salubhai169
Age: 31
4437 days old here
Total Posts: 1010
Points : 770
Location:
Daharanwala, Pakistan
Status : Offline |
Hum nagri nagri* jate hain aur ghar ghar geet gaatey hain, Hum galiyon galiyon, aangan aangan pyar ke deep jalate hain, Hum khushbu ke saudaagar* hain aur sauda* sacha karte hain, Jo gaahak phoolon jesa ho hum bin’daamon* bik jate hain, Hum sheher-e-wafa ke logon ka tum haal bhla kya jano ge, Hum dil ko chot chupatey hain aur aansu pee jatey hain, Jo log sharafat waley hain, woh qadrey buzdil* hite hain, Dushman se nahin dartey woh magar, kam’zarfon* se ghabratey hain, Hum sachey hain, yeh kese kahen, sach sab ke bass ki bat nahin, Jo sachhi baatain karte hain, woh peghambar* kehlaatey hain, Iqbaal to adnaa’a hadim hai, arbaab ilm-o-danish ka, Yeh aap ka husn-e-samaat* hai jo is pe karam farmaatey hain.. (nagri;town, saudaagar;one who deals, sauda;deal, bin’daamon;without price, buzdil;one who is always scared, kam’zarfon;uncredible, peghambar;prophit, samaat;hearing)
no likes.
|