Forums > General Talks > Bst collection
alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Subject : Bst collection (closed)
Rook Naa Jana Khoof Say Beech Rah Mein

Khuda Ki Baargah Mein Gir Kar Ro Lenaa
Khud Ko Girnay Na Dena Apni Nigah Mein

...Farishton Ko Kahan Hasil Toba Ki Lazat
Khata Karnaa Hay Fitrat-E-Insaan Mein

Khushiyan Muqadar Say Milti Hein Yahaan
Gham Miltay Nahi Baysabab Is Jahan Mein

Khudsaakhtaa Ohaam Say Rakhnaa Mun Ko Khali
Khudaa Miltaa Nahi Behs-O-Taqraar Mein

Duniya Ki Mehfil Mein Yaad Rakhnaa Nayaab
K Tanhai Rehnaa Hay Qaber K Makan Mein...........!!!



no likes.

Posted on November, 09 2011 09:33:51 PM


alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Kitna Ikhtiyar Tha Us Ko Apni Chahat Pe,
Jab Chaha Yaad Kiya,
Jab Chaha Bhula Diya,
Jantaa Thaa Wo Mujh Ko Behlane K Har Andaaz...
Jab Chaha Hansa Diya
...Jab Chaha Rula Diya,,
Dil Bhi Uska Tha Pyaaar Bhi Uska Tha,
Jab Chaha Mujhe Se Mil Liya
Jab Chaha Chodh Diyaaaa ....!!!

no likes.

Posted on November, 09 2011 09:34:17 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Chalo Phr Dhoond Laein Hum!
Usi Masoom Bachpan Ko!
Unhi Masoom Khushiyon Ko!
Unhi Rangeen Lamhon Ko!
Jaha Ghum Ka Pata Na Tha!
...Jaha Dukh Ki Samjh Na Thi!
Jahan Bus Muskurahat Thi!
Baharein Hi Baharein Thi!
Chalo Phr Dhond Laein Hum!
Usi Masoom Bachpan Ko!
K Jab Sawan Barasta Tha!
To Us Kaghaz Ki Kashti Ko!
Bana'na Aur Duba Dena!
Boht Acha Sa Lgta Tha!
Aur Is Duniya Ka Hr Chehra!
Boht Sacha Sa Lagta Tha!
Chalo Phir Dhoond Layen Hum Usi Masoom Bachpan Ko.

no likes.

Posted on November, 09 2011 09:35:46 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Chalo Phr Dhoond Laein Hum!
Usi Masoom Bachpan Ko!
Unhi Masoom Khushiyon Ko!
Unhi Rangeen Lamhon Ko!
Jaha Ghum Ka Pata Na Tha!
...Jaha Dukh Ki Samjh Na Thi!
Jahan Bus Muskurahat Thi!
Baharein Hi Baharein Thi!
Chalo Phr Dhond Laein Hum!
Usi Masoom Bachpan Ko!
K Jab Sawan Barasta Tha!
To Us Kaghaz Ki Kashti Ko!
Bana'na Aur Duba Dena!
Boht Acha Sa Lgta Tha!
Aur Is Duniya Ka Hr Chehra!
Boht Sacha Sa Lagta Tha!
Chalo Phir Dhoond Layen Hum Usi Masoom Bachpan Ko.

no likes.

Posted on November, 09 2011 09:38:12 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
"Kyun...??"

Chalo Hum Maan Lete Hain,
Ye Duniya Jhoot Kehti Hy,

Tumhe Hum Se Nahi Ulfat,
Chalo Hum Maan Lete Hain,

Tumhari Be'qrari Ki,
Wajha Kuch Aur Hi Hogi,

Nigaahen Mujse Milte Hi,
Tumhare Muskrane Ka,
Sabab Kuch Aur Hi Hoga,

Jise Km'fehm Logon Ne,
Mohabbat Naam De Daala,

Mgr Itna Bataa Do Tum,
Bicharte Waqt Jan-E-Jaan!

Palat Kr Dekh K Hum Ko,
Tumhari Jheel Si Aankhen,

Chalakti Ja Rhi Thi Kyun...??

Hame Tarpaa Rhi Thi Kyun.......??


no likes.

Posted on November, 09 2011 09:39:45 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Aao...
or na socho.
soch ke kia paao gey..
jitna bhi samjhey ho.
itna hi pachtaao gey.
...Aao..
or na socho..
tum ehsas ki jis manzil per ab pohnche ho.
wo meri dekhi bhali hai.
jane bhi do.
is ka kab tak sogg manana..
yeh dunia andar se kion itni kaali hai..
Aao..kuch ab jeene ka saman karen hum.
such ke hathon,,,hum ne jo shakal paaye hai..
jhoot ke hathon.
woh mushkil asaan karen hum.
tum meri ankhon me ankhen dal ke dekho.
phir me tum se saari jhuti qasmen khaaun.
phir tum woh sari jhuti baten dohrao.
jo sab ko acchi lagti hen.
jesey...
wafa karne ki baten..
jeene ki...
marne ki baten..
hum dono yun waqt guzaren.
.me tumko kuch khuwaab dikhaun.
tum mujhko kuch khuwaab dikhao.
jinki koi taabeer na ho.
jitne din yeh mail rahe ga..
dekho acha khel rahe ga.
or kabhi dil bhar jaye to.
kehdena tum..
beet gaya milne ka mausam.
Aao.
or na socho...
soch ke kia pao gey.

no likes.

Posted on November, 09 2011 09:40:53 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!


no likes.

Posted on November, 09 2011 09:42:12 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
"Bahot kuch Kho Chuka Hoon Ab Khony Ki Taqat nahi Mujh Me.

YAA RAB

"Yeh Jo Kuch Log mery Hain Unhein Mera Hi Rehny De".

(Aameen)


no likes.

Posted on November, 09 2011 09:43:11 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
ye sard raaten bhi kis qadar zalim hen,
"Wasi"

ba-zahir sard hoti hen, par in main dil sulagta hay...



no likes.

Posted on November, 09 2011 09:44:23 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Hazar rahen mud ke dekhien, Kahien se koi sada na ayie
Badi wafa se nibhayie tum ne, Humari thodisi Bewafaie

Jahan se tum mod mud gaye the, ye mod ab bhi yahie pade hain
Hum apne pairon me jane kitne, Bhanwar lapete huwe khade hain

Kahien kisi roz yun bhi hoga, humari halat tumhari hogi
Jo rat humne guzari mar k, wo rat tumne guzari hoti

Tumhe ye zid hai k hum bulate, hume ummis k wo pukaren
Hai naam honton pe ab bhi lekin, Aawaz me pad gayie dararen



no likes.

Posted on November, 09 2011 09:46:08 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
WOH REH NA PAYE IK PAL BHI MERE BINA,
AYE KHUDA USKO MERI AADAT C KARDE,,

ITNA TOOT KE CHAHOON MAIN USKO,,
KE MERI CHAHAT KO USKI IBADAT C KARDE,,

KOI CHOO NA PAYE APNE KHAYALAT MEIN BHI USKO,
HAR IK KE ZEHEN MEIN USKI HIFAZAT C KARDE,,

BAND AANKH MEIN BHI DEKH PAON MEI USKO,,
MERI AANKHON KO AISI IJAZAT C KARDE,,

RAKHON GI KHAYAL USKA UMAR BHAR KE LIYE,,
BUS AB WOH APNE AAP KO MERI AMANAT C KARDE,,


no likes.

Posted on November, 09 2011 09:47:34 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Ek shakhs ko deakha tha
Taron ki tarha Ham'ny

Ek shakhs ko chaha tha
Apno ki tarha Ham'ny

Ek shakhs ko samjha tha
Phoolon ki tarha Ham'ny

Wo shakhs qiyamat tha
Kia uski karein Batein

Din us ky liye Paida
R uski he thi Ratein

Kam milta kis se tha
Ham se thi mulaqatein

Rang uska Shahabi tha
Zulfon mein thi Mehkarein

Aankhein thi k jadu tha
Palkein thi k talwarein

dushman bi agar deakhy
so jan se dil Harein

Kuch tum se wo milta tha
Baton mein shahabat thi

Han tum sa hi lagta tha
Shoki mein shararat mein

Lagta bi tumhe sa tha
Dastur-e-muhabat mein

Wo shakhs hamein eik din

Apno ki tarha Bhoola
Taron ki tarha dooba
Phoolon ki tarha toota

Phir haath na aya wo
Ham'ny bohat dhondha

Tum kis liye chonky ho
Kab zikr tumhar hai
Kab tum se takaza hai
Kab tum se shikayat hai

Eik taaza Hiqayat hai
Sun lo to eenayat hai

Ek shakhs ko chaha tha
Apno ki tarha Ham'ny....



no likes.

Posted on November, 09 2011 09:48:30 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Mere sary rasty band na kr

Aye ishq ! muje pabnd na kr...

Ya mujko ly kr sang tu chl

ya meri had se door nikal

Mere andar baher jang na kr

Aye ishq ! muje pabnd na kr...

Meri soch ka darya behney dy

Jo kehna hai ab kehny dy

Mery lafzon ko be-rang na kr

Aye ishq ! muje pabnd na kr.

no likes.

Posted on November, 09 2011 09:50:27 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Madhosh ghum se hon ya kamal e sharab hai,

Ba'hosh reh k jeena to dohra azab hai,

Wo chand jaisa shakhs ho mere naseeb me,

Jiska hamesha aankh me rehta shabab hai,

Nazaren mila k tujh se ganwa betha apne hosh,

Aankho me jan e jan teri kaisi sharab hai,

"sha'irr" ne thak haar k aakhir ye keh diya,

Apni misal ap'
tu apna jawab hai....!



no likes.

Posted on November, 09 2011 09:51:57 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Khwab o khyal o yad me shamil nahi hai woh,

Kehna k mere pyar k qabil nahi hai woh,

Na'kam ho gaya jo chala uske sath hai,

Reh'bar nahi hai woh'
Koi manzil nahi hai woh,

Logo kisi k aib chupana sawab hai,

Qatil mai apna ap hon'
Qatil nahi hai woh,

"sha'irr" mai jis ki yad me jalta hon shama sa,

Jane hai mere haal ko'
Ghafil nahi hai woh....!



no likes.

Posted on November, 09 2011 09:53:12 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Kuch arz e haal'
Koi guzarish na kar sake,

Tha itna rob e husn k junbish na kar sake,

Tha apni khwaishat ka mehwar bus eak shakhs,

Hum uske bad koi bhi khwaish na kar sake,

Utha tha sel e karb magar dabb k reh gaya,

"aankho mai abr aaye to barish na kar sake",

"sha'irr" khud apne apko hum ne bhula diya,

Hum unko bhool jane ki koshish na kar sake....!

no likes.

Posted on November, 09 2011 09:54:36 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Zulf e siyah ko paon ki zanjeer kar chuka,

Qatil hamare qatal ki tadbeer kar chuka,

Marzi hai jo sulook rawa us se tum rakho,

Jo shakhs apni'
Apko taqdeer kar chuka,

Milna tujhe naseeb mai shayad nai mere,

Mai to her eak surat e tadbeer kar chuka....!



no likes.

Posted on November, 09 2011 09:55:11 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Hum Na B Mohbt ki thi mgr kch b na mila hisrat k siwa.

tum na b humain lizam diya kia kahain isay kismat k siwa..

sona tha wafa jo krte hein inam-a-wafa pe jeetey hein ..

dekha tu koi anjam nhi ulfat ka ik nafrat k siwa ..

asy tu kabhi socha na tha chahy tha pyr tumra ..

magr kch pa na skay tomat ka siwa ..


no likes.

Posted on November, 09 2011 09:56:23 PM

2646


Age: 34 Male
4779 days old here
Total Posts: 132
Points : 68

Location:
Gujranwala, Pakistan

Status : Offline
kiya baat hai boht achi potries sun'ny ko mili

no likes.

Posted on November, 09 2011 09:56:30 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Mjhe Aksar Apno Se Chahat Ka Shikwa Rehta Hai


*WASI*


Q K Apno Ne Kabhi Nai Chaha Mjhe Apno Ki Tarah

no likes.

Posted on November, 09 2011 09:56:59 PM

alone129


Age: 33 Male
4785 days old here
Total Posts: 284
Points : 36

Location:
lahore, Pakistan

Status : Offline
Sham ka manzar, uljha rasta, ek kahani, tu or mein,

Dhalta suraj, ßarhta saya, kashti rani, tu or mein,

ßand ik kmra, chup ka manzar, bhuli ßisri, deepak yaad,

Tanhai, dukh, khof ki lazzat, dilßerjani, tu or main,

Titli, khushßu, rang ki ßaaten, shaßnam se shrmilay khuwaß,

Aas ka panchhi, gum sum khawhish, rat ki rani tu or main,

Palken, chilman, shrma sharmi, kam kam goya nazren, qurb,

Raaton jaisi seedhi sadhi ik nadani, tu or main

no likes.

Posted on November, 09 2011 09:57:46 PM