Subject : GOLDEN WORDS.... Awesome Golden Sayings Jab tum kisi ko dost banao to apne dil mein aik qabristan bana lo jahan tum uski buraiiyan aur raaz dafna sako Prophet Muhammad PBUH ---
Acha dost kitni dafa hi kyun na ruth jaye ussey mana lena chahiyeh kyun ke tasbeeh ke daney kitni dafa hi kyun na bikher jayein chun liye jatey hein Hazrat Ali (AS) --- Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhnein lagein to dil anjaam say andha ho jata hai Hazrat Ali (AS)--- Ikhtiyar, taqat aur daulat milne par log badaltey nahin balkey be-naqaab ho jatey hein Hazrat Ali (AS)--- Din ki roshni mein rizq talash karo aur Raat ki tareeqi mein usse talash karo jo tumhein rizq deta hai Hazrat Ali (AS)--- Kisi ko tum chaho aur woh tumhein thukra day, Yeh uski badnaseebi hai. Koi tumhein na chahey aur tum usse zaberdasti apna banana chaho, ye tumhare nafs ki zillat hai Hazrat Ali (AS)--- Insaan dukh nahin deta, insaanoun say wabasta umeedein dukh deti hein Hazrat Ali (AS)--- Agar kisi ka banna chahtey ho to poori haqeeqat say ban jao warna apni zaat mein aisi haqeeqat paida kar lo ke koi haqeeqat mein tumhara ban jaye Hazrat Ali (AS)--- Sadqa (charity) jab apne malik ke hath se nikalta hai to Uss waqt 5 jumley kehta hai 1. Main faani maal tha tu nay mujhe baqa di 2. Main tera dushman tha ab tu nay mujhe apna dost bana liya 3. Aaj say pehlay tu meri hifazat karta tha ab mein teri hifazat karoun ga 4. Main haqeer tha tu nay mujhe azeem bana diya 5. Pehlay mein tere hath mein tha ab mein khuda ke haath mein hun Prophet Muhammad PBUH--- Logoun ki zarooraton ka tum say wabasta hona tum par Allah ki inayat hai Hazrat Imam Hussain (AS)--- Jab gunahon ke bawajood Rab-ul-Izzat ki naimatein musalsal tumhein milti rahein to hoshiyar ho jana ke tumhara hisaab qareeb aur sakht tareen hai Hazrat Ali (AS)--- Mujhe jannat say zyada masjid mein bethna acha lagta hai kyun ke jannat mein mera nafs khush hoga, jab ke masjid mein mera rabb khush hoga Hazrat Ali (AS)--- Momin woh nahin jis ki mehfil paak ho, Momin woh hai jis ki tanhaii paak ho Hazrat Ali (AS)--- Barish ka qatra seep aur saanp dono ke munh mein girta hai.. seep ussey moti bana deta hai, saanp ussey zehr bana deta hai.. jiska jaisa zarf waisi uski takhleeq Hazrat Ali (AS)--- One thing that is better not expressed even if it is true, is a man's praise for himself Hazrat Ali (AS)--- 3 kaam kisi ke dil mein aapki izzat barhatey hein 1. Salaam karna 2. Kisi ko jagah dena 3. Asal naam se pukarna Hazrat Ali (AS)--- Koshish karo ke tum dunya mein raho dunya tum mein na rahey kyun ke kashti jab tak paani mein rehti hai khoob terti hai lekin jab paani kashti mein ajaye to woh doob jati hai Hazrat Ali (AS)--- Apni zubaan ki taizi uss maa par mat aazmao jis ne tumhein bolna sikhaya Hazrat Ali (AS)--- Mere Allah, meri izzat ke liye yehi kafi hai ke mein tera banda hun aur mere fakhar ke liye yehi kafi hai ke tu mera parwardigar hai.. tu waisa he hai jaisa mein chahta hun.. bas tu mujh ko waisa bana day jaisa tu chahta hai Hazrat Ali (AS)--- 5 cheezon ki 5 jaga par hifazat karo 1... mehfil mein zubaan ki 2. bazaar mein aankh ki 3. namaz mein dil ki 4. dastarkhwan mein pait ki 5. nigah mein haya ki Hazrat Ali (AS)--- 3 cheezein insaan ko Allah se door karti hein
1. apne aamaal ko zyada samajhna 2. apne gunhaoun ko bhool jana 3. apne aapko sab se behtar samajhna Hazrat Ali (AS) --- 6 cheezein amal ko zaya karti hein 1. logon ke aaib talash karna 2. Dil ki sakhti 3. Dunya ki mohabbat 4. Haya ki kammi 5. Lambi umeed. 6.. Zulm Hazrat ALi (AS)--- A friend cannot be considered a friend unless he is tested on three occasions 1. At the time of need 2. Behind your back 3. After your death Hazrat ALi (AS)--- Agar kisi ka zarf aazmana ho to zyada izzat do.. woh aala zarf hua to aapko aur zyada izzat dega aur kam zarf hua to khud ko aala samjhe ga Hazrat ALi (AS)--- _________________
no likes.
|