main khod zameen hoon magar zarf aasman ka hai ke toot kar bhi mera hausla chattan ka haibura na maan mere harf zehar zehar sahii main kya karoon ke yahi zaayeqa zabaan ka hai ... bichharhte waqt se main ab talak nahi roya wo keh gaya tha yahi waqt imtehaan ka hai har aik ghar pe musallat hai dil ki veeraani tamam shehar pe saya mere makaan ka hai yeh aur baat adalat hai be-khabar warna tamam shehar main charcha mere bayaan ka hai asar dikha na saka uskey dill main ashk mera yeh teer bhi kisi tutii hui kamaan ka hai qafas to khair muqaddar main tha magar MOHSIN hawa main shoor abhi tak meri urrhan ka hai
no likes.
|