Aankhain khuli rahain gi to manzar bhi aain gey Zinda hey dill to or sitamgar bhi aain geyPehchan lo tamam faqeeron k khad-o-khaal Kuch log shab ko bhais badal kr bhi aain gey Gehri khamosh jheel k pani ko youn na cher Cheentay urey to teri qabaa pr bhi aain gey Khud ko chupa na sheesha-garon ki dukan mein Sheeshe chamak rahe hyn to pathar bhi aain gey Usne kaha, gunah ki basti se mat nikal Ek din yahan haseen payammber bhi aain gey Ay shehr-e-yaar dasht se firsat nahi magar Nikle safar pe hum to tere ghar bhi aain gey Mohsin abhi sabaa ki sakhawat pe khush na ho Jhonke yehi basoorat-e- sar sar bhi aain ge
no likes.
|