Forums > Masti Box! > "Ghazal"
PAF


Age: 33 Male
4849 days old here
Total Posts: 422
Points : 91

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Subject : "Ghazal"

Kabhi Gham Ki Aag Me Jal Uthe,
.
.
Kabhi Dagh-e-Dil ne Jala Dia,
.
.
Ay Junoon-E-Ishq Bata Zara,
.
.
Muje Q Tamasha Bana Dia,
.
.
Gham-E-Ishq Kitna Ajeeb Hai,
.
.
Ye Junoon Se Kitna Qareeb Hai,
.
.
Kabhi Ashk Palkon Pe Ruk Gaye,
.
.
Kabhi Poora Darya Baha Dia,
.
.
Abi Kar Raha Hai Wo Ibteda,
.
.
Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba,
.
.
Usay Zindagi Ki Hai Arzu,
.
.
Muje Zindagi Ne Mita Dia ,,,,
%:Udasiaan:%


no likes.

Posted on March, 02 2011 01:10:03 PM


ashfaq786


Age: 44 Male
4855 days old here
Total Posts: 1215
Points : 51

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Kahan dil chor aye ho
Bohat chup chup se rehte ho
Na bante ho na sanwarte ho
Na koie baat karte ho
Bhari mehfil main b aksar
...Hamesha khoye rehte ho
Udasi ankhon main le k
Har aik chere ko takte ho
Koie jab yad aata hai
To thandi aah bharte ho
To khul kar kiyon nahi kehte
Kisi se pyar karte ho.

no likes.

Posted on March, 04 2011 09:30:36 PM

ashfaq786


Age: 44 Male
4855 days old here
Total Posts: 1215
Points : 51

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
parh parh kitaaban ilm diyan tu naam rikh lya qaazi
Hath vich phar k talvar tu naam rakh liya Ghazi
Kakkay Madinay Gh'hum aaya tay tu naam rakh liya haji
...Buleey shah hasil ki kita?????
Jay tu yaar na rakhya raazi..

no likes.

Posted on March, 04 2011 09:40:13 PM

ashfaq786


Age: 44 Male
4855 days old here
Total Posts: 1215
Points : 51

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
baray shatan hotay ja rahay hain
wo dil ke jan hotay ja rahay hain

sub zamany k sitam mil mil kar
muj pay qurban hotay ja rahay hain
...
pyar khush fehmyon ke manzil hay
safar asan hotay ja rahay hain

us nay gaon main jab sy hijrat ki
shehar viran hotay ja rahay hain

isi kochay k chand log anjum
mari pehchan hotay ja rahay hain

no likes.

Posted on March, 04 2011 09:58:46 PM

farazskh


Age: 35 Male
4848 days old here
Total Posts: 355
Points : 115

Location:
hyderabad, Pakistan

Status : Offline
WAH WAH SAIN


no likes.

Posted on March, 04 2011 10:04:03 PM

ashfaq786


Age: 44 Male
4855 days old here
Total Posts: 1215
Points : 51

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
thanks

no likes.

Posted on March, 04 2011 10:07:59 PM

prince3


Age: 32 Male
4851 days old here
Total Posts: 1841
Points : 255

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Chalo MOHSIN mohabat m ek nai buniyad rakhtay hn..
kudh paband rehtay hn usay azad rakhtay hn..

hamaray khoon m Rab ny yeh taseer rakhi hy..
buri bhool jatay hn achi yaad rakhtay hn..
...
Mohabat m kahen hm sy gushtahi na ho jaye..
hm apna hr qadam usky qadam k baad rakhtay hn..

no likes.

Posted on March, 04 2011 10:48:52 PM

prince3


Age: 32 Male
4851 days old here
Total Posts: 1841
Points : 255

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
?? ????? ???? ?? ?? ???? ??? ?? ?? ?????? ??? ?? ??? ????????
??? ????? ?? ?????? ???? ?????? ???? ?????? ????? ??? ??? ?? ?????? ?? ??? ??? ???? ?? ??? ??? ??? ?? ???? ?? ??? ??? ???? ??? ??? ???? ????? ?????? ??? ???? ?????? ?? ????? ??? ?...?? ???? ???

??? ?????? ?? ?????? ?? ?? ???? ???? ?? ???? ?? ????? ?? ????? ????? ???? ???? ??? ?? ??? ???? ????

"???? ???? ?? ??? ????? ?? ?? ???? ???? ??? ???? ?? ????????"

??? ???? ???? ???? ???? ?? ???? ??? ??? ??? ???? ??????? ?? ??? ?????

no likes.

Posted on March, 04 2011 10:57:37 PM

dost007


Age: 37 Male
4852 days old here
Total Posts: 206
Points : 183

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
buhat zabardast ghazals hai tfs

no likes.

Posted on March, 04 2011 11:10:59 PM

prince3


Age: 32 Male
4851 days old here
Total Posts: 1841
Points : 255

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Jab Yad Ka
Angn Kholon To
Kuch Dost Bht Yad Aty Hen

Me Guzry Dino
Ko Sochon To
Kuch Dost Boht Yad Aty Hen

Me Raat Gye Tak Jagon To,
Kuch Dost Bht Yad Aty Hen

Kuch Baten Theen Pholon Jesi,
Kuch Khushbo Jesy Lehjy Thy

Me
Shehr-E-Chaman Me Tehlon To
Kuch Dost Bht Yad Aty Hy

Wo Pal Bhar Ki Narazgian Or
Maan B Jana Pal Bhar Me

Me Khud Sy Jb B Rothun To

Kuch Dost Boht Yad Aty Hain:-)


no likes.

Posted on March, 04 2011 11:12:41 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4866 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
~*A Chara Gar-e-Shoaq Koi Aisi Dawa Day*~
~~*Jo Dil Say Har Ik Ghair Ki Chahat ko Bhula Day*~

~*Bus Dekh Lia Dunya K Rishtoon Ka Tamasha*~
~*Makhlooq Say Umeed K Sub Deep Bujha Day*~
......
~*Pakeeza Tamanaein Bi Lati Hein Udasi~*
~*Har Zok-e-Talab Shoaq-e-tamana Hi Mita Day*~

no likes.

Posted on March, 05 2011 12:50:09 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4866 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Muhabbatain rahein dilOon k daRmiyaan na Khuwahishain
Na hiJr k dinOon ki kOi lehar paas Rehay gai
Na jUstaJou Na Aarzoo
Na Kou ba Kou Kisi waPsi ki Aas rehay gai
...Samay !!
Teray sitUm kahain Ya apni BaywafiYaan
Khuch iss Tarah k Beej bOu gaein Moheib Zulmatain
Kali kali shajaR Shajar Sahaab kou taras gaye
Zamana SaziYoon main Pyar ki Aadain Gum hou gaein
Rutain Bahar kou , Chamun Gulaab kou taRus gaYe
Woh Qehat haY k Khuwab tUk siRaab kou Tarus gaYe
Kisi taraf laGain tOu Khuch saKoon hOu dil k shaihir main
Suwaab tOu aalaG rahay Aazaab Kou taRus gaye

no likes.

Posted on March, 05 2011 12:58:07 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4866 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Ik Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarah Hum Ne
Ik Shakhs Ko Rakha Tha Taron Ki Tarah Hum Ne
Wo Shakhs Qayamat Tha Kaya Baat Karu Us Ki
...Ik Shakhs Ko Mana Tha Khushboo Ki Tarah Hum Ne
Din Us Ke Liye Payda The Thee Us K Liye Ratein
Kab Milta Tha Wo Kisi Se Wo Bus Hum se Hi Theen Mulakatein
Ik Din Wo Shakhs Hum Ko Apno Ki Tarah Bhoola
Phoolon Ki Tarah Bikhra. Taron Ki Tarah Toota
Phir Tum Kiyun Yun Chonkey Ho?
Kab Zikr Tumhara Hai?
Kab Tum Se Khawahish Hai?
Kab Tum Se Umeedein Hai?
Kab Tum Se Tamanna Hai?
Kab Tum Se Taqaza Hai?
Ik Taaza Haqayat Hai Sun Lo To Inayat Hai
Ik Shakhs Ko Chaha Tha
Ik Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarah Hum Ne
Ik Shakhs Ko Rakha Tha Taron Ki Tarah Hum Ne


no likes.

Posted on March, 05 2011 01:02:23 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4866 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi
mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka

rasta badal k chalne ki adat use bhi thi
...us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu

masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi
sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan

taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi
mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs

halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi
wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya

warna har ek sans qayamat use bhi thi

no likes.

Posted on March, 05 2011 01:16:17 PM

ashfaq786


Age: 44 Male
4855 days old here
Total Posts: 1215
Points : 51

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
har bezaban ko sholanawa kah liya karo
yaro sukut hi ko sada kah liya karo

khud ko fareb do k na ho talkh zindagi
har sangdil ko jane-e-wafa kah liya karo
...
gar chahte ho khush rahen kuch bandagan-e-khas
jitne sanam hain un ko khuda kah liya karo

insan ka agar qad-o-qamat na barh sake
tum is ko nuqs-e-ab-o-hawa kah liya karo

apne liye ab ek hi rah-e-nijat hai
har zulm ko raza-e-khuda kah liya karo

le de k ab yahi hai nishan-e-ziya "Qateel"
jab dil jale to us ko diya kah liya karo

no likes.

Posted on March, 05 2011 05:00:15 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4866 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
utho meri dunya k garibon ko jaga do
khak-e-umra k dar-o-diwar hila do

garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do
...
sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do

jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do

kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do

main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do

tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do

no likes.

Posted on March, 05 2011 05:02:42 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4866 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
NIGAHOON SEY NIGAHOON KA SAFAR ACHA LAGA MUJH KO,
MUSAFAT PAL BHAR KI THI SHA'ED ZAKHAM GEHRA LAGA MUJH KO,
TERI GARDAN PEY KALA TILL JO MERA LEY GYA HAI DIL,
TEREY RUKHASAR PEY ZOLFOON KA GIRNA BOHT ACHA LAGA MUJH KO,
GARIFTAA'N AAJ B HAI HUMDUM YE DIL TERI "MUHABBT MAIN,
...NHIN JAZBAT PER QABO BOHT ACHA LAGA MUJH KO,
MAIN QAA'EL THA BOHT JANA TERI DARD-E-MUHABBT KA,
TERA BE TARZ THHUKRANA BOHT ACHA LAGA MUJH KO,

K WASL-E-YAAR KI KHATIR MERA DIN MAIN YE KHO JANA'UMAR"
HIJAR KI SHUB TERA KHYAL ANA BOHT ACHA LAGA MUJH KO,


no likes.

Posted on March, 05 2011 05:26:46 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4866 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Kuch Pyar Ki Baatein Tum Karo,
Kuch Pyar Nibhana Hum Sikhayen.
...
.Kuch Nazar Ka Ishara Tum Karo,
Kuch Aankh Milana Hum Sikhayen..

Kuch Jan KI Baazi Tum Lagao,
Kuch Jan Sey Jana Hum Sikhayen..

Kuch Thora sa Hans K Tum Dakho,
Kuch Muskurana Hum Sikhayen..

Kuch Milney Ki Aas Tum Do,
Kuch Waqt Pey Aana Hum Sikhayen..

Dil Per Tum Bus Hath Rakh Do,
Kuch Dil Dharkana Hum Sikhayen..


no likes.

Posted on March, 05 2011 05:41:23 PM

prince3


Age: 32 Male
4851 days old here
Total Posts: 1841
Points : 255

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Kehte hain tujh jo log mseeha mgr yahan

ik shakhs mr gia ha tujhe daikhne k baad

her waqt khoi khoi c rehti ha ab HINA
...
ye hal ho gia ha tujhe daikhne k baad

no likes.

Posted on March, 05 2011 08:01:32 PM

prince3


Age: 32 Male
4851 days old here
Total Posts: 1841
Points : 255

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
sunay thay ham ne logon se...
muhabbat k kai qisse...
kai hikayatain, kai fasanay...
koi jana muhabbat ko
adhoray khuwab ki manind...
...tou kisi ne is jazbe ko..
haseen lamhon se pehchana....
bas bohat se naamon se...
muhabbat ko mansoob kar dala...
muhabbat k haqeeqi mainon ko..
ham b janchnay niklay...
nigahon ki talashi ne...
mehaz aik hi hasti ko...
muhabbat k laiq jana...
tou sachay jazbon ko Dil k...
"MAA" se munsalik kar dala...
usi se Dil laga kar ye...
haqeeqat jaan paye hain...
muhabbat k sabhi waaday,
sabhi daway...
usi pe saadiq aye hain...
talab ho Dil ki rahat ki....
tou paa lo us k daman se...
jo jannat ka pata chaho...
tou paa lo us k qadmon se...
bas Mukamal dou he lafzon say,
Meri ab zindagi Mani,
Ik lafz e muhabat hai,
jor diya jo main ne "MAA" se...
Khuda ka saad shukar hai...
jo takmeel muhabbat ko...
aik hasti ye ata kar di.........
"MAA"


no likes.

Posted on March, 05 2011 08:50:41 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
4866 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Pas hotay to koe shararat kartay
Tujhay lay kar bahon main muhabbat kartay
Daikhtay teri aankhon main neend ka khumar
Apni khoe hoe neendon ki shikayat kartay
Teri aankhon main apna aks dhondtay……
Khud say bhi zayada ter chahat kartay
Jis ki hakumat thi us kay ghulam thay
Qabeelay main dost kis se beghawat kartay
Ek dil hi tha wo be us kay pass tha
Raat bhar jag kar kis ki hifazat kartay
Mairay mezhab main shirak haram hai warna
Ham din raat teri abadat kartay

no likes.

Posted on March, 06 2011 03:28:11 PM