Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai Kahin Tu Toot Na Jaiy Tujhay Sambhal Rakhna HaiHarr Ek Masley Ka Teray Hal Nikaal Rakhna Hai Zahanat Se Apni Tujhay Hairat Main Daal Rakhna Hai Gar Jo Kabhi Tu Tark-e-Talluq Ki Baat Karay Rok Kar Tujhay Kal Taal Rakhna Hai Teray Dard Ko Chun Lena Hai Palkon Se Apni Teray Waastey Khud Ko Nidhaal Rakhna Hai
Nahi Doobnay Dena Tujhay Dukh Ke Darya Main Teray Wajood Ki Naaow Ko Uchaal Rakhna Hai Balaaon Ko Teri Duaaon Se Rook Loon Apni Teray Chaar Soo Apnay Hathon Ki Dhaal Rakhna Hai Sunaoon Aisi Dhunn Kay Na Ho Tujhko Kabhi Talab Apni Hansi Mein Woh Munfarid Kamaal Rakhna Hai Na Ho Jaye Kabhi Tujhko Meray Ro Baru Nadamat Teray Samnay Hamesha Aasan Sawal Rakhna Hai Bichar Ke Mujhse Na Jaye Tu Dunya Ki Thokaron Main Tujhko Apnay Paas Rakh Kar Lazawaal Rakhna Hai Kho Na Jaye Tu Zindagi Ke Andhairon Main Kahin Teray Waastay Ujaaloon Ko Ghulam Rakhna Hai Raha Muntazir Uska Tu Dhoop Main Ahl-e-WAFA Woh Jab Lautay Tou Chaoon Ko Nikaal Rakhna Ha
no likes.
|