Forums > General Talks > Eid Poetry......................Special for Any body
  • Page 1 of 1
  • 1
4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
Subject : Eid Poetry......................Special for Any body
Iss eid pe lot k aa jana,
Kuch yadein taza krni hain,
Kuch lamhay morr k lanay hain,
Kuch taray torr k lanay hain,
Wo masti or wo madhoshi,
Wo bachpan morr k lana hai,
Is eid pe lot k aa jana,
Ab dil ko dil ki dharkan se,
Phir eid mubarak kehna hai,
Ab sath boht din rehna hai,
Is eid pe lot k aa jana…!

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:05:08 PM


4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
Tujhe meri na mujhe teri khabar jaye gi
Eid ab ke baar dabey paaon guzar jaye gi..

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:05:49 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
Un ko dekha tou phir utra na geya
Aasman tak hi raha eid ka chaand..

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:06:25 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
Akeli tu bhi hai, mera bhi door hai mehboob
Galey tou mil eid ayi hai shab-e-hijran mein

Ameeron ke liye tou har roz eid hai
Ghareeb khush hon tou janein eid ayi hai

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:07:09 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
Us meherban ki nazar -e- inayat ka shukria
Tohfa diya hum ko eid pe firaaaq ka..

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:07:57 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
Ab maza ayega eid ka
Bacha bacha muntazir hai deed ka

Ab nahin hijr gawara ke kareeb ajao
Eid ka bhi hai ishara ke kareeb ajao

Ubhra nahin hai chand nazar beqarar hai
Aese mein bhala khaak aye eid ka maza

Abr-e-rehmat ban kar cha jao peyam e eid hai
Chaar soo noor barsao peyam e eid hai

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:08:43 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
Tohfa duyaon ka tumhe pohanchey mera
Sada rahe tumhare gird khshiyon ka ghera
Musartein tumhe eid ki mubarak hon
Tumhari zeest mein na aye ghamon ka phera..

Kitni palkon se fizaaon mein sitarey tootey
Kitne afsanon ka unwaan bana eid ka chaand..

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:09:32 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
teri deed jis ko naseeb h wo naseeb qabil e deed hai
lekin
tuje sochna meri chand raat or tuje dekhna meri eid hai

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:10:22 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
Jab Wo Nikle Ban Than Ke Eid Ke Din

Jab Wo Nikle Ban Than Ke Edd Ke Din

Dhakanain Meri Mere Dost Rahe The Gin

Aur Mere Dil Se Aa Rahi thi Sada

Kash Kar Loon Apne App Se Main Ye Wada

Na Dhondon Ga Agle Saal Se Chand Ko Falak Pe

Mana Loonga Eid Appki Sirf Ek Jhalak Se

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:15:31 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
Har baar ki tarah is bar bhi ansu bahaon gi,
Suno logo, mein eid nahin manaoon gi,

Sahuuun gi gham akele chupke chupke,
Zakham apne na kisi ko dikhaon gi,
Suno logo, mein eid nahin manaon gi.

lage gi mehndi hathon per, urti phiren gi titliyaan
Mein ponch ke ankhen, chup chap se so jaaon gi
Suno logo, mein eid nahin manaon gi.

Jis haal mein hoon mein, bohat khush-haal hoon mein
Zamaney bhar se achi hon, aag kahin na lagaon gi
Suno logo, mein eid nahi manaaon gi..!

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:16:19 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
First of all advance Eid Mubarak To All the Readers.

Pesh Hain Iss Saal Ke Liye meri Eid Poetry.

1) Jiss Pal Nikalta hain chand eid ka
Har Dum Khayal Rehta hain mujhe eis waeed ka.
Ke Hu gaye hain Do Bache Ab Kama Ke Lao.
Chahe Tum Apni Eid Ghar Pe Mat Manao.

Ye Ashar Thode Dhard Mandna The. Mere unn doston ko dedicated tha jo bichere eid main bhi bahar countries main Kama rahen hain.

Kuch Mere Jawan Doston Ke Liye.

2) Kash Iss Bar bhi eid par Sawaiyen khane unke ghar jaon.
Thodi Nazren choraon, thodi nazren milaon.
Muaka Dekh kar keh hi don unse. "Ajj Swaiyan kuch jayda hi meethi hain".
App Kahen tu pori pateli bhar pee Jaon.

Ek Chota Sa Eid Card App Sabhi Ke liye.

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:17:51 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
Ae Hum-Nasheen Bahisht Ba-Daaman Hai Sham-E-Eid
Aa Hum Bhi Dil Ke Daag Jalaen Ba-Naam-E-Eid
Palkon Pe Aansuon Ke Sitaarey Sajaa Liye
Is Dhaj Se Hasraton Ne Kiya Ehtimaam-E-Eid

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:18:23 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
Ek Lamhe Ko Mai Ne Tujhe Dekha Tha
Umr Bhar Meri Nazar Mai Na Jacha Eid Ka Chand

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:19:01 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
Is Eid Per
Wo mere Sath nahi
Magar Wo, Uski Yadien, Uski Batien
Sab Mujhe Yaad Hain
Us ne bhi mujhe yaad kiya ho ga
Phir mere Khayaloon Main Khoye hoye,
Tasawar Ke Kisi Lamhay Main
Dheeray Se Kaha Ho Ga
Eid Mubarak

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:20:57 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
A Beautiful Poem On Eid

__________

Ab ke Phir Eid Ka Din Aa Puhncha hai
Neelay Akash Pe nikla hai abhi eid ka chand
Bakhat Waloon ke Liye Eid Ka Sandes Liye
bhujti ankhoon ke liye deed ka sandes liye
Saray chehroon se thakan door hoi jati hai
hijer waloon ki chuban door hoi jati hai

chand nikla hai shab-e-wasl ka sandes liye
kehkashan bakhat musafir ke paltnay ki naveed
her Kiran hath main thamay ayee
Chand nikla hai…
mager hasrat se…

Chand ki simat meri ankhien taki jati hain
chand akash se takta hai mager…Ankh chura laita hai
meri ankhoon ki nami aur sawaloon ki chuban
us se dekhi nahi jati shayad
meri go-yaee maira sath nahi de pati

ke main us se teri babat pochoon
Us se pochoon ke bata mairay muqadar ke najoom
Kin andheeroon main hoye toot ke reeza reeza
Chand Ankhoon Ko chura Ker mujhe se
Janne kion tall raha hai yeah sawal

kia mairay bakhat main ab ke bhi nahi
Eid Ka Lamha…Wasaal….
Kiya Palat ker nahi aye ga wo jannay wala???
Kia Meri Eid Faqat Ab ke bhi…
ik Aur naya din ho gi????

din bhi aisa jo Qayamat Sa ghuzarta hai sada
Durd ke rang meri ankhoon main jo bharta hai Sada
ba-kali, durd, jalan, aur sulagti Yadien
Durd ko aur jaga detien hain
Karab ko aur bharha detien hain

Meri be-rang hatheeli pe Dua ki titli
Akhri Saans ki hud per puhnchi
Meri umeed ke saray jugnu
bhujti ankhoon main bhujhay jatay hain
Hont hansnay ke huner se Aari
Dil dharknay ki Riwayat Se Juda

Ankh se khawab alag
mar gaye harf-e-dua
toti sansoon ke hontoon per
Faqat Sard See …Aaah
Dobtay dil se bikherti See Sada Ati hai

Kash…. Aye Kash…. Ke yeah eid Ka Chand
apnay hathoon yeah sandes deta
mujh se kehta ke huwa hijer tamam
Aye mairay chand teri Eid ki shab mairay naam
Ab Faqat mairay naam

kash yeah sandes millay
Kash….
neelay Akash Pe nikla hai abhi Eid ka chand
Dil ke Akash Pe dobay ga abhi eid ka chand
dil ke akash se totay ga abhi Eid ka chand

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:25:24 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
MERE KAREEB AAI NA AB TAK BAHARAY EID
MUDDAT SE JAHAN MAIN MUJHE INTIZARAY EID
IK DIL KO DI KHUSHI TO DIYA DOSRE KO GHUM
IS BAZMAY KAINAT MAIN KIA AITBAARAY EID
HASIL NA HO KHUSHI TO MUJRIM HAI EID BHI
NAKSHAY GHUM O ALAM BHI HAI NAKSHO NIGARAY EID
BICHRAY HUWON KI YAAD BHI LATI HAI SATH SATH
KIS DARJA TALKH TAR HAIN YE NIL O NEHAR EID

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:38:25 PM

4520832608065


Age: 32 Male
4597 days old here
Total Posts: 54
Points : 32

Location:
Ranipur, Pakistan

Status : Offline
EID AI TO KHAYAL AYA HAMAIN
JANE KAB BICHRAY HUWE LOG MILAY
JEE MAIN ATAY HAI ABHI TUM SE KAHAIN
EID KA CHAND MUBARAK HO TUMHAIN
HUM HAIN KHAMOSH HAMAIN DAR HAI YEHI
LAB KHULAIN GAY TO PUKARAIN GAY TUMHAIN
TUM KO DEKHAY HUWE SADIYAN BITI
TUM SE KEHNA HAI YEHI AJJ HAMAIN
MAANGNA BHOOL NA JANA HUM KO
CHAND KO DEKH KAY GAR HATH OTHAIN!!

no likes.

Posted on November, 05 2011 02:39:05 PM

  • Page 1 of 1
  • 1