Forums > Poetry / Ghazal Corner > Muhabaat
bawa125


Age: 33 Male
4242 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Subject : Muhabaat (closed)
Muhabbat harf-e-awwal hai

Muhabbat harf-e-aakhir hai

ye hai ik aisa jazba jo

zahoor apney mai maahir hai

zamanay mai udaasi bhi

muhabbat baant sakti hai

kisi k dil se nafrat ko

muhabbat chhaant saktii hai

muhabbat ba-wafa bhi hai

muhabbat dil’rubaa bhi hai

muhabbat kernay walon ko

muhabbat sey gilaa bhi hai

muhabbat mai jo hotey hain

gillay, wo sab muhababt hai

lagan , chahat , wafa’daari

ye saray dhab muhababt hain

muhabbat aaan jaisi hai

muhabbat maaan jaisi hai

muhabbat phool jaisi hai

muhabbat jaan jaisi hai

muhabbat jaan leti hai

muhabbat jaan deti hai

muhabbat sarfroshi ko

hamesha maan leti hai

muhabbat aik tabassum hai

jo pholon main bhi khilta hai

kabhi titlii k pankhon mai

kabhi mamtaa mai milta hai

muhabbat saans leti hai

muhabbat dekh saktii hai

muhabbat saath chalti hai

muhabbat rahh badalti hai

kisi ki shaadmaani ko

muhabbat soch saktii hai

ye saari zindagaani k

ghamon ko nooch saktii hai

muhabbat ik nageena hai

yea jeenay ka qreena hai

kabhi jo doob na paye

muhabbat wo safeena hai

jahaan k sab mazaahib main

muhababt ka taqaddas hai

yehi insaan k jazboon main

ataa’a sab se muqaddas hai

muhababt ka yea jazba ab

baraa pamaal hota hai

yea jis k dil mai bas jayee

bohat behaal hota hai

muhabbat kal b hotii thi

muhabbat aaj bhi hotii hai

magar apney muqaddar per

muhababt aaj bhi rotii hai




no likes.

Posted on October, 11 2012 12:23:38 PM


salubhai169


Age: 30 Male
4243 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Tum jis baat pe hanste ho main ro parta hoon,
Main jis baat pe rota hoon tum hanss dete ho,
Main jis baat pe bujh jaaon tum khil jate ho,
Main jis baat pe marta hoon tum jee uthte ho,
Main jiss baat pe dard mein dooba rehta hoon,
Tum us baat pe roshan roshan lagte ho,
Soch raha hon kitne zyada alag alag hain,
Teri meri soch ke dhaarey,
Kitne zeyada judaa judaa hain,
Soch raha hoon,
Itne mukhaalif tufaanon ko sahain ge kese,
Tum aur mein ik chat ke neechey rahain ge kese..

no likes.

Posted on October, 20 2012 09:59:45 AM

bawa125


Age: 33 Male
4242 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar ‘eitabaar hota

" Mirza Galib"

no likes.

Posted on October, 20 2012 10:19:05 AM

saim14399


Age: 31 Male
4464 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Khamosh bethay hain to log kehtay
hain udaasi acchi nahi..Mohsin…
Zara sa hans lein to log muskurane ki
wajah pooch lety hain……..

no likes.

Posted on October, 20 2012 10:36:31 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4810 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Zamanay ki nazron se hain dilon k raaz Posheeda
Khuloos-e-dil se KHUDA janay Mohabbat kOn karta hai

no likes.

Posted on October, 20 2012 08:49:55 PM

saim14399


Age: 31 Male
4464 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Aj to bay-sabab udaas hai Ji
Ishq hota to koi baat bhi thi..

no likes.

Posted on October, 21 2012 12:29:02 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4810 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
mein tu qayim hun teri mohabbat ki badolat warna
youn bikhr jaoon k hath na aoon apne

no likes.

Posted on October, 21 2012 07:09:45 AM

sahilgee169


Age: 30 Male
4212 days old here
Total Posts: 478
Points : 91

Location:
hasilpur, Pakistan

Status : Offline
Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon Mein Mujhe
Zindagi Ghairnay Waali Hai Azaabon Mein Mujhe
Ek Tasveer Thi Aur Wo Bhi Kaheen Guum Kar Di
Umer Bhar Dhoondna Ab Apni Kitaabon Mein Mujhe
Jab Se Utra Hai Tere Dard Ka Nasha Mujh Mein
Lutf Aata Nahi Duniya Ki Sharaabon Mein Mujhe
Wo Mujhe Chhorr Gaya Tha Kisi Rangeeni Mein
Wo Jo Ab Dhoondta Rehta Hai Kharaabon Mein Mujhe
Tum Ne Ek Umer Kia Hai Nazar Andaaz “Wasi”
Aur Ab Dhoondtay Phirtay Ho Saraabon Mein Mujhe
Zaroob-o-Taqseem “Wasi” Ishq Mein Laa Haasil Hai
Jaanay Kiun Khojtay Rehtay Ho Hisaabon Mein Mujhe ?

no likes.

Posted on October, 21 2012 10:28:45 AM

salubhai169


Age: 30 Male
4243 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana,
Mere jugnu mere mausam wapis kar do,
Meri hasrat, meri mehroomiyan lauta do mujhe,
Mere aansu, mere maatam mujhe wapis kar do,
Jane waley se bas itna hi kaha tha mene,
Kuch na lotao mere gham mujhe wapis kar do,
Kyon yeh takraar si hone lagi “Main” ki jana’n,
Woh to hum tum mein tha, ik “Hum” mujhe wapis kar do,
Jitni khushiyan hain woh rakh lo meri janib se Wasi,
Meri aankhon mein chupey namm mujhe wapis kar do

no likes.

Posted on October, 21 2012 11:17:21 AM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4810 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
nikle hum duniya ki bher me to pata chala
k har wo shaks akela hai jis ne MUHABBAT ki hai…

no likes.

Posted on October, 21 2012 03:21:04 PM

BeHappy


Age: 29 Male
4410 days old here
Total Posts: 3249
Points : 89

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Wah wah yahan tu sare majnon jama hain.

no likes.

Posted on October, 21 2012 03:38:10 PM

adnansafdar


Age: 29 Male
4215 days old here
Total Posts: 186
Points : 146

Location:
SARGODHA, Pakistan

Status : Offline
cool nd nice poetry

no likes.

Posted on October, 21 2012 03:41:22 PM

salubhai169


Age: 30 Male
4243 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770

Location:
Daharanwala, Pakistan

Status : Offline
Tmharay na hony se kuch be nhi badlaye
suraj be waha se nikalta hai. Asman pe
tary b chamakty hai, or Chand ki chandani
b hoti hai Hawa be chalti hai Daryta be
bahty hai Phool b khilty ha in me khushbuu
hoti hai…
Lakin na jany kyo tumhary na honye se har
chez adhori

no likes.

Posted on October, 21 2012 03:42:12 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4810 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Tm lOat ke aane ka taqalluf nhi karna,
Hum aik mOhabbt kO dObara nhi karte

no likes.

Posted on October, 21 2012 11:32:33 PM

tahir773


Age: 28 Male
4227 days old here
Total Posts: 39
Points : 18

Location:
sargodha, Pakistan

Status : Offline
Nice poetry rashid shb bilkul shi bat hy mohabat milti hi unko hy jin ko qadar hi nai hoti qadar us wkt hoti hy jb mohabat chen jae...

no likes.

Posted on October, 21 2012 11:37:20 PM

saim14399


Age: 31 Male
4464 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Her Aaib Sahi Mujh Main Magar Aaj Bhi
Mujh Ko
Apnon Se Khafa Honey Ka Andaaz
Nahi Aya…

no likes.

Posted on October, 22 2012 12:09:54 AM

bawa125


Age: 33 Male
4242 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Hum Say Bhulaya Nhen Jata Aik Mukhlis ka Pyaar'Dosto'

Loug Jigar Walay Hain Jo Raoz Naya Mehbob Bna Letay Hain'

no likes.

Posted on October, 22 2012 10:52:00 AM

juntalman


Age: 34 Male
4494 days old here
Total Posts: 1607
Points : 97

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
bicharrnay walay ye kyon nahi samajhtay faraz.
k yaadon say mohabbat ka guzaara nahi hota…

no likes.

Posted on October, 22 2012 02:26:12 PM

rashidfarooqz


Age: 52 Male
4810 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Hum Se Muhabbaton Ki Numaish Na Ho Saki ,
Haan Itna JAnte Hain, Tumhain CHahate HAin Hum

no likes.

Posted on October, 22 2012 07:29:59 PM

sahilgee169


Age: 30 Male
4212 days old here
Total Posts: 478
Points : 91

Location:
hasilpur, Pakistan

Status : Offline
“Beautiful Advices”
“Mazaaq Zaroor Karo Magar Etna
Yad Rakho k
Mazaaq Kaene or Mazaaq Urane mein
Farq Hota Hai.”
“Roothne Wale ko itna nai Rothna Chahiye
k Manane Wala Khud Hi Rooth jaye.”
“Logon ko jaldi maaf kar dil kro jatni jaldi
tum Allah se maafi ki Umeed rakhty ho.”
“Kisi ki khamoshi ko Takabbur na Samjho Ho
Sakta Hai k wo Khud Apni Zaat Se jang Karne
mai Masroof Ho.”
Dushmano k darmiyan aesey raho jesey 1 Zubaan
32 daanton k darmiyan rehti he.Milti Sab se he
darti kisi se nahi.

no likes.

Posted on October, 23 2012 08:45:24 AM

bawa125


Age: 33 Male
4242 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Kiya Ajeeb Ehtisab apna tha
Jaan apni azab apna tha

Kuch mile log be zamana saaz
Kuch Muqader kharab apna tha

no likes.

Posted on October, 23 2012 11:07:33 AM