Forums > Poetry / Ghazal Corner > ghazal
111192


Age: 32 Male
4547 days old here
Total Posts: 18
Points : 9

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Subject : ghazal (closed)
Aik Pal Ka Ehsas Bankar Ate Ho
Tum,

Dosre Hi Pal Khuwab Bankar Ur
Jate Ho Tum.


no likes.

Posted on July, 26 2012 06:53:45 PM


saim14399


Age: 31 Male
4701 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Dil Walay Ankhoon Ke Baat Samaj Laity
Hain
Khawab Mian Mil Le To Mulaqat Samaj
Laity Hain
Rota To Asman Bhi Hai Kisi K Pyar Main
Lakin Log Usy Barsat Samaj Laity Hian

no likes.

Posted on September, 13 2012 09:31:20 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Ye dard mit gaya to phir?
Ye zakhm sil gaya to phir...?
Bichhar kar sochta hoon main
Wo phir se mil gaya to phir...?

Main titliyon k shehar mein
Rahoon to mujh ko fiker hai...
Wo phool jo khila nahi
Wo phool khil gaya to phir...?

Tujhe bhi kuch nahi mila
Mujhe bhi kuch nahi mila...
Tamam umer k liye
Ye dard mil gaya to phir...?

Main is liye to aaj tak,
Sawal bhi na kar sake...
Agar mere sawal ka
Jawab mil gaya to phir...?

no likes.

Posted on September, 13 2012 09:43:40 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Aahat Aahat intezaar kar ke dekhna
kabhi kissi say pyar kar ke dekhna

Toot jatey hain khoon ke rishtay bhi
Ghaltiyaan do-chaar kar ke dekhna

Agar zindagi ka falsaffa samajhna ho
barish me kachchi dewaar kharhi kr k dekhna

Kaee janam beet jayein gay janaa
kabhi meri mohabbatein shumaar kr k dekhna

no likes.

Posted on September, 14 2012 05:48:11 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 37 Male
4499 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
Jab barish hoti hai, Tum yaad aate ho.
Jab kali ghata chaye, Tum yaad ate ho,,,,

no likes.

Posted on September, 14 2012 05:52:53 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Wo Bandhe hai kisi aur ke chahto ke janjir me,
Phirbhi unhe chahne ki chahat si kyun hoti hai?

Dil ko samjhaya bahut ke hain wo mere nahi kisi aur ke,
Phirbhi bhi unko dekhte hi dil me dhakdhak si kyun hoti hai?

Pata hai wo aye hai par kisi aur ke bulane pe,
Phirbhi unke aane se kahi koi dastak si kyun hoti hai?

Najare mili thi meri unse aise hi anjane me,
Phirbhi unke najaro ki hi inayat si hoti hai?

Kiya nahi maine kabhi waqt ki barbadi fijul me,
Phirbhi unki baato ko sunne ki fursat si kyun hoti hai?

Haq nahi hai mujhe ke main dub jaun unke yaadon me,
Phirbhi unke labo ko chumne ki sararat si kyun hoti hai?

Hogi na wo meri kabhi agar mar bhi jaun unke intazar me,
Phirbhi usko bahoon me bharne ki hasrat si kyun hoti hai?

Hai wo mera hi yaar jo usse chahta hai dil o jaan se,
Phirbhi usko dekhte hi nafrat si kyun hoti hai?

no likes.

Posted on September, 14 2012 05:55:33 PM

Omer87


Age: 37 Male
5041 days old here
Total Posts: 13522
Points : 298

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Gardish K Baad Zaat Ka Mehwar
Mila Mujhy
Jis Se Nikal Gaya Tha Wohii Ghar
Mila Mujhy

Zar're K Ek Juzz Se Khula Raaz-e-
Kainat

Qatre Ki Wuss'ato'n Mien
Samundar Mila Mujhy,

Kitni Ajeeb Baat Hy Jo Chahta
Tha Main

Qismat Se Us Terha Ka Muqaddar
Mila Mujhy

Main Tha K Kaifiyat K Pardo'n Mein
Qaid Tha

Wo Tha K Har Lihaz Se Khul Ker
Mila Mujhy

Dunya Ki Wuss'ato'n Mein Usay
Dhoondta Raha

Lekin Khuda Meri Zaat K Andar
Mila Mujhy ... !!!


no likes.

Posted on September, 14 2012 06:16:01 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Sarapa ashk hon main ab bikhar jaon to behtar hai
Jidhar jatay hain ye baadal udhar jaon to behtar hai

Ye dil kehta hai tere shehar mein kuch din theher jaon
Magar halaat kehtay hain k ghar jaon tou behtar hai

Dilon mein farq aayen ge taalluq toot jayen ge
Jo daikha jo suna us se mukkar jaon tou begtar hai

Yahan hai kon mera jo mujhe samjhe "FARAZ"
Main koshish kar kay ab khud he sanwar jaon to begtar hai..

no likes.

Posted on September, 14 2012 09:01:40 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono,
Na main tum say koi umeed rakhoon dil nawazi kee,

Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say,
Na meray dil kee dharkan larkara'ay meri baathon say,

Na zaahir ho tumhaari kushma-kush ka raaz nazron say.
Tumhain jo koi anjuman roktee hai paish qadmi say,

Mujhey bhi log kehtay hain kay yeh jalway para'ay hain.
Meray humrah bhi ruswa'eeyan hain meray maazi kee,

Tumharay saath bhi guzree hu'ee raaton kay sa'ay hain.
Ta'aruff rog ho ja'ay tau usska bhoolna behtar,

Ta'alluq bojhe bun ja'ay tau usska torna acha.
Woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin,

Ussay ek khoobsoorat mor day kar chorna acha.
Chalo ek baar phir say ajnabi bun ja'ain hum dono . . .


no likes.

Posted on September, 15 2012 11:50:25 AM

Mishty


Age: 39 Female
4484 days old here
Total Posts: 178
Points : 96

Location:
Karachi, Pakistan

Status : Offline
Mujhy Itna Na Yad Aaa K Mae Khod Ko TUM Samajh Baithon...
Mujhy Bhi Yad Rehny De Meri Apni bhi Hasti Hai

no likes.

Posted on September, 15 2012 12:49:30 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,

Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko,
Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay,

Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu ayai tou ham ghar main charaghan nahin kartay,

Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,

Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay

no likes.

Posted on September, 15 2012 02:50:38 PM

juntalman


Age: 34 Male
4731 days old here
Total Posts: 1607
Points : 97

Location:
Hassan Abdal, Pakistan

Status : Offline
Ek jurm hua hai hum say, ek dost bana baithay hain,
Kuch apna sa uss ko samaj kar, Sab raaz bata baithay hain

Phir uss kay pyar ki raah mein, Dil-o-jaan ganwa baithay hain
Wo yaad buhot hiaatay hain jo hum ko bhula bathay hain,

Iss jurm ki mili hai saza aisi,
Hum un sey juda ho baithay hain.

no likes.

Posted on September, 15 2012 11:28:25 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Mushkilon ko karta Jo aasan hai,
WO asal me hi to ek insan hai !

Gham se ghabara ke Jo himmat chhod de,
Buzdili ki uski to pahchan hai !

Zindagi hai ek dariya dard ka,
Dard se khele wahi insan hai !

Khushali me sab yaha jee lete hai,
Ghum me jeena to alag ek shan hai !

Ham bana saktey hain khud takdeer ko,
Gham ham hi me josh ka elan hai !

Kahte hain eh waqt hai ek dhup chhaon,
Feer bhala kyon aadami hairan hai !

Khud ko Jo samjhe ki ham kamzor hain,
WO bahut nadan hai anjan hai !!

no likes.

Posted on September, 16 2012 10:21:16 AM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Najane q meri shairi ka unwan ban jate ho tum,
Sub kuch jante howe bhi anjan ban jate ho tum,

Na koi rishta hay tum se na koi talluk,
phir bhi na jane q mera man ban jate ho tum,

Me jo bhi likhta hon bat zara qarene se,
Mera geet meri shaira mera deewan ban jate ho tum,

Dil se jo nikalti hai, labon pe aa k dum tor deti hay,
Woh tamanna, wo hasrat wo arman ban jate ho tum.

Main lakh karon koshish tum se tark-e-tlluq ki,
Phir bhari mehfil main meri pehchan ban jate ho tum.

no likes.

Posted on September, 17 2012 08:31:39 PM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak

daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang
dekhe.n kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak

aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuu.N Khuun-e-jigar hone tak

ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaaye.nge ham tum ko Khabar hone tak

partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak

yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak

Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
shammaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak

no likes.

Posted on September, 18 2012 11:28:33 PM

SHAGIRDeIQBAL


Age: 37 Male
4499 days old here
Total Posts: 11084
Points : 45

Location:
Lahore, Pakistan, Pakistan

Status : Offline
lo ji kr lo gal,
bhai ji ey te copy past e lgda ey

no likes.

Posted on September, 19 2012 02:29:40 AM

rashidfarooqz


Age: 53 Male
5047 days old here
Total Posts: 16735
Points : 17

Location:
Askari Cement Wah, Near Wah Cantt, Pakistan

Status : Offline
Mujhey Aaram Karney Do, Mujhey Abb Mat Sataao Tum
Thakan Sadiyon Ki Hai Mujh Ko, Mujhey Abb Mat Jagaao Tum

Mairi Khamosh Aankhon Say, Koi Qissa Na Kehna Tum
Mairey Khwabon Mein Sehra Hain, Mujhey Ab Mat Rulao Tum

Dukhon Ki Ikk Kahani Thi, Ussi Ka Aakhri Hissa
Bohat Arsey Say Jari Tha, Ussey Ab Mat Dohrao Tum

Mairey Viraan Kamrey Mein, Teri Tasveer Abb Bhi Hai
Ye Abb Kamrey Ka Hissa Hai, Issey Abb Mat Hatao Tum

Mairey Jaaney Ki Baaton Per, Kabhi Woh Hansta Rehta Tha
Mairey Jaaney Ki Raaton Mein, Ussey Ab Mat Hansaao Tum

Tumhaari Diary Ke Aakhri Auraaq Mein Main Tha
Safhey Yoon To Na Phaarro Tum, Mujhey Yoon Na Mitaao Tum

Kahin Sehra, Kahin Saahil, Kabhi Mitti, Kabhi Paani
Mujhey Jo Cheezein Bakhsheen Thi, Usi Say Ghar Banao Tum

Wahin Per Hoon, Main Waisa Hoon, Ab Aaey Ho To Ruk Jana
Thakan Ki Dastaan Apni, Mujhey Abb Mat Sunaao Tum.



no likes.

Posted on September, 20 2012 08:39:19 PM

saim14399


Age: 31 Male
4701 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Chaand jub baam se keh deta hai Allah
hafiz
Dil bhi her kaam se keh deta hai Allah
hafiz Goonjte rehte hain alfaz miry kaanon
ma
Too to aaram se keh deta hai

no likes.

Posted on September, 20 2012 11:24:29 PM

saim14399


Age: 31 Male
4701 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Nahi Ishq Ka Dard Lazzat Se Khaali,
Jissay Zouq Ha Wo Maza Janta Hai.

no likes.

Posted on September, 20 2012 11:25:14 PM

saim14399


Age: 31 Male
4701 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Tumhare pass nahin to phir kis ke
pass hai.,?
Woh toot’ta Huwa dil akhir Gaya
Kahan.?

no likes.

Posted on September, 20 2012 11:25:51 PM

saim14399


Age: 31 Male
4701 days old here
Total Posts: 14102
Points : 33

Location:
Dammam, Saudi Arabia

Status : Offline
Bohat Nazdeek Ho Ke Bhi Wo Itna
Door Hai Mujhse,
Ishara Ho NahI Sakta, Pukaara Ja Nahi
Sakta….!!

no likes.

Posted on September, 20 2012 11:27:22 PM