Subject : Maa…Mother maut ki aagosh mein jab thak key soo jattiii hain maatab kahii jaakar sukoon thora sa paa jaati hain maaaa fikar mein bachoo ki kuch istarah ghul jaati hain maa no jawan hotey howey bhorii nazar aati hain maaa eik hi hasraat ko apney azm-o-istaqlal sey aansoo sey gusl dekar kudh hi dafnaati hain maa aurhtii hain gurbatoo kaa khud yeh boseeda kafan chahatoo ka perahan bachey ko pehnaatii hain maa bhooka rehnay hi nahi deti yateemoo ko kabhi jaaney kis kis sey kahan sey maang kar laati hain maa rooh key rishtey ki yeh gheraiyan tou dekhayey chot lagtii hain hamarey aur chilaatii hain maaa kab zarorat hoon meray bachey ko itnaa soch kar jaagti rehtii aaankhen aur soooo jaati hain maaa haadyoon ka ras pila kar apney dil key chain koo kitnii raatey mein tou khalii paet sojaati hain maaa jaaney kitnii barf si raatoo mein aisaa bhi howa bacha tou chatii pey hain gelay mein sojatii hain maa jab khiloney ko machaltaa hain koi gurbat ka phool aaansoo key saaz par bachey ko behlatii hain maaa fikar mein shamshan key aakhir chatanoo ki tarah jaisay sookhii lakriaa istraha jaal jaati hain maaa apnii aanchal sey gulabii aansoo ko poonch kar deir tak gurbat pey apnii askh barsatii hain maa samney bachoo key khush rehtii hain har ek haal mein raat ko chup chup kay lekin askh barsatii hain maaa pehley bachoo ko khilaatii hain sukoon-o-chain sey baad mein jo kuch bacha who shauq sey kahti hain maa Mangtiii bhi nahi apney liyey allah sey Apney bachoo key liyey daman ko phelatii hain maa Janey anjaney mein hojayey jo bachey sey kasoor Eik anjaani saza key dukh sey tarhaaati hain maa Har ibadat har mohabbat mein nihah hain eik garz Be garz be losss har khidmat ko kar jaati hain maa Apney bachoo ki baharey zindagi key wastey Aansooo key phoool har mosaaam mein barsatii hain maa Bazooo mein kich key aaajaye gi kaisay qainat Apney bachey key liyey bahoon ko pehlaatii hain maaa Eik eik hamley sey bachey ko bachaney key liyey Dhaaal bantii hain kabhi talwar ban jaati hain maaa Pheley dil ko saaf karkey khoob apney khoon sey Dharkanoo par kalmae-tauheed likh jaati hain maaa Safha-e-hastii pey likhtii hain who usool-e-zindagi Isi lyey ek maqtab-e-islam kehlatii hain maaa Usney duniyaa ko diyey masoom rehbar islyey Azmatoh mein saani-e-quran kehlatii hain maa Jab perashanii mein ghir jaatey hain hum pardes mein Aaansoo ko poochney khawaboo mein aajatii hain maa Aisa lagta hain key jaisa aagaye firdoos mein Daal kar bahey galey mein sar ko sehlatii hain maa Agaya gar waqt muskhill apney dil key chain par Qabr mein hotey howey bhi ashq barsatii hain maa Baad mar jaaney key phir betay ki khidmat key liyey Bhes betii ka badal kar ghar mein aaajati hain maaa Door hojatii hain sari umr ki us dam thakan Bihah karkey betay kaa jab ghar bahoo lati hain maa Dekh letay hain nazar jis waqt betay aur bahoo Ajnabi apney hi ghar mein haayey ban jaati hain maa Allah allah bhool kar eik eik satam ko raat mein Pootii pootey sey shikastaaa dil ko behlatii hain maa Beta kitnaa hi bura hoon par padosan key huzoor Rok kar jazbaat ko betay key gun gaati hain maa Shadiyaan karkey jo bachey jaa basey pardes mein Khat sey ya tasweer sey phir dil ko behlatiii hain maa Apney seenay par rakhey hain qainat-e-zindaqiii Yeh zameen is wastey hain dost kehlatii hain maa Zindagani key safar mein gardishoo ki dhooob mein Jaab koi saaya nahi miltaa tou yaad aaatii hain maa Muflisi Bachey ki zid par jab utha letii hain haath Jaisay mujrum ho koi istrhah sharmatii hain maa Lot kar wapis safar sey jab bhi ghar aatey hain hum Daal kar bhahey galey mein sar ko sehlatii hain maa Dair hojatii hain ghar mein aaney mein aksar jab hamey Rait par machlii ho jaisay aisay ghabratii hain maa Mart-e-dam asaka bacha naa ghar par deir sey Apni donoo kutliyay chokhat par rakh jaati hain maa Apni pehloo mein lita kar aur totey ki tarah Eik , bara paanch chodaa hum ko sikhlaati hain maa Paar kehtey hain kissey aur mamta kia cheez hain Koi un bachoo sey poochey jin mar jaati hain maa Saaal bhar mein , ya kabhi , haftey mein jumaraat ko Zindagi bhar ka silaa eik fatiha paa ti hain maaa Martaba hoo maa ka zahir kis liyey firdoos sey Apney bachoo key liyey poshaq mangwatii hain maa Ghar sey jab pardes jaata hain koi noor-e-nazar Hath mein quran lekar dar pey aajatii hain maa Dekey bachey ko zamanat mein reza-e-paak ki peechay peechay sur jukhayey door tak jaati hain maa kaaptiii awaaz sey kehtii hain betaa alwidaaa samnaa jab tak rahey hathooo ko lehratii hain maa yaad aataa hain shab-e-aashoor ka karyal jawan jab kabhii uljhiii howi zulfoo ko suljhatii hain maa sub sey pehlay jaaan dena fatima(a.s) key laal par raat bhar aun-o-mohamed ko yeh samjhatii hain maa allah allah intehah dekh sabr-e- laila aur husain (a.s) baap ney khainchii sina , seeney ko sehlatii hain maa yeh bata saktii hain humko bus rubab(a.s)-e-khasta tan kis tarah bin doodh key bachay ko behlaati hain maaa shimr key kanjar sey yaa sookhey galey sey poochiyey maa idhar sey nikaltaa hain udhar aaati hain maaa jab talak hain yeh hath hain hamsheer be parda na hoon eik madar bawafa betay sey farmatii hain maaa aisa lagta hain kissi maqtal sey ab bhi waqt-e-asr ek buridaa sar sey zyada pyasaaa hoon sada aati hain maa no jawan beta agar dam tor dein aagosh mein zindaqii bhar sur ko diwaroo sey takraatii hain maa lash par betay key parhtii hain jawanii marsiaaa shukr ka sajda us aalim mein baja laati hain maa dei kar apney laal ko islam ki aaagosh mein good khalii phir so-e-jaanat palat jaati hain maa fatima(a.s) key laal par qurbaaan karney key liyey baandh kar sehra jawan betay ko samjhatii hain maa apney gam ko bhool kar rotey hain jo shabbir(a.s) ko unkey askhoo key liyey jaanat sey aajatii hain maaa.
no likes.
|