Forums > Poetry / Ghazal Corner > ghazal
111192


Age: 32 Male
4547 days old here
Total Posts: 18
Points : 9

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Subject : ghazal (closed)
Aik Pal Ka Ehsas Bankar Ate Ho
Tum,

Dosre Hi Pal Khuwab Bankar Ur
Jate Ho Tum.


no likes.

Posted on July, 26 2012 06:53:45 PM


rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
111192 said:

Aik Pal Ka Ehsas Bankar Ate Ho
Tum,

Dosre Hi Pal Khuwab Bankar Ur
Jate Ho Tum.


Dear Maqbool

acha hai

no likes.

Posted on July, 26 2012 06:57:46 PM

saim14399


Age: 31 Male
4701 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
he he

no likes.

Posted on July, 26 2012 09:19:13 PM

saim14399


Age: 31 Male
4701 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
lagta hay ye topic abi tak omer
Bhai nay nai dakha agr dakha hota to bnd ho gea hota.

no likes.

Posted on July, 26 2012 09:21:14 PM

ayshbib


Age: 38 Female
4559 days old here
Total Posts: 376
Points : 213

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Ghazal itni choti to ni hoti...
ye to sher hai

no likes.

Posted on July, 26 2012 10:27:35 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
111192 said:

Aik Pal Ka Ehsas Bankar Ate Ho
Tum,

Dosre Hi Pal Khuwab Bankar Ur
Jate Ho Tum.


Dear ye Ghazal hai ya Ghazal k sath mazak

Ghazal ko yun badnam tu na kero

no likes.

Posted on July, 26 2012 11:31:32 PM

mwaqas


Age: 35 Male
4608 days old here
Total Posts: 1028
Points : 194

Location:
Attock, Pakistan

Status : Offline
yar jo topic shairi k pehle se ban chuke hain sirf wahan comments krain

no likes.

Posted on July, 27 2012 11:43:49 AM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
mwaqas said:

yar jo topic shairi k pehle se ban chuke hain sirf wahan comments krain


shaid en ko pehlay sy mojood topic nazar nahi aey

no likes.

Posted on July, 27 2012 05:38:20 PM

Omer87


Age: 37 Male
5041 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
there is Only 1 topic of Ghazal
this " GHAZALS COLLECTION BY ABDUL BASIT '
yeh topic to sirf Abdul Basit ka tha jis per sub posting ker rahy hain
lakin yeh topic ( Maqbool wala ) is general Ghalzal topic
that's why ab tk close nahi kia


Regards : Omer Hafeez ( www.pak101.com )


no likes.

Posted on July, 27 2012 08:34:27 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
ankh Se Barse To Barsat Na Qabo Aay
Tum Ne Bakhshe They Jo Sadmaat Na Qabo Aay
Hum Ne Mar Mar K Guzare Hain Judai Mein Teri
Ye Sulagte Howe Din Rat Na Qabo Aay
Aaina Toot K Jaise Ho Zameen Par Bikhra
Ayse Bikhri Hai Meri Zat Na Qabo Aay
Jo K Mothi Mein Rahi Waqt Ki Sarkash Lehrain
Par Tere Wasal K Lamhat Na Qabo Aay
Rang Mein Chor Gia Sath Mera Saya Bhi
Aise Bigre Mere Halat Na Qabo Aay
Hum Ne Chaha Tha Tumhain Bhool K G Lein Lekin
Is Dil-3-Wehshi K Jazbat Na Qabo Aay
Aik Se Aik Naya Dard Mila Hai Hum Ko
Ye Muqadar Ki Mudarat Na Qabo Aaye...

no likes.

Posted on July, 27 2012 10:53:35 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Aik muddat se tujhy vird me rakha jisny,

Wo mhabbat me Qalander
bhi to
ho sakta hai,

Tery koochy me jo aya hai Ghulamon ki trah,

Wo apni basti ka sikander bhi to ho sakta hai,

Silsilawaar agar ashk giraaey jaen,
Ye jo sehra hai smandr bhi to ho sakta hai,

Kab tlak tery khayalon k sahary py jiyen,

Dil teri yaad se munkar bhi to
ho sakta hai.....

no likes.

Posted on July, 28 2012 07:01:56 PM

owaisahmed55


Age: 36 Male
5070 days old here
Total Posts: 10102
Points : 122

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Maar Do Jaan Se Koi Gham Nahin, Per Yeh Saza Mat Do,

Ke Hamare Saamne Beth Kar Hum Ko Tum Ajnabi Se Lago.

no likes.

Posted on July, 29 2012 05:33:51 AM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Apni baton mein mere naam ke hawale rakhna
Mujh se bichre ho to khud ko sambhale rakhna
Log pochein ge kyon pareshan ho tum
Kuch nigahon se kehna zuban pe taale rakhna
Na khone dena mere beetay lamhon ko
Meri yadon ko bare pyar se sambhale rakhna
Tum loat aao ge itna yaqeen hai mujh ko
Mere liye chand sadiyan nikale rakhna
Hum ne kuch naya dekha hai tum mein phir dost
Mere liye apne andaaz wohi purane rakhna

no likes.

Posted on July, 29 2012 09:05:21 AM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Khaali jaam liye baithe ho,un aankhon ki baat karo
Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo

Jo peekar mast huey hain un ke ziker se kya hasil
Jin tak jaam nahin pahuncha hai un pyaason ki baat karo

Chup rehney se kut na sakegi saadiyon lambi raat yahan
Jin yaadon se dil roshan hai, un yaadon ki baat karo

Phir palkon par jugnu chamke,aankhon mein ghata si lehrai
Thandi hawa ka ziker karo, Kuch bheegi ruton ki baat karo

Raat bahut hai, pyaas bahut hai, Baarsaton ki baat karo
Khaali jaam liye baithe ho, un aankhonki baat karo..

no likes.

Posted on July, 30 2012 06:31:39 PM

owaisahmed55


Age: 36 Male
5070 days old here
Total Posts: 10102
Points : 122

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Hamarey baad nahi aey ga tmhe chahat ka aisa maza.. ?
"Ae dost'..
Tum logon se khud kehtey phiro ge "Mujhe" chaho usS ki tarah..

no likes.

Posted on July, 31 2012 09:34:02 AM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya

Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya

Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya

no likes.

Posted on July, 31 2012 05:42:55 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.

kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.

kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.

meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.

rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.

ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.

no likes.

Posted on August, 02 2012 03:52:14 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai
Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai !
Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi
Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai !
Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan
WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai !
Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo
Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai !
Mauj masti ko honge dost hajaron lekin
Bure din me na aaye kam wo dosti kya hai !
Kare Jo darj apana nam nahi safahon me
Makam jiska martaba na wo hasti kya hai !
Aman aur chain shakun ka jaha na dera ho
Basera khaak hai "Saqi" wo basti kya hai !!

no likes.

Posted on August, 03 2012 03:44:50 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Kab kaun kisi ka hota hai
Sub jhootey rishtey naate hain...

Sub dil rakhney ki batein hain
Sub asal roop chhupate hain...

Ikhlaq se khali log yahan
Lafzon ke teer chalate hain...

I baar nigahon mein aakar
Phir saari umar rulate hain...

Who jis NE diye hain ashk humein
AB us ko bhool hi jaate hain...

no likes.

Posted on August, 11 2012 08:17:18 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Hum naazuk hein bilkul kisi ahsaas ki trah

tum na socho gy to mar jayengay

pas raho ya door bas itna khiyal rakhna

tum na dekho gy to mar jayengay

titliyum mein or hum me yah bat he mushtrik

pakar k jab choro gy hmen to mar jayengay

apne dil ki tehni pe hi khila rehne do

jab bhi tehni se toro gy to mar jayengay

kbi na milna hm se moj-e-dariya ban k

mil k jab bichro gy hum se to mar jayengay...

no likes.

Posted on August, 12 2012 07:59:01 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Tumhein ik baat kehni hai
magar naraaz mat hona,
k tum jo har ghari mujko
yun itna yaad aati ho,
humein itna satati ho
k hum tum door hein dono
boht majboor hein dono
na itna yaad aao tum
na yun itna satao tum
k itna yaad aa kar yun
hamein pagal bana k tum
faqat itna bata do k
humari jaan lo gi kia...?
magar ye bi haqeekat hai
tumhari yaad hi to hai
har khushi mein bhi
har gham mein bhi
udasi k palon mein bhi
tumhari yaad hi to hai
jo har pal ye batati hai
mujhe ahsaas dilati hai
hum tum bin adhore hain
hum tum bin adhore hein...

no likes.

Posted on August, 13 2012 03:40:11 PM