Forums > Poetry / Ghazal Corner > Love With Ajnabi
ABBPS


Age: 38 Male
4288 days old here
Total Posts: 9
Points : 9

Location:
KANDHKOT, Pakistan

Status : Offline
Subject : Love With Ajnabi
Kashti Na Rahi Sahil Na Raha Sahil Ki Tamana Bhi Na Rahi
Ay Puchhne Wale Zahir Hai Anjam Hamara Kiya Hoga


no likes.

Posted on July, 30 2012 07:07:16 PM


sahilgee169


Age: 30 Male
4206 days old here
Total Posts: 478
Points : 91

Location:
hasilpur, Pakistan

Status : Offline
Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,

Sitam karna hai karo par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo....

no likes.

Posted on November, 12 2012 12:59:26 PM

Rohama


Age: 30 Female
4252 days old here
Total Posts: 9029
Points : 340

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Uthaa kar choom li hain chand murjhayi huyi kaliyan,
Na tum aaye to yu’n jashn-e-baharan kar liya mein ne..


no likes.

Posted on November, 12 2012 05:49:21 PM

brightsky2020


Age: 33 Male
4578 days old here
Total Posts: 1164
Points : 352

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Teri nazar ka rang bahanon ne le liya,
Afsurdgi ka roop taraano’n ne le liya,
Jin ko bhari bahaar mein ghunchay na keh sake,
Woh waaqeyaa bhi mere fasaanon ne liya,
Shayed milay ga qaryaa mehtaab mein sakoon,
Ehl-e-fard ko aese gumaano’n ne le liya,
Yazwaa’n se bacha raha tha jalalat ka ek lafz,
Us ko haram ke shokh beyaano’n ne le liya,
Teri adaa se ho na saka jis ka faisla,
Woh zindagi ka raaz fashaano’n ne le liya,
Afsaana hayaat ki takmeel ho gayi,
Apno’n ne le liya ke begaano’n ne liya,
Bholi nahin woh qos-e-qazaah ki si surtain,
Saghir tumhain to mast dheyaano’n ne le liya..

no likes.

Posted on November, 12 2012 09:03:45 PM

bawa125


Age: 33 Male
4236 days old here
Total Posts: 1798
Points : 168

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Baat Karti Ho Tou..
Sagar Se Khanak Jate Hain..
Lehr Ka Geet Ho..

no likes.

Posted on November, 13 2012 11:25:26 AM

riabest


Age: 32 Female
4239 days old here
Total Posts: 1447
Points : 99

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
yeh sach hai tujhe jhoot ki aadat bhi bohat thi,
Iss dil main magar teri mohabbat bhi bohat thi,
Manzil se zara pehle hi woh chorr geya tha,
Kam hausla rahi tha, musafat bhi bohat thi,
Kuch umar bhi aesi thi ke hum jhail na paye,
Kuch dard anokha tha to shiddat bhi bohat thi,
Do chaar gharri dil main woh mehmaan raha tha,
Lamhon ki sahi, mujh ko yeh mohlat bhi bohat thi,
Us ko bhi bicharrne ka bohat ranjj hua hai,
Mere liye us ki yeh wazaahat bhi bohat thi.

no likes.

Posted on November, 13 2012 12:02:53 PM

aarzoo


Age: 31 Female
4239 days old here
Total Posts: 1164
Points : 16

Location:
sialkot, Pakistan

Status : Offline
bichar Kay Bhi Mujhe Tum Sa Ya Badgumaani Hai
Ka Meri Yaad Bhi Kabhi Tujhe To Aani Hai
Na Pooch Haal Kisi Bhi Udaas Chahray Ka
Har Aik Shakhs Ki Apni Kahani Hai
Har Aik Shahkhs Ko Apna Bana K Dekh Lia
Milain Gay Ab Na Kisi Sa Ya Dil Ma Thaani Hai
Shajar Udaas Hain Chirioon K Chah-chahay Gum Sum
Kah Teray Baad Ya Tanhaa Si Zindagaani Hai
Na Dosti Hai Sehar Sa Na Dushmani Shab Sa
Youn Hi Ya Zindagi Ab To Husan Nibhaani Hai.

no likes.

Posted on November, 13 2012 06:23:34 PM

Lioness


Age: 31 Female
4220 days old here
Total Posts: 607
Points : 142

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
Main kiya kahon kay Sharam say kaisy jhuka kay Sar...!
Pocha unho nay Hasrat-e-Bimaar ka Mizaaj !!!

no likes.

Posted on November, 14 2012 10:22:57 AM

Tayyab96


Age: 28 Male
4412 days old here
Total Posts: 3434
Points : 149

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
us ko judaa hue bhii zamaanaa bahut huaa
ab kyaa kahe.n ye qissaa puraanaa bahut huaa

Dhalatii na thii kisii bhii jatan se shab-e-firaaq
ai marg-e-naagahaa.N teraa aanaa bahut huaa

ham Khuld se nikal to gaye hai.n par ai Khudaa
itane se vaaqaye kaa fasaanaa bahut huaa

ab ham hai.n aur saare zamaane kii dushmaanii
us se zaraa rabt ba.Dhaanaa bahut huaa

ab kyo.n na zindagii pe muhabbat ko vaar de.n
is aashiqii me.n jaan se jaanaa bahut huaa

ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
maanaa ki us se milanaa milaanaa bahut huaa

kyaa kyaa na ham Kharaab hue hai.n magar ye dil
ai yaad-e-yaar teraa Thikaanaa bahut huaa

kahataa thaa naaseho.n se mere muu.Nh na aa_iio
phir kyaa thaa ek huu kaa bahaanaa bahut huaa

lo phir tere labo.n pe usii bevafaa kaa zikr
ahmad 'Faraz' tujh se kahaa naa bahut huaa


no likes.

Posted on November, 15 2012 01:28:05 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 36 Male
4256 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Khudkushi Jab Haraam Hai Tou Phir
Kis Lye Loog “ISHQ” Kartay Hain

no likes.

Posted on February, 05 2013 03:37:04 PM