Forums > General Talks > GOLDEN WORDS....
ZaiN007


Age: 30 Male
5025 days old here
Total Posts: 5043
Points : 51

Location:
sahiwal, Pakistan

Status : Offline
Subject : GOLDEN WORDS....
Awesome Golden Sayings


Jab tum kisi ko dost banao to apne dil mein
aik qabristan bana lo jahan tum uski buraiiyan
aur raaz dafna sako
Prophet Muhammad PBUH ---

Acha dost kitni dafa hi kyun na ruth jaye
ussey mana lena chahiyeh kyun ke
tasbeeh ke daney kitni dafa hi kyun na bikher jayein
chun liye jatey hein
Hazrat Ali (AS) ---

Jab aankhein nafs ki pasandeeda cheezein dekhnein lagein
to dil anjaam say andha ho jata hai
Hazrat Ali (AS)---

Ikhtiyar, taqat aur daulat milne par log badaltey nahin
balkey be-naqaab ho jatey hein
Hazrat Ali (AS)---

Din ki roshni mein rizq talash karo aur
Raat ki tareeqi mein usse talash karo
jo tumhein rizq deta hai
Hazrat Ali (AS)---

Kisi ko tum chaho aur woh tumhein thukra day,
Yeh uski badnaseebi hai. Koi tumhein na chahey
aur tum usse zaberdasti apna banana chaho,
ye tumhare nafs ki zillat hai
Hazrat Ali (AS)---

Insaan dukh nahin deta, insaanoun say
wabasta umeedein dukh deti hein
Hazrat Ali (AS)---

Agar kisi ka banna chahtey ho to poori haqeeqat say ban jao
warna apni zaat mein aisi haqeeqat paida kar lo ke
koi haqeeqat mein tumhara ban jaye
Hazrat Ali (AS)---

Sadqa (charity) jab apne malik ke hath se nikalta hai to
Uss waqt 5 jumley kehta hai

1. Main faani maal tha tu nay mujhe baqa di
2. Main tera dushman tha ab tu nay mujhe apna dost bana liya
3. Aaj say pehlay tu meri hifazat karta tha
ab mein teri hifazat karoun ga
4. Main haqeer tha tu nay mujhe azeem bana diya
5. Pehlay mein tere hath mein tha ab mein khuda ke haath mein hun
Prophet Muhammad PBUH---

Logoun ki zarooraton ka tum say wabasta hona
tum par Allah ki inayat hai
Hazrat Imam Hussain (AS)---

Jab gunahon ke bawajood Rab-ul-Izzat ki naimatein
musalsal tumhein milti rahein to hoshiyar ho jana
ke tumhara hisaab qareeb aur sakht tareen hai
Hazrat Ali (AS)---

Mujhe jannat say zyada masjid mein bethna acha lagta hai
kyun ke jannat mein mera nafs khush hoga,
jab ke masjid mein mera rabb khush hoga
Hazrat Ali (AS)---

Momin woh nahin jis ki mehfil paak ho,
Momin woh hai jis ki tanhaii paak ho
Hazrat Ali (AS)---

Barish ka qatra seep aur saanp dono ke munh mein girta hai..
seep ussey moti bana deta hai,
saanp ussey zehr bana deta hai..
jiska jaisa zarf waisi uski takhleeq
Hazrat Ali (AS)---

One thing that is better not expressed
even if it is true, is a man's praise for himself
Hazrat Ali (AS)---

3 kaam kisi ke dil mein aapki izzat barhatey hein

1. Salaam karna
2. Kisi ko jagah dena
3. Asal naam se pukarna
Hazrat Ali (AS)---

Koshish karo ke tum dunya mein raho
dunya tum mein na rahey kyun ke
kashti jab tak paani mein rehti hai khoob terti hai
lekin jab paani kashti mein ajaye to woh doob jati hai
Hazrat Ali (AS)---

Apni zubaan ki taizi uss maa par mat aazmao
jis ne tumhein bolna sikhaya
Hazrat Ali (AS)---

Mere Allah, meri izzat ke liye yehi kafi hai
ke mein tera banda hun aur mere fakhar ke liye
yehi kafi hai ke tu mera parwardigar hai..
tu waisa he hai jaisa mein chahta hun..
bas tu mujh ko waisa bana day jaisa tu chahta hai
Hazrat Ali (AS)---

5 cheezon ki 5 jaga par hifazat karo

1... mehfil mein zubaan ki
2. bazaar mein aankh ki
3. namaz mein dil ki
4. dastarkhwan mein pait ki
5. nigah mein haya ki

Hazrat Ali (AS)---


3 cheezein insaan ko Allah se door karti hein

1. apne aamaal ko zyada samajhna
2. apne gunhaoun ko bhool jana
3. apne aapko sab se behtar samajhna
Hazrat Ali (AS) ---

6 cheezein amal ko zaya karti hein

1. logon ke aaib talash karna
2. Dil ki sakhti
3. Dunya ki mohabbat
4. Haya ki kammi
5. Lambi umeed.
6.. Zulm
Hazrat ALi (AS)---

A friend cannot be considered a friend
unless he is tested on three occasions

1. At the time of need
2. Behind your back
3. After your death
Hazrat ALi (AS)---

Agar kisi ka zarf aazmana ho to zyada izzat do..
woh aala zarf hua to aapko aur zyada izzat dega
aur kam zarf hua to khud ko aala samjhe ga
Hazrat ALi (AS)---

_________________

no likes.

Posted on September, 01 2011 07:46:40 PM


Rohama


Age: 30 Female
4461 days old here
Total Posts: 9029
Points : 340

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
nice info

no likes.

Posted on January, 10 2014 03:09:22 AM

Punjabian


Age: 34 Male
4008 days old here
Total Posts: 1587
Points : 31

Location:
Faisalabad, Pakistan

Status : Offline
yr ye golden words kuch ziada hi ni ho gae hen mere khayal me

no likes.

Posted on January, 10 2014 04:53:40 PM

Hussainkhalid


Age: 28 Male
4292 days old here
Total Posts: 13010
Points : 4675

Location:
Dadu 76200, Pakistan

Status : Offline
nice yaar bohot bohot khooob words hain hmmmm....

no likes.

Posted on January, 10 2014 04:57:52 PM

shadabnaqvi2


Age: 31 Male
3969 days old here
Total Posts: 1923
Points : 135

Location:
Attock, Pakistan

Status : Offline
Koi tmhra dil dukhay to naraz na hona Koi tmhra dil dukhay to
naraz na hona
Q k ye qudrat ka Qanun ha
K jis drakht k pas ziyada
metha phal hota he
Usey log ziada PATHR marte hn.

no likes.

Posted on January, 10 2014 06:01:12 PM

shadabnaqvi2


Age: 31 Male
3969 days old here
Total Posts: 1923
Points : 135

Location:
Attock, Pakistan

Status : Offline
Apno Ki Koi Bat Buri Lge To
Khamosh Ho Jao
Agr Wo Apna Hy To
Smjh Jaye Ga Or Agr Na
Smjhe To Tm Smjh Lena K
Wo Tmhara Apna Nhi.

no likes.

Posted on January, 10 2014 06:04:03 PM

Sabirshah


Age: 34 Male
4040 days old here
Total Posts: 15423
Points : 83

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Bhai jan ap ne kafi ache ache jumle likhe hain mujhe pasand hain ap aur bi yahan pe share kia kaso na bhai jan.

no likes.

Posted on April, 01 2014 01:56:31 PM

Sabirshah


Age: 34 Male
4040 days old here
Total Posts: 15423
Points : 83

Location:
Islamabad, Pakistan

Status : Offline
Shadab bhai ap to theak keh rahe hu ye to achi bat hai magar aisa karta jo koi nai hai .kbi nai dekha.

no likes.

Posted on April, 01 2014 01:57:45 PM

khuramms


Age: 41 Male
4709 days old here
Total Posts: 5939
Points : 224

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Sabirshah said:

Shadab bhai ap to theak keh rahe hu ye to achi bat hai magar aisa karta jo koi nai hai .kbi nai dekha.

Jee Sabir bhai aap ne sahee kaha.. yeh bohat zarf ki baat hai ... aur itni aala zarfi kum he dekhney main atee hai

no likes.

Posted on April, 01 2014 05:57:39 PM

0irha0


Age: 31 Female
4311 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
"Apne Behtreen Waqt..............."

Apne behtreen Waqt Ko
Namaz K Liye Waqf Kro
Q K Tumhare Sab Kam Tumhari
Namaz K Bayis Qubool Honge
Hazrat Ali(R.A.)

no likes.

Posted on August, 27 2014 11:51:41 AM

0irha0


Age: 31 Female
4311 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
""""Mushki tareen kaam behtreen logon ke hissay main aate
hain,,,
kyun ke wo usay hal KaRNay ki salahiyat rakhte
hain....."""""

(HAZRAT ALI a.s).

no likes.

Posted on August, 28 2014 12:06:43 PM

Awais148


Age: 30 Male
4277 days old here
Total Posts: 12184
Points : 198

Location:
Attock, Pakistan

Status : Offline
its an old topic and nice to see this at top........i love poetry and its full of poetry nice topic

no likes.

Posted on August, 28 2014 08:52:17 PM

0irha0


Age: 31 Female
4311 days old here
Total Posts: 7616
Points : 16

Location:
....., Pakistan

Status : Offline
Dost k saath kabhi Bhi aisi Laraai Mat KRNA.
k.
Laraai jeet jao or apne behtreen dost ko haar jao.
Hazrat Ali (R.A)

no likes.

Posted on August, 29 2014 06:20:33 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5013 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Kabi b kamyabi ko dimagh mein aur nakami ko dil mein Jaga na dena Q k Kamyabi Dimagh mein Takabbur aur Nakami dil mine Mayusi peda kr Deti hi

no likes.

Posted on January, 17 2015 11:59:16 PM