Kabhie subha se kabhie sehar se larra karti thee Mudatein howe aik shama yaha jala karti thee Kya baat hui kay aaj sar-e-sham band ho gayee Aik khirrkee jo kabhi autak-e-sehar khula karti thee Simhata hai dil kiyoun ab ki barr iss toofan main Garajtay thay badal, bijli pehlay bhi girra karti thee Kuch kasoor-e-kismat-e-amaan ka hai warna Naumeedi iss dil se dur hie raha karti thee Khata meri hi thi jo duniya say dil laga baithi Yeh kambakht zindagi pehlay kab kisi se wafa karti thee Main kaash yeh keh saktee,"Mujhe Yaad Kijiye" Kabhi meri yaad jinn ki dharkan howa karti thee Dekho aaj hum unn ki duniya mai shamil hie nahin Jinn ki duniya kabhi basa hum se howa karti thee
no likes.
|