Azeem Hai Ye Qurbat Ki Dooriyan Bhi, Saath Reh Kar Bhi Usko Na Pana Kaisa Lagta Hai,Qismat Mein Nahi Phir Bhi Usko Chahte Hai, Phool Samajh Kar Kaanton Par Chalna Kaisa Lagta Hai... Ab To Mehfil Mein Bhi Hamare Liye Tanhayi Hai, Gam Chhupa Kar Mehfil Ko Sajana Kaisa Lagta Hai, Mehfil Mein Dusron Se Hans Hans Kar Milte Hai, Tanhayi Mein Gam Ke Aansu Bahana Kaisa Lagta Hai... Samajhne Par Bhi Samajhta Nahi Hai Ye Dil, Uski Yaad Mein Raaton Ko Jagna Kaisa Lagta Hai, Uski Berukhi Ne Itne Diye Hai Zakham Ke, Zakham Kha Kar Bhi Muskurana Kaisa Lagta Hai... Jab Wo Hans Hans Kar Baat Karein Dusron Se, Tab Apne Ansoon Ko Chhupana Kaisa Lagta Hai, Usse Kho Kar To Mere Paas Raha Kuch Bhi Nahi, Phir Bhi Khudko Ameer Batana Kaisa Lagta Hai... Khud Ko Anmol Samajhne Ka Tha Bada Ghamand, Phir Bhi Be-Mol Bik Jana Kaisa Lagta Hai, Khaye Hai Dhoke Mohabbat Mein Itne Ke Phir Bhi Isko Chahna Kaisa Lagta Hai... Malum Hai Is Deewane Ki Manzil Nahi Hai Koi, Phir Bhi Safar Karte Rehna Kaisa Lagta Hai, Wo To Aa Kar Bhi Kab Ke Jaa Chuke Hai, Phir Bhi Iska Intezaar Karte Rehna Kaisa Lagta Hai...
no likes.
|