Tumhain kesay bataein hum Mohabbat aur kahani mein koi rishta nahi hota Kahani mein tu hum wapis bhi aatay hain Mohabbat mein palatnay ka koi rasta nahi hotaZara sochoo! Kaheen dil mein kharashain dalti yadon ke saffaki Kaheen daman say lipti hai Kissi bhooli hoi sa'at ki nam naaki Kaheen ankhoon kay khaimon mein Charagh e khawb gul karnay ke sazish ko Hawa daiti hoi raaton ki chalaki Magar banda e khaki Na janay kitnay firaunon say uljhi hai mairay lehjay ke bay baaki Mujhay daikho!! Mairay chehray pay kitnay mousmoon ke gard, Aur is gard ki teh mein Samay ki dhoop mein rakha howa aik aaina, Aur aainay mein ta-had-e-nazar phailay Mohabbat kay sitaray aks ban kar jagmagatay hain Nai dunyaon ka rasta batatay hain Isi manzar mein aainay say uljhee kuch lakeerain hain Lakeeron mein kahani hai Kahani aur mohabbat mein azal say jung jari hai Mohabbat mein aik aisa mor aata hai Jahaan kahani haar jati hai Kahani mein tu kuch kirdar hum farz kartay hain Mohabbat mein koi kirdar farzi nahi hota Kahani ko kai kirdar mil jul kar kaheen agay chalatay hain Mohabbat apnay kirdaron ko khud agay barhati hai Kahani mein kai kirdar zinda hi nahi rehtay Mohabbat apnay kirdaron ko marnay nahi daiti Kahani kay safar mein manzaron ki dhool urti hai Mohabbat ki musafat rahgeeron ko bikharnay nahi daiti Mohabbat aik shajar hai Aur shajar ko is say kaya matlab Keh us kay saye mein jo bhi thaka hara Musafir aa kay baitha hai Ab us ki nasl kaya hai, rung kesa hai Kahan say aya hai kis simat jana hai Shajar ka kaam tu bus chaon daina dhoop sehna hai Isay is say gharz kaya hai.. Paraao dalnay waloon mein kis nay chaon ki taqseem ka jhagra uthaya hai Kahan kis ehad ko tora Kahan wada nibhaya hai Magar hum jantay hain Chaon jab taqseem ho jaye Tou jalti dhoop kay naizay rag o pay mein utartay hain Aur is kay zakham khoorda log Jeetay hain na martay hain.. !!
no likes.
|