FarhanHassan
Age: 33
4465 days old here
Total Posts: 4685
Points : 3092
Location:
jand,Attock, Pakistan
Status : Offline |
1. PEHLI EBADAT SALAT YANI NAMAZ HAY JIS KAY MA’ANI ARABI ZUBAN MAIN DUA AUR TASBEEH O TAMHEED KAY HAIN NAMAZ DIN RAAT KAY CHOBEES GHANTOUN MAIN PANCH NAMAZOUN KI SOORAT MAIN FARAZ KI GAE HAY AUR JISMANI TAHARAT YANI MASNOON WAZOO KAY BAAD MUKARAR TAREEK PAR ADA KI JATAI HAY IN PANCH NAMAZOUN MAIN SE AIK SUBHU KI NAMAZ HAY JO SUBHU SADAK KAY BAAD AUR SURAJ NIKALNAY SE PEHLY PARHI JATI HAY DOSRAY ZOHAR KI NAMAZ HAY JO SURAJ KAY DAHLNAY YANI DOPEHR KAY BAAD PARHI JATI HAY TESRAY ASAAR KI NAMAZ HAY JO SURAJ KAY KAFI NECHAY HO JANAY KAY WAKAT PARHI JATI HAY CHOTHAY MAGHRAB KINAMAZ HAY JO SURAJ KAY GHAROOB HONAY KAY BAAD PARHI JATI HAY AUR PANCHVEN ISHAA KI NAMAZ HAY JO SHAFAK KAY GHA’EB HONAY KAY BAAD PARHI JATI HAY IS TARHA NA SIRAF DIN KAY MUKHTALAF OKAAT KO BALKAY RAAT KAY HAR DO KINAROUN KO BI KHUDA KAY ZIKAR AUR KHUDA KI EBAADAT AUR KHUDA SE APNI DUAOUN KI TALAB MAIN KHARACH KIA JATA HAY NAMAZ KI GHARAZ O GHAYAT KHUDA TA’ALA SE ZATI TA’ALUK PAYDA KARNA AUR IS KI YAD KO APNAY DIL MAIN TAZA RAKHNA AUR IS KAY ZARIAY APNAY NAFAS KO FUHASH AUR MANKRAT SE PAAK KRNA AUR KHUDA SE APNI HAJATAIN TALAB KARNA AUR ANHADHRAT PBUH KAY AIK ARSHAD KAY MUTABIK KAMAL NAMAZ WO HAY JIS MIAN NAMAZ PARHNAY WALA IS WAJDAN SE MA’AMOUR HO KAY MAIN KHUDA KO DAIKH RAHA HON YA KAM AZ KAM YEH KAY KHUDA MUJHAY DAIKH RAHA HY NAMAZ KAY OKAAT MAIN INSANI ZINDAGI KAY MUKHTALAF HISOUN KO TARAF LATEEF ASHARA RAKHA GAYA HAY NAMAZ KAY OOKAT MAIN INSANI ZINDAGI KAY MUKHTALAF HISOUN KI TARAF AA RAHI HOTI HAY NAMAZOUN KAY DARMIYANI WAKFA KO KAM KAR DIA GAYA HAY TAAK IS BAT KI TARAF ASHARA KIA JAAY K ALAAM E AKHRAT KI TAYARI UMAR KI ZAYADADTI KAY SATH TAIZ SE TAIZ TAR HOTI CHALI JANI CHAHEA NAMAZ KI EBADAT HAKEKATAN RUHANIYAT KI JAN HAY AUR ISI LIA ISAY MOMAN KA MAARAJ KARAR DAYA GAYA HAY AUR NAMAZ KAY SATH ANHADHRAT PBUH KAY ZATI SHUGHAF AUR ZATI SARWAR KA YEH ALAM THA KAY AP PBUH AKSAR FARMAYA KARTAY THAY YANI NAMAZ MAIN MERI ANKHOUN KI THANDHAK HAY
no likes.
|