Lyrics Of Ye Kagzi Phool Jaise from Yaadein
yeh log, pathar ke dil hain jin ke`
numaaish-e-rung main hain doobe`
yeh kaagazi phool jaise chehre`
mazaaq urraate` hain aadmi ka
inhain koi kaash yeh bataa de`
maqaam ooncha hai saadgi ka
inahan bhala zakhm ki khabar kya
keh teer chalte huwe na dekha
udaas aankhon main aarzoo ka khoon jalte hue na dekha
andhera chaaya hai in ke aage haseen ghaflat ki roshni ka
yeh kaagzi phool.........
yeh sehn-e-gulshan main jab gaye hain bahaar hi loot le gaye hai
jaahan gaye hain yeh do dilon ka qaraar hi loot le gaye hain
ke dil dukhana hai in ka sheva inhain na irsaaq** kab kisee ka
yeh kaagazi...........
main jhoot ki jagmagati mehfil main aaj sach bolne laga
main ho ke majboor apne geeton main zehr phir gholne laga hoon
yeh zehr shayad urraadeh nasha ghuroor main doobi zindagi ka
yeh kaagazi phool jaise chehre`
mazaaq urraate` hain aadmi ka
inhain koi kaash yeh bataa de`
maqaam ooncha hai saadgi ka
yeh kaagazi phool jaise chehre
Song Details
Album/Movie: YaadeinArtist: Mehdi HasanViewed (total): 10738 times