Location:
Fsd, Pakistan

Status : Offline
Zulmat Ko Ghata Kehne Se Khatra Nahi Jata

Deewar Se Bhoonchal Ko Roka Nahi Jata

Zaato'n K Tarazu Mein Azmat Nahi Tulti

Feetey Se Tou Kirdaar Ko Napa Nahi Jata

Darya K Kinary Tou Pohanch Jaty Hyn Pyaase

Pyaaso'n K Ghar Ko Kabhi Darya Nahu Jata

Wapis Nahi Hona Hy Tou Paao'n Hii Kata Do

Iss Morr Se Aage Koi Rasta Nahi Jata

ALLAH Jise Chahe Usay Deta Hy Sab Kuch

Izzat Ko Dukaano'n Se Khareeda Nahi Jata ... !

no likes.

Posted on November, 02 2011 09:04:37 PM

Sheikho


Age: 31 Male
4972 days old here
Total Posts: 4100
Points : 41

Location:
Fsd, Pakistan

Status : Offline
*. . .Tasawwar Mein Chalay Aao Zara Didaar Hi Kar Lein,

DOst


Tamanna Tum Se Milnay Ki To Pori Ho Nahi Sakti. . .*



no likes.

Posted on November, 02 2011 09:05:50 PM

Sheikho


Age: 31 Male
4972 days old here
Total Posts: 4100
Points : 41

Location:
Fsd, Pakistan

Status : Offline
Mujh Se Wada Karo Mujhe Rulao Gay Nahien
Halaat Jo Bhi Ho Mujhe Bholao Gay Nahien

Chhupa Ke Apni Ankhon Mien Rakho Gay Mujhe
Dunia Mien Kisi Or Ko Dikhao Gay Nahien

Mere Lafaz Mere Dil Ki Tehririen Hien
Qasam Uthao Ke Inko Jalao Gau Nahien

Mujhe Yeh Yaqeen Dilao Ke Mujhe Yaad Rakho Gay
Meri Yadoon Ko Apny Dil Se Mitao Gay Nahien

no likes.

Posted on November, 02 2011 09:06:41 PM