Forums > Poetry / Ghazal Corner > poetry
Awais148


Age: 30 Male
4070 days old here
Total Posts: 12184
Points : 198

Location:
Attock, Pakistan

Status : Offline
Subject : poetry (closed)




adeelahadait like this.

Posted on September, 03 2013 10:21:03 AM


2waqar


Age: 34 Male
3784 days old here
Total Posts: 2325
Points : 35

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
kaajal hinaa Gazab masii-o-paan kii dha.Dii
pishavaaze.n surKh sausanii laahii kii phul-jha.Dii
kurtii kabhii dikhaa kabhii angiyaa kasii ka.Dii
kah 'iid iid' luuTen hai.n dil ko gha.dii gha.Dii


no likes.

Posted on December, 29 2013 07:34:13 PM

2waqar


Age: 34 Male
3784 days old here
Total Posts: 2325
Points : 35

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
chaa.Ndanii ko rusuul kahataa huu.N
baat ko baa_usuul kahataa huu.N

jagamagaate hue sitaaro.n ko
tere pairo.n kii dhuul kahataa huu.N

jo chaman kii hayaat ko Das le
us kalii ko babuul kahataa huu.N

ittefaaqan tumhaare milane ko
zindagii kaa husuul kahataa huu.N

aap kii saa.Nvalii sii suurat ko
zauq-e-yazdaa.N kii bhuul kahataa huu.N

jab mayassar ho saaGar-o-miinaa
barq_paaro.n ko phuul kahataa huu.N


no likes.

Posted on December, 29 2013 08:02:47 PM

hearthackervsgirls


Age: 39 Male
3965 days old here
Total Posts: 2292
Points : 11973

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Awais sahib ap molvioun wala kam karo.
yeh ap kya ker rhe ho????


no likes.

Posted on December, 29 2013 08:05:12 PM

2waqar


Age: 34 Male
3784 days old here
Total Posts: 2325
Points : 35

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Hahaha... Ary nhi yar un ka bhi dil hai

no likes.

Posted on December, 29 2013 09:04:40 PM

2waqar


Age: 34 Male
3784 days old here
Total Posts: 2325
Points : 35

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Agaz mera anjam hain
anjam mera agaz hain
raoshni ek khawab hain
pal pal telkh jam hain
amad o rafat ka silsila
waheshyana mazak hain
tahkeek wo justuju ka sila
agg ka derya hain
woh bigleyoun ki ladiyan
khaufnak kerchyan hain
ilem se khali ho ger dil
zindagi regzar hain
kankani ki ibteda machine
ki imtiha hain
anson se ghankti sada
palpal umid ki kaleyan hain

no likes.

Posted on December, 29 2013 09:07:18 PM

2waqar


Age: 34 Male
3784 days old here
Total Posts: 2325
Points : 35

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Other members also post their peotry

no likes.

Posted on December, 30 2013 07:18:02 PM

2waqar


Age: 34 Male
3784 days old here
Total Posts: 2325
Points : 35

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
ankhon nay sirf tera he khawab dekha hai..
qismat ka sitam be hisab dekha hai...
ab chain nahi hai ek pal bhi tare bin
din main bhi raatka samaan dekha hai...
tari yaad mitnay gya tha mekhanay main...
wahan bhi toota howa jaam dekha hai...
ab tu khushi dekhay arsa ho gya ham ko
gam k saye ko har waqat sath dekha hai
wo mera ho kar bhi kisi aur ka ho gya
apni qismat ka bhi ajab haal dekha hai
ab main aur kya kahoon amir...
answoon ko bantay gulaab dekha hai

no likes.

Posted on December, 30 2013 07:26:30 PM

2waqar


Age: 34 Male
3784 days old here
Total Posts: 2325
Points : 35

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thehr ke dekhte hain

sunaa hai rabt hai usko Kharaab haalon se
so apne aap ko barbaad karke dekhte hain

sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk uskii
so ham bhii uskii galii se guzar kar dekhte hain

sunaa hai usko bhii hai sheir-o-shaaiirii se sharf
soham bhii maujzay apne hunar ke dekhte hain

sunaa hai bole to baaton se phuul jharte hain
ye baat hai to chal baat kar ke dekhte hain

sunaa hai raat use chaand taktaa rehtaa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhte hain

sunaa hai hashr hain uskii Ghazaal sii aankhein
sunaa hai usko hiran dasht bhar ke dekhte hai.n

sunaa hai din ko use titliyaan sataatii hain
sunaa hai raat ko jugnuu Thehr ke dekhte hain

sunaa hai uskii siyaah chashmagii qayaamat hai
so usko surmaafarosh aankh bhar ke dekhte hain

sunaa hai uske labon se gulaab jalate hai.n
so ham pahaarh pe ilzaam dhar ke dekhte hain

sunaa hai aaiinaa tamasal hai jabiin uski
jo saadaa dil hain ban-savar ke dekhte hain

sunaa hai uske badan ke taraash aise hain
ke phuul apnii qabaaein katar ke dekhte hain

sunaa hai uskii shabistaan se muttasil hai bahisht
makeen udhar ke bhii jalve idhar ke dekhte hai.n

ruke to gardish uskaa tavaaf kartii hai
chale to usko zamaane Thehr ke dekhte hain

mubaalaGe hii sahii, sab kahaaniyaa.N hiin sahii
agar vo Khvaab hai to taabiir kar ke dekhte hain


no likes.

Posted on December, 30 2013 10:58:11 PM

Sabirshah


Age: 33 Male
3833 days old here
Total Posts: 15423
Points : 83

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Bhai ap ne achi peotry share ki hai hmmn nice

no likes.

Posted on December, 31 2013 08:53:12 PM

Awais148


Age: 30 Male
4070 days old here
Total Posts: 12184
Points : 198

Location:
Attock, Pakistan

Status : Offline
sabir bhai ap ne to mere buht purane topics khol diye hain thnx for this

no likes.

Posted on December, 31 2013 09:05:56 PM

Sabirshah


Age: 33 Male
3833 days old here
Total Posts: 15423
Points : 83

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Bhai ye tu ap ki hi muhabbat hai na bhai jan

no likes.

Posted on December, 31 2013 09:09:06 PM

kamalzxero


Age: 27 Male
4422 days old here
Total Posts: 238
Points : 133

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
so nine

no likes.

Posted on January, 01 2014 04:18:43 PM

2waqar


Age: 34 Male
3784 days old here
Total Posts: 2325
Points : 35

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline

Kisi ghar men koi pathar gira tha
Magr nazla faqat mujh pr gira tha

Main aksar jhankta tha panio men
Mery hi aks pr kanker gira tha

Sada aati bhi ger tou koun sunta?
Keh sheesha toot kr andar gira tha

Mery paon men lerzish tak no aayi
Usi k hath sy khanjer gira tha

Ana men dabb Gaye sub khawab mery
Buton k ser pe khud mander gira tha

Sambhalny ki bhi himat thi na us men

no likes.

Posted on January, 01 2014 08:50:45 PM

Awais148


Age: 30 Male
4070 days old here
Total Posts: 12184
Points : 198

Location:
Attock, Pakistan

Status : Offline
waqar bhau ap ne to mere topic pr poetry paste kr ke acha kam kiya thnx....

no likes.

Posted on January, 01 2014 09:11:16 PM

2waqar


Age: 34 Male
3784 days old here
Total Posts: 2325
Points : 35

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Aap me poetry k lye open Kia hai tau zaroor karengay brother!! Q nhi.. Poetry bht mazy ki Hoti hai.. I like it alot

no likes.

Posted on January, 01 2014 09:54:29 PM

2waqar


Age: 34 Male
3784 days old here
Total Posts: 2325
Points : 35

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Tarz-e-Fikro Nazar Nahai'n Aaya
Dousti Ka Hunar Nahai'n Aaya

Lou't Kar Aagaye Parenday Sub
Ek Musafir Magar Nahai'n Aaya

Hum Nay Har Zaveye Say Dekha Hay
Ko'ee Tum Sa Nazar Nahai'n Aaya

Lou'g Kehtey Hai'n Choudhvee'n Shab Hay
Chaand Keou'n Bam Par Nahai'n Aaya

Chash-e-Nagis Hay Aaj Tak Haira'n
Keya Kou'ee dedahawr Nahia'n Aaya

Rou'z Aati Hay Us ki Yaad Raees
Jo Kabhi Lou't Kar Nahai'n Aaya


no likes.

Posted on January, 01 2014 11:38:08 PM

2waqar


Age: 34 Male
3784 days old here
Total Posts: 2325
Points : 35

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Ek Lamha-eWisaal Tha Wapas Na Aa Saka
Woh Waqt Ki Misaal Tha Wapas Na Aa Saka

Har Ek Ko Apna Haal Sunan-e-Say Faida
Mera Jo Hum Kheyal Tha Wapas Na Aa Saka

Mujh Ko Meray Wajood Say JO Kar Geya Jud'da
Kesa Wo Bakamal Tha Wapas Na Aa Saka

Ketn-e-Kheyal Roop Haqeeqat Ka pa Gaye
Jo Markaz-e-Kheyal Tha Wapas Na Aa Saka

Har Dam Raees Wo Tou Nazar Kay Hay Saa'mnay
Tera Tou Yeh Kheyal Tha Wapas Na Aa Saka

no likes.

Posted on January, 02 2014 09:33:54 PM

2waqar


Age: 34 Male
3784 days old here
Total Posts: 2325
Points : 35

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Agar Jo Dil Ki Sunoge To Haar Jaoge,
Hum Jaisa Yaar Kaha Se Paoge,

Jaan De Ne Ki Baat To Har Koi Karta Hain,
Zindagi Banane Wala Kaha Se Laoge,

Jo Ek Nazar Dekhoge Tum Humein,

no likes.

Posted on January, 02 2014 10:07:52 PM

0irha0


Age: 30 Female
4104 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Maut se keh do faraz humko na majboor kare
Dil ke mehmaan.. teri yaad liye.. baithe hain
Zabt-e-dil kis se kahe, zabt kiye baithe hain
Maut se keh do faraz humko na majboor kare
Jinki ye cheez hai hum unko diye baithe hain

no likes.

Posted on January, 04 2014 11:59:16 AM

0irha0


Age: 30 Female
4104 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Maut se keh do faraz humko na majboor kare
Dil ke mehmaan.. teri yaad liye.. baithe hain
Zabt-e-dil kis se kahe, zabt kiye baithe hain
Maut se keh do faraz humko na majboor kare
Jinki ye cheez hai hum unko diye baithe hain

no likes.

Posted on January, 04 2014 12:00:23 PM