Subject : Muhabaat (closed) Muhabbat harf-e-awwal haiMuhabbat harf-e-aakhir hai ye hai ik aisa jazba jo zahoor apney mai maahir hai zamanay mai udaasi bhi muhabbat baant sakti hai kisi k dil se nafrat ko muhabbat chhaant saktii hai muhabbat ba-wafa bhi hai muhabbat dil’rubaa bhi hai muhabbat kernay walon ko muhabbat sey gilaa bhi hai muhabbat mai jo hotey hain gillay, wo sab muhababt hai lagan , chahat , wafa’daari ye saray dhab muhababt hain muhabbat aaan jaisi hai muhabbat maaan jaisi hai muhabbat phool jaisi hai muhabbat jaan jaisi hai muhabbat jaan leti hai muhabbat jaan deti hai muhabbat sarfroshi ko hamesha maan leti hai muhabbat aik tabassum hai jo pholon main bhi khilta hai kabhi titlii k pankhon mai kabhi mamtaa mai milta hai muhabbat saans leti hai muhabbat dekh saktii hai muhabbat saath chalti hai muhabbat rahh badalti hai kisi ki shaadmaani ko muhabbat soch saktii hai ye saari zindagaani k ghamon ko nooch saktii hai muhabbat ik nageena hai yea jeenay ka qreena hai kabhi jo doob na paye muhabbat wo safeena hai jahaan k sab mazaahib main muhababt ka taqaddas hai yehi insaan k jazboon main ataa’a sab se muqaddas hai muhababt ka yea jazba ab baraa pamaal hota hai yea jis k dil mai bas jayee bohat behaal hota hai muhabbat kal b hotii thi muhabbat aaj bhi hotii hai magar apney muqaddar per muhababt aaj bhi rotii hai
no likes.
|