Forums > Masti Box! > "Ghazal"
PAF


Age: 33 Male
5043 days old here
Total Posts: 422
Points : 91

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Subject : "Ghazal"

Kabhi Gham Ki Aag Me Jal Uthe,
.
.
Kabhi Dagh-e-Dil ne Jala Dia,
.
.
Ay Junoon-E-Ishq Bata Zara,
.
.
Muje Q Tamasha Bana Dia,
.
.
Gham-E-Ishq Kitna Ajeeb Hai,
.
.
Ye Junoon Se Kitna Qareeb Hai,
.
.
Kabhi Ashk Palkon Pe Ruk Gaye,
.
.
Kabhi Poora Darya Baha Dia,
.
.
Abi Kar Raha Hai Wo Ibteda,
.
.
Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba,
.
.
Usay Zindagi Ki Hai Arzu,
.
.
Muje Zindagi Ne Mita Dia ,,,,
%:Udasiaan:%


no likes.

Posted on March, 02 2011 01:10:03 PM


ashfaq786


Age: 44 Male
5049 days old here
Total Posts: 1215
Points : 51

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
koi pochay ga to kiya bataen gay sabab,
kyun juda ho gaye is tarah chupke s hum,
milte to rahen gay hm kisi na kisi mor par,
kab talak ashkon ko chupate rahen gay hm,
muhabat ko chupaya na geya hy ab tk,
...batao is ko kesay mita paey gay hm,
jisay hm ne chaha wohi na mila,
kisi or ko chah kr kiya kren gay hm,
zindagi yun b aazmaye gi humen amar,
aaj usi k hathon ruswa ho gaye hum....

no likes.

Posted on March, 02 2011 01:19:38 PM

prince3


Age: 33 Male
5045 days old here
Total Posts: 1841
Points : 255

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
is se pehle k teri chasm e karam maazrat ki nigha ban jaye
pyar dhal jaye mere askhon mei arzoo aik aah ban jaye
muje pe aa jaye ishq ka ilzaam or tu be gunah ban jaye
mei tera shehar chor jaon ga
is se pehle k saadgi teri lab e khamosh ko gila keh de
... teri majbooriyan na deikh sake or dil tuj ko bewafa keh de
jane mei bekhudi mei kya poochon
jane tu berukhi se kya keh de
mei tera shehar chor jaon ga
chor kr sahil e muraad chala ab safeena mera kahin tehre
zehar peena mera muqaddar hai or tere hont dil nasheen tehre
kis tarah tere aastan pe rokon jab na paon tale zameen tehre
mei tera shehar chor jaon ga
muj ko itna zaroor kehna hai waqt e rukhsat salaam se pehle
tor loon rishta e nazar mei bhi
tum utar jao baam se pehle
le meri jaan mera wada hai kal kisi waqt sham se pehle
mei tera shehar chor jaon ga

no likes.

Posted on March, 03 2011 11:54:59 AM

prince3


Age: 33 Male
5045 days old here
Total Posts: 1841
Points : 255

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Bohat masoom thy ham, Hamain ab yaad aata hai,

K ham ek ajnabi ko, Umar ki tareek raahon ka,

Sahaara maan bethay thy, K oss k chand chehre ko,
......
Ham apnay bakkht ka roshan, Sitaara maan bethay thy,

Hamain maloom hi kab tha? K Dasht-e-Zindagi mein,

Sahaarey choot jaatay hain, Kabhi aisa bhi hota hai,

Nazar jin par theharti hain, Wo taaray toot jate hain,

Khud apnay rooth jaatay hain, Bohat masoom thy ham bhi,

Hamain maloom hi kab tha? K apnay rooth jatay hain

no likes.

Posted on March, 03 2011 01:51:43 PM

Asad2


Age: 31 Male
5045 days old here
Total Posts: 362
Points : 26

Location:
Mirpur khas, Pakistan

Status : Offline
Nice

no likes.

Posted on March, 03 2011 10:58:00 PM

Asad2


Age: 31 Male
5045 days old here
Total Posts: 362
Points : 26

Location:
Mirpur khas, Pakistan

Status : Offline
Keep it up bro

no likes.

Posted on March, 03 2011 10:58:50 PM

prince3


Age: 33 Male
5045 days old here
Total Posts: 1841
Points : 255

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Hum Yousaf-E-zaman thay abhi KAL KI BAAT HA

Tum hum pe meherban thay abhi KAL KI BAAT HA

Wo din b thay k hum hi tumari zaban pe thay
...
Mozoo-e-Dastan thay abhi KAL KI BAAT HA

Ae karwan-E-inqilab-O-gul tumko yaad ho

Hum meer-E-karwan thay abhi KAL KI BAAT HA

Jin doston ki kami ha aaJ hayat mei

Wo apne darmyan thay abhi
KAL KI BAAT HA

Kuch haadson se gir gaye MOHSIN zameen par

Hum rashk-E-Aasman thay abhi KAL KI BAT HA.!!See More


no likes.

Posted on March, 03 2011 11:09:40 PM

prince3


Age: 33 Male
5045 days old here
Total Posts: 1841
Points : 255

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
ho skta hai usney koi shortcut le liya ho.......
ya us k paas parking k paisey deney k liye nhi hongey....

ya shayad us ka koi lifafa bulandi pe hi reh gya hoga......
ya uskoi koi ziyadah easy load krwaaney wala mil gya hoga......
...
chorh de yaaar koi aur phnsaaa le.......
serihaan konsi jaldi khatam hojaani hain

no likes.

Posted on March, 04 2011 09:36:47 AM

prince3


Age: 33 Male
5045 days old here
Total Posts: 1841
Points : 255

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
ho skta hai usney koi shortcut le liya ho.......
ya us k paas parking k paisey deney k liye nhi hongey....

ya shayad us ka koi lifafa bulandi pe hi reh gya hoga......
ya uskoi koi ziyadah easy load krwaaney wala mil gya hoga......
...
chorh de yaaar koi aur phnsaaa le.......
serihaan konsi jaldi khatam hojaani hain

no likes.

Posted on March, 04 2011 09:46:13 AM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
5060 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Ajab Si Kash MkAsh Sai, Main Guzar Rahaa Hoon...!!
Udher Tarap Raha ho, aUR Idher Attal Raha Hoon ..!!

...Bhanwar MiL RahaI HaIn Rah-e-Ishk MaIn AIsaI..!!
Har Pal Main Mar Raha ho, aUR Jee Raha Hoon..!!

Uff Tak KI Majaal Nhi Hai, Ic DawaraI Par ...!!
Sar-e-RaH KhaRa hO, aUR Chal Raha Hoon ....!!

Khud Ko KuchAl Kar, Khud pAr SaI GuzArna HaI...!!
KhuD Hi MaktOOL raHa, aUR kAtil Raha Hoon ...!!

kCh nhI MunsAlIk mEra, mERi Anaa SaI BakI ...!!
nA MaIn KafIr RaHa, aUR Na Musalmaa Raha Hoon..!!

KiSaI KaI HonaI Ka ''JABBAR'' Ko HaQ Hota, To Hoo Jataa..!!
waBaStAa Hayaat SaI Rahaa, aUR nA Moot Sai Raha Hoon..!!

no likes.

Posted on March, 04 2011 11:30:12 AM

ashfaq786


Age: 44 Male
5049 days old here
Total Posts: 1215
Points : 51

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Nafraton kay daar say tum Muhabbat na chor dayna....
Aansuoo kay daar say tum Hansna na chor dayna....
Chahaton kay raston mein hoti hay haar bhi
Kantoon kay daar say tum chalna na chor dayna...
Jena mushkil tu hay adawaton kay shehar mein....
Marnay kay daar say tum jeena na chor dayna.....
Melnay say pehlay becharnay ka khoof bhi hoga
Magar becharnay say pehlay melna na chor dayna......

no likes.

Posted on March, 04 2011 12:30:52 PM

ashfaq786


Age: 44 Male
5049 days old here
Total Posts: 1215
Points : 51

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Udaas tehreer parh k meri, mere sanam muskura na dena

Ye aakhri khat main likh rha hun khyal krna jala na dena

Guzr Rhi hai tumhari kaise bichr k humse Rula k ham ko,
......
Hqeeqton ko zrur likhna ana ki khatir chupa na dena

Koi jo puche kidhr gaya wo jo teri mehfil ka tha sahara,

Jo furqton ka sbab bane the kisi bashar ko bta na dena

Main mr bhi jaon to muskurana ehsas_e_gham ki na chot khana,

Jo qurb_e_gham se Nigahain bheegen to Rukh se aanchal hta na dena,

Laho se tehreer kr rha hun main apni saari kahani
Mohsin,

Jo phaar bhi do to paas Rakhna Hawa mein tukre urra na dena..


no likes.

Posted on March, 04 2011 12:54:13 PM

ashfaq786


Age: 44 Male
5049 days old here
Total Posts: 1215
Points : 51

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Na bujha chiragh-e-dayaar-e-dil, na bichrne ka tu malaal kar,

Tujhe de gi jeene ka hosla, meri yaad rakh le sambhal kar,

Ye bhi kya ke ek hi shakhs ko kabhi sochna, kabhi bhoolna,
...
Jo na bujh sake wo diya jala, jo na ho sake wo kamal kar,

Gham-e-arzu meri justju, mei simat ke aa gaya ru-baru,

Ye sukoot-e-marg hai kis liye? mei jawab doon tu sawal kar,

Tu bichhar raha hai to soch le, tere hath hai meri zindgi,

Tujhe rokna meri mot hai, meri be'bsi ka khayal kar,

Mre dard ka, mre zabt ka, meri be-basi, mere sabr ka,

Jo yakeen na aaye to dekh le, tu hawa mein phool uchaal kr...

no likes.

Posted on March, 04 2011 01:02:29 PM

prince3


Age: 33 Male
5045 days old here
Total Posts: 1841
Points : 255

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Na Tujhe Chorr Sakte Hain Tere Ho Bhi Nahi Sakte
Yeh Kaisi Bebasi Hai Aaj Hum Ro Bhi Nahi Sakte

Yeh Kaisa Dard Hai Pal Pal Hamain Tarpaye Rakhta Hai
Tumhari Yaad Aati Hai To Phir So Bhi Nahi Sakte

Chhupa Sakte Hain Aur Na Dikha Sakte Hain Logon Ko
Kuch Aise Daagh Hain Dil Per Jo Hum Dho Bhi Nahi Sakte

Kaha To Tha Chorr Denge Yeh Nagar Phir Ruk Gaye Lekin
Tumhain Paa To Nahi Sakte Magar Kho Bhi Nahi Sakte

Hamara Ek Hona Bhi Nahi Mumkin Raha Ab Tooooo
Jeeyen Kaise Ke Tum Se Door Reh Bhi Nahi Sakte


no likes.

Posted on March, 04 2011 03:26:12 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
5060 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
hukm tera hy to taameel kiye dety hen
zindgi hijr me tehleel kiye dety hen
tu meri wsl ki khwaish py bigrta kyun hy
raasta hi hy,chlo tbdeel kiye dety hen
aaj sb ashkon ko ankhon k kinaary py bulaao
...... aaj is hijr ki takmeel kiye dety hen
hm jo hansty huey achy bhi lgty tuj ko
hukm kr,ankh abi jheel kiye dety hen....

no likes.

Posted on March, 04 2011 03:57:18 PM

tariqbangashpk


Age: 38 Male
5060 days old here
Total Posts: 1300
Points : 51

Location:
Lahore, Pakistan

Status : Offline
Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila
Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila
Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat
...Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila
Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor
Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila
Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka
K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila
Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main
Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila
Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia
Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila

no likes.

Posted on March, 04 2011 04:23:28 PM

ashfaq786


Age: 44 Male
5049 days old here
Total Posts: 1215
Points : 51

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Iss baar kuch aisa mein chahta hoon

Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon
...Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon
Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon
Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon
Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon
Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon
Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon
Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon
Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon


no likes.

Posted on March, 04 2011 04:37:50 PM

ashfaq786


Age: 44 Male
5049 days old here
Total Posts: 1215
Points : 51

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Meri saanson mein woh khushboo ko to bharne deta,
Kaash wo gul mere haathon pe bikharne deta,

Aur bhi zakhm ganwara thay mujhe us se magar,
Pehle maazi k wo kuch zakhm to bharne deta,
...
Maine kab us se gila karne ko kholi thi zubaan,
Kaash wo shakhs mujhe baat to karne deta,

Mera da'ava hai sama jati meri rooh wahan,
Kaash wo shakhs mujhe dil mein to utarne deta,

Uski ankhein to samundar ki tarhan thi gehri,
Kaash wo shakhs mujhe doob kar marne deta ...

no likes.

Posted on March, 04 2011 04:47:48 PM

ashfaq786


Age: 44 Male
5049 days old here
Total Posts: 1215
Points : 51

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Meri PagaL si MohabbaT Tujhy Yaad Aaegi",

Jb Chand SiTare Chamak Rahe Honge,...

Jb Yaad K PhooL Mehak Rahe Honge...
...
Jb Neend Ko Aankhen taras Rahi Hongi...

Ankhon Se Aansu Baras Rahe Honge...

"Meri Pagal si Mohabat Tujhy Yaad Aaegi" ,

Jab Tanhai Se DiL Ghabraae Ga...,

Jab Tujhy Akela Pan Staye ga...
Jb apna koi nzr nhen ai ga.
Aankhen toot k brsen ge.
Mere pagl c Muhbt Tujhe ya ai ge!


no likes.

Posted on March, 04 2011 05:27:06 PM

ashfaq786


Age: 44 Male
5049 days old here
Total Posts: 1215
Points : 51

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
na tujhe chor sakte hain,tere ho bhi nahin sakte,
Ye kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahin sakte.
Ye kaisa dard hai,pal pal humein tadpae rakhta hai,
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahin sakte.
Chuppa sakte hain aur na dikha sakte hain lo...gon ko,
...Kuch aise dagh hain dil par jo hum dho bhi nahin sakte.
Kaha to tha chor denge tum ko,phir ruk gae lekin,
Tumein paa to nahin sakte magar chor bhi nahin sakte.
Hamara aik hona bhi,nahin mumkin raha ab to,
Jeeyein kaise ke tum se dur ho ke reh bhi nahin sakte

no likes.

Posted on March, 04 2011 05:35:33 PM

PAF


Age: 33 Male
5043 days old here
Total Posts: 422
Points : 91

Location:
karachi, Pakistan

Status : Offline
Nice

no likes.

Posted on March, 04 2011 07:55:07 PM